2014
Ishu Masih ka Divye Mission: Achcha Charwaha
February 2014


Shikshan Sandesh Bhent, February 2014

Ishu Masih ka Divye Mission: Achcha Charwaha

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur dhoondne se jaano jo batlana hai. Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur mission ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karte ho? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Ishu Masih, Achcha Charwaha, sikhlatein hain:

“Tum mein se kaun hai jiski sao bhede ho, aur unmein se ek kho jaaye, to ninyaanabe ko jangal mein chod kar, us khoyi hui ko jab tak mil na jaaye khojta na rahe? …

“Main tumse kehta hoon, ki … swarg mein us ek paapi ke liye khushi hoga agar pashchataap karega” (Luke 15:4, 7).

Jab ki hum jaan gaye hai ki Ishu Masih Achcha Charwaha hai, humare asha badhti hai Uske uddhaaran par chalne ke liye aur unki sewa karne ke liye jinhein zaroori hai. Ishu ne kaha: “Achcha Charwaha Main hoon, main apni bhedon ko jaanta hoon, aur mere bhede mujhe jaante hai. … Aur main bhedon ke liye apna praan deta hoon” (John 10:14–15). Masih ki Praeshchit ke kaaran, hum mein se koi bhi itna kho nahi sakta ki wah waapis ghar na ja sake (dekhiye Luke 15).

Pradhaan Thomas S. Monson ne kaha, “Hamari zimmedaari hai ki hum bhedon ki rakhsha karein. …Hum sab ko sewa ke liye aage badhna chahiye.”1

Dharamshaastra mein se

Psalm 23; Isaiah 40:11; Mosiah 26:21

Hamare Itihaas Se

Elizabeth Ann Whitney, jo Sahayak Sanstha ke pehle sabha mein gayi thi, ne apni 1830 ke dharam parivartan par kaha: “Jaese hi maine susamachaar ko suna jab Elders sikhla rahe the, maine jaana ki yah Achche Charwaha ki awaaz hai.”2 Elizabeth ne achche charwaha ki awaaz ko suna aur baptisma ko liya aur niyukt hui.

Hum bhi us Achche Charwaha ki awaaz ko sunn sakte hai aur Uske shikshan ko dusron ke saath bant sakte hai. Pradhaan Monson ne kaha, “Hum yaha dharti par Prabhu ke haath hai, sewa ki aagya ka paalan karne ke liye aur Unke bachchon ko upar uthane ke liye.”3

Usi tarah jaese charwaha khoye hue bhed ko dhoondh leta hai, maata-pitaaon ko bhi apne bhatke hue bachche ko dhoondhna chahiye. Pradhaan James E. Faust (1920–2007), Pratham Adyakshkta mein Dusre Salahakaar, ne kaha: “Un toote dil maata-pitaoun se jo sachche, parishrami, aur prarthnashil hai apne aagyakari bachchon ko sikhlaane mein, hum tum se kahatein hai, Achcha Charwaha tumhe dekh raha hai. Parmeshwar tumhare gambheer peeda ko jaanta aur samjhta hai. Waha asha hai.”4

Vivaran

  1. Thomas S. Monson, “Heavenly Homes, Forever Families,” Liahona, June 2006, 70.

  2. Elizabeth Ann Whitney, Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society mein (2011), 128.

  3. Thomas S. Monson, “What Have I Done for Someone Today?” Liahona, Nov. 2009, 86.

  4. James E. Faust, “Dear Are the Sheep That Have Wandered,” Liahona, May 2003.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Kis tarah humare jiwan ko shaanti milta hai yah jaan kar ki Uddhaarkarta Achche Charwaha hai?

  2. Kis tarah se hum unki dekhbhaal kar saktein hai jo “kho” chukein hai Girjaghar ke gatividhiyon se ya jo humari vishwaas ke nahi hai?

  3. Main kis tarah un maata-pitaon ki madad kar sakta hoon jinke bachchein susamachaar ko chod chukein hai?