2014
Kaarye ko Furti se Aage Badhana
June 2014


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, June 2014

Kaarye ko Furti se Aage Badhaana

Tasveer
Pradhaan Thomas S. Monson

Kya tumhe pata hai ki punahsthaapit Girjaghar 98 saalon ka tha jab uske paas 100 stakes the? Magar kuch 30 saal baad, Girjaghar ne apna dusra 100 stake ayojit kiya. Aur uske sirf 8 saal baad Girjaghar ke paas 300 stake se zyaada the. Aaj hamare paas 3,000 stake se zyaada hai.

Kyun yeh tez badhanti ho rahi hai? Kya isliye ki zyaada log girjaghar ke baare mein jaante hai? Kya isliye ki hamare paas sundar chapel hai?

Yeh sab baate zaroori hai, magar aaj Girjaghar ki badhanti ki vajah yeh hai ki Prabhu ne kaha tha aysa hoga. Doctrine and Covenants mein, usne kaha, “Dekho, main apna kaarye sahi samay par furti se aage badhaunga.”1

Hamein, hamare Swarg ke Pita ke aatmik bachchon ki tarah, dharti par is samay bheja gaya tha taaki hum is mahaan kaarye ko furti se aage badhaane mein bhaag lein.

Mere gyaan mein, Prabhu ne kabhi, kaha ki Unka kaarye sirf maranshilta ka hai. Balki, Unka kaarye anantta se bhi taaluk rakhta hai. Mai vishwaas karta hoon ki Woh Apne kaarye ko aatmik duniya mein bhi furti se aage badha rahein hai. Mai yeh bhi vishwaas karta hoon ki Prabhu, Apne wahan ke sewakon ke zariye, kayi aatmaaon ko tayyaar kar rahein hai susamachaar ko apnaane ke liye. Hamara farz hai apne mrit parivaaron ko dhoondhna aur phir mandir jaakar aur pavitra dharamvidhiyon ko karna jisse parde ke us paar waalon ko hamare jaise mauke mile.

Har achcha Antim-din Sant jo aatmik duniya mein hai vyast hai, Pradhaan Brigham Young (1801–77) ne kaha. “Woh wahan kya kar rahe hai? Woh prachaar kar rahe hai, hamesha prachaar, aur hamare liye raasta tayyaar kar rahe hai taaki hum yahan aur sabhi jagah furti se mandir ke kaarye ko aage badhaae.”2

Ab, parivaar itihaas kaarye aasaan nahin hai. Aap mein se jo Scandinavia ke hai, mai aapki chinta samajhta hoon. Uddhaaran par, mere Swedan ke purvajon ki or, mere aaja ka naam Nels Monson tha; unke pita ke naam mein Monson tha hi nahin magar Mons Okeson tha. Mons ke pita ka naam Oke Pederson tha, aur unke pita ka naam Peter Monson tha—phir se Monson naam aaya.

Prabhu chahata hai ki tum aur mai apna parivaar itihaas kaarye theek se kare. Mai sochta hoon ki yeh kaam theek se karne ke liye hamare paas Swarg ke Pita ki Aatma honi chahiye. Jab hum sabse dhaarmik tarike se jiyenge, Woh un sabhi ashirvaadon ko hamein dilaaega jo hum itni namratapurwak aur parishram se dhoondh rahe hai.

Hum galti karenge, magar hum mein se koi parivaar itihaas kaarye mein bina pahale galti kiye nipunnta nahin haasil karega. Isliye, hamein is kaarye mein jut jaana chahiye, aur hamein kuch kathin kaaryon ki tayyaari karni chahiye. Yeh koi aasaan kaam nahin, magar Prabhu ne yeh tumhe saopa hai, aur Usne mujhe saopa hai.

Jab tum parivaar itihaas kaarye ko karoge, tum apne aap ko band raasto par paaoge, aur tum khud se kahoge, “Main aur kuch nahin kar sakta hoon.” Jab tum us jagah par aaoge, apne ghutno par jhukna aur Prabhu se raasta kholne ko kehna, aur Woh tumhare liye raasta kholega. Mai gawahi deta hoon ki yeh sach hai.

Swarg ke Pita Apne aatmik duniya ke bachchon se utna hi pyaar karte hai jitna Woh tumse aur mujhse karte hai. Hamare mrit purvajon ko bachane ke kaarye ke baare mein, Bhavishyevakta Joseph Smith ne kaha, “Aur ab jab Parmeshwar ke mahaan kaarye furti se khatm ho rahe hai, aur aur jo baat Bhavishyevaktaaon ne kaha pura hone ko hai, jabki Parmeshwar ka raajye dharti par aayojit ho gaya hai, aur pure tarah se kaarye ho rahe hai, Prabhu ne hamein yeh farz aur zimmedaari di hai.”3

Hamare purvajon ko lekar jo bina susamachaar ko jaane mar gaye hai, Pradhaan Joseph F. Smith (1838–1918) ne ghoshna ki, “Jab hum unke liye kaarye karenge unke bediyaan khul jaaengi, aur unke aas paas ka andhera hat jaaega, taaki unpar raushni aaye aur woh aatmim duniya mein sunenge ki unke liye unke bachchon ne yahan kya kaam kiye hai, aur tumhare saath woh in kaaryon ko samaapt hone par khushi manaenge.”4

Kayi milyan aatmik bachche hai hamare Swarg ke Pita ke jo bina Masih ka naam sune mar gaye hai aur aatmik duniya mein hai. Magar ab unhe susamachaar padhaya gaya hai aur woh intazaar kar rahe hai us din ki jab tum aur mai avashyak jaanch karke raasta banaenge taaki hum Prabhu ke ghar mein jaa sake aur unke liye kaarye karein jo woh ab apne liye nahin kar sakte.

Mere bhaaiyon aur bahanon, main gawahi deta hoon ki Prabhu hamein ashirvaad dega jab hum is chunaoti ko apnaaenge aur uspar amal karenge.

Is Sandesh Mein se Shikshan

Ek pasandida kahani yaad kare apne parivaar itihaas mein se aur yeh kahani unse batlaaye jinse tum bhent karoge. Tum shaayad Pratham Adhyakshta ke Sandesh ke bachchon ke bhaag ka sawaal istemaal karna chahoge (page 6) taaki woh log bhi protsaahit ho apni purvaj ki kahani batlaane ke liye. Baate karein Doctrine and Covenants 128:15 mandir dharamvidhiyon ko hamare purvajon ke liye karne ki mahatva par.

Vivran

  • Doctrine and Covenants 88:73.

  • Teachings of Presidents of the Church: Brigham Young (1997), 280.

  • Teachings of Presidents of the Church: Joseph Smith (2007), 409.

  • Teachings of Presidents of the Church: Joseph F. Smith (1998), 247.

Chaapo