2014
Ishu Masih ka Divye Mission: Paadri
June 2014


Shikshan Sandesh Bhent, June 2014

Ishu Masih ka Divye Mission: Paadri

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur dhoondne se jaano jo batlana hai. Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur mission ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karte ho? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Jab hum dusron ki dekhrekh karte hai, hum Ishu Masih ke sachche chelein ban jaate hai, jisne hamare liye uddharan diya. Pradhaan Thomas S. Monson ne kaha: “Hum zarooratmandon se ghire hai. … Hum yahan dharti par Prabhu ke haath hai, sewa ki aagya ka paalan karne ke liye aur Unke bachchon ko upar uthane ke liye.”1

Linda K. Burton, Sahayak Sanstha maha adhyaksh, ne sikhlaya: “Abhyaas se, hum sab aur zyaada Uddhaarkarta ki tarah ban sakte hai jab hum Parmeshwar ke bachchon ki sewa karenge. Hamein behtar dhang se ek dusre ki[dekhrekh] karne ke liye, mai sujhaao dungi chaar shabd yaad karne ki: ‘Pehle dekho, phir sewa’ karo. … Jab hum aysa karenge, hum vaachanon ko nibha rahe hai, aur hamara sewa, jaise Pradhaan Monson ki, hamare chela hone ka saboot hoga.2

Hum har subha prarthna kar sakte hai dusron ki sewa karne ke mauko ko pehchaanne ke liye. “Swarg ka Pita tumhe raah dikhaaega, aur devdut tumhari sahayta karenge,” kaha David L. Beck, Jawaan Purushon ke maha adhyaksh ne. “Tumhe shakti di jaaegi jiwon ko ashirvaad dene ki aur logon ko bachane ki.”3

Dharamshaastra mein se

Matthew 20:25–28; 1 Nephi 11:27–28; 3 Nephi 28:18

Hamare Itihaas Se

October 1856 maha sammelan mein, Pradhaan Brigham Young (1801–77) ne aelaan kiya ki haathgaadi waale purvaj abhi bhi maedaan paar kar rahe hai aur sabhi ko turant unke liye saamaan ikattha karne hai. Lucy Meserve Smith ne likha ki mahilaaon ne “apne bhaari lehngo [ke niche] ke kapdon ko faada, moze, aur har cheez jo woh usi samay de sakti thi Tabernacle mein, aur [un cheezon ko] maal dibbon mein ikattha kiya.”

Jaise jaise bachaae gaye purvaj Salt Lake Shahar mein aaye, Lucy ne likha, “Mujhe apne jiwan mein kisi aur kaam mein … itna sukh nahin mila, jitna us samay tha logon ke beech. Mujhe sirf ek dukaan mein jaakar apni maang kehni padti; agar kapda ho, use naapa, kaata aur mujhe de diya jaata bina paese ke.”4

Pradhaan George Albert Smith (1870–1951) ne dusron ki dekhrekh par kaha: “Hamari anant khushyaali usmein hogi jis tarah hum dusron ki madad mein khud ko vyast karte hai.”5

Yeh Sochiye

  1. Kaise prarthna dwara hum Prabhu ke haathon mein aozaar banenge?

  2. Auron ki dekhrekh karne se hamein kaise madad milegi vachanon ko nibhaane mein?

Vivran

  1. Thomas S. Monson, “What Have I Done for Someone Today?” Liahona, Nov. 2009, 86.

  2. Linda K. Burton, “First Observe, Then Serve,” Liahona, Nov. 2012, 78, 80.

  3. David L. Beck, “Your Sacred Duty to Minister,” Liahona, May 2013, 56.

  4. Lucy Meserve Smith, Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society (2011) 36–37mein.

  5. George Albert Smith, Daughters in My Kingdom,mein 77.