2014
Ishu Maseeh ka Divye Mission: Maseeha
August 2014


Shikshan Sandesh Bhent, August 2014

Ishu Maseeh ka Divye Mission: Maseeha

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur wah dhoondhe jo aapko batlana hai. Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur mission ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karte ho? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Dharamshaastra sikhlaata hai ki hum Parmeshwar ke paas ja saktein hai “Pavitra Maseeh ke yogyetaaon, daya, aur kripa ke saath” (2 Nephi 2:8). Meseeha “ek Aramaic aur Hebrew matlab hai ‘abhishek kiya hua.’ … Naya Niyam mein Ishu ko Maseeh kaha gaya hai, jo Greek mein Meseeha kaha gaya hai. Is ka matlab hai abhishek hua Bhavishyevakta, Paadri, Raja, aur Pahunchanewaala.”1

Elder Jeffrey R. Holland jo Barah Devduton ke Parishad ke hai ne gawahi diya: “Mai jaanta hoon ki [Ishu Maseeh] Israel ka Pavitra Prabhu hai, Maseeha jo ek din apne antim mahima mein ayega, dharti par Prabhuon ke prabhu aur Raajaon ke raaja ki tarah raaj karega. Main jaanta hoon ki na to akaash ke niche koi dusra naam hi hai, jiske dwara manushye[ya mahila] Parmeshwar ke raajye mein bachaaya ja sakta ho.”2

“[Ishu Masih] duniya ka Uddhaarkarta aur Muktidaata hai, “Pradhaan Dieter F. Uchtdorf, Pratham Adhyakshta ke Dusre Salaahkaar ne kaha. “Woh vaada kiya hua Maseeha hai. Usne sahi tarah se jiwan ko jiya aur hamare paapon ke liye balidaan diya. Woh hamesha hamare paas rahega. Wah hamare ladaaiyon ko ladega. Woh hamari asha hai; Woh hamari uddhaar hai; Woh hi raasta hai.”3

Anye Dharamshaastra

John 1:38–41; 4:25–26, 40–42; 2 Nephi 6:13; 25:16–17

Dharamshaastra mein se

Maseeh ke mahila chele Unke Masiha ke kartavvye ki gawahi deti hai. Mary Magdalene Ishu Maseeh ki ek chela thi. Woh pehli thi “kabra se pathar ko hata hua dekhne mein” Maseeh ke Punaharjiwan ke subeh par. Wah “roti hui kabra ke paas baahar khadi thi” jab unhonne jaana ki Unka shareer waha par nahi tha.

Tab “woh piche mudi, aur Ishu ko khada dekha, par na pehchana ki yah Ishu hai.

“Ishu ne usse kaha, He naari, tu kyun roti hai? kisko dhoondhti ho? Usne maali samajh kar, usse kaha, “He maharaj, yadi tune use utha liya hai to mujhe bata use kaha rakha hai, aur main use le jaungi.

“Ishu ne usse kaha, Mary. Usne piche mudh kar, usse kaha, Rabboni; jiska arth hai, He Guru.” Mary ne jaan liya tha ki Woh maali nahi tha balki Ishu Maseeh, Maseeha tha. (Dekhiye John 20:1–17.)

Vivran

  1. Guide to the Scriptures, “Messiah”; scriptures.lds.org.

  2. Jeffrey R. Holland, “The Only True God and Jesus Christ Whom He Hath Sent,” Liahona, Nov. 2007, 42.

  3. Dieter F. Uchtdorf, “The Way of the Disciple,” Liahona, May 2009, 78.

Yeh Sochiye

Yeh samajhna kyun zaroori hai ki Maseeha ko Uddhaarkarta ki bhumika diya jaata hai?