2014
Garmi ke Mausam mein Sewa
February 2014


Yuva

Garmi ke Mausam mein Sewa

Lekhak Virginia, USA mein rehti hai.

Ek garmi ke mausam mein mainne baahar videsh mein khaas dekhbhaal waale bachchon ke saath kaam karte huwe bitaya. Jab main pehli baar bachchon se mili, main bahut hi ghabrayi thi. Main unki bhaasha nahi bol sakti thi, magar mujhe vishwaas tha ki Aatma mujhe maargdarshan dega vaartalaab mein. Jab mainne har ek bachche ko jaana, mujhe mehsoos hua ki bhaasha pyaar ke liye zaroori nahi hai. Mainne bachchon ke saath khela, hassa, aur cheezon ko banaya aur sirf beshumaar pyaar mehsoos kar saki unke liye. Mainne Swarg ke Pita ke pyaar ko mehsoos kiya jo Woh Apne bachchon se karte hai, aur jo khushi mere hriday ko mili uske barabari aur kuch nahin hai.

Jab kabhi main dusron ki sewa karta hoon, main sirf unke liye pyaar nahi mehsoos karta hoon jinki sewa karta hoon balki Swarg ke Pita ka bhi. Mainne sach mein yah jaana ki, “jab tum apne saathi ki sewa karte ho, tab tum apne Parmeshwar ki sewa karte ho” (Mosiah 2:17). Mere sewa ka kaaran, chaahe bade sewa kaarye ya chote dayaluta ke kaarye se, Parmeshwar ki badaai hoti hai (dekhiye Matthew 5:16). Main asha karta hoon ki jaise main dusron ki sewa karta hoon, logon ko mera pyaar nazar ayega Swarg ke Pita ke liye aur Masih ka Prakaash jo mujh mein chamakta hai.