2015
Gawahi aur Parivartan
February 2015


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, February 2015

Gawahi aur Parivartan

Pradhaan Henry B. Eyring

Yaha sachchaai ke gawahi ko prapt karne aur sachchi tarah se parivartit hone mein antar hota hai. Uddhaaran ke taur par, mahaan Devdut Peter ne Uddhaarkarta ki gawahi diya ki wah jaanta tha ki Ishu Parmeshwar ka Putra hai.

“[Ishu] ne unse kaha, Parantu tum Mujhko kya kahatey ho?

“Aur Simon Peter ne uttar diya aur kaha, Tu jiwit Parmeshwar ka Putra, Maseeh hai.

“Aur Ishu ne uttar diya aur usse kaha, Tu dhanye hai, Simon Bar-jona: kyunki maas aur lahu ne nahin, parantu mere Pita ne jo swarg mein hai, yeh baat tujh par prakat ki hai” (Matthew 16:15--17).

Aur phir baad mein, Uska aagya Peter ke liye, Parmeshwar ne use aur humein maargdarshan diya sachche parivartan ke liye aur parivartit hona jivan bhar ke liye. Ishu ne is tarah se kaha: “Jab tu parivartit ho, to apne bhaaiyon ko mazboot karna” (Luke 22:32).

Ishu ne Peter ko sikhlaya ki yaha par abhi bhi mahaan parivartan se ziyada karna hai sochne, mehsoos karne, aur Ishu Maseeh ke sachche parivartit chelon ke kaarye mein. Yah wahi parivartan hai jo hum sab dhoondh rahein hain. Jab hum use praapt kar letein hain, humein zaroori hai ki wah badlaao humare maranshil jivan ke ant tak saath rahe(dekhiye Alma 5:13--14).

Hum apne khudh ke aur dosron ke anubhao ko dekh kar jaantein hai ki kuch der ki mahaan dhaarmik shakti kaafi nahi hai. Peter ne Uddhaarkarta ko pehchaanne se inkaar kiya bhale hi use Aatma dwara gawahi prapt hua tha ki Ishu hi Maseeh hai. Mormon Dharamshaastra ke Teenon Gawaahikartaon ne unhein hi sidhe taur se gawahi diya tha ki Mormon ki Dharamshaastra Parmeshwar ki vaani hai, aur phir baad mein weh Joseph Smith ko Prabhu ka Girjaghar ke Bhavishyevakta bane rahane ke chamta mein kamzor ho jaatein hain.

Hamein zaroori hai humare hriday mein badlaao lane ka, jaese Alma ki Dharamshaastra mein batlaya gaya hai: “Sabhi ne isi baat ki pushti ki ki unka hriday pariwartit ho gaya hai aur ab dusht karam karne ki unki ichcha nahi hai” (Alma 19:33; Mosiah 5:2 bhi dekhiye).

Prabhu ne hume sikhlaya ki agar hum Uske susamachaar mein sachche tarah se badlaao ko kartein hain, humare hriday swaarthi bhare cheezon se dur rahega aur dosron ko upar utaane mein sewa pradaan karega jab weh anant jiwan ki oar aage badhenge. Us badlaao ko prapt karne ke liye, hume prarthna karna chahiiye aur vishwaas se kaarye ko karna chahiye Ishu Maseeh ke Praeshchit se banne naye shrishti ki tarah.

Hume vishwaas se swaarthipan ke pashchataap ke liye prarthna karne ki shuruwaat karna chahiye aur khudh se ziyada dosron ki dekhbhaal ki uphaar ke liye. Hum ghamand aur jaranbhaao se bachne ki shakti ke liye prarthna kar saktein hain.

Prarthna hi zariya hoga prem ka uphaar ko Parmeshwar ka vaani aur Maseeh ka prem ko prapt karne mein (dekhiye Moroni 7:47--48). Weh dono saath saath miltein hain. Jab hum Parmeshwar ke vaani ko padhatey, dhyaan kartein, aur us par prarthna kartein hai, hum use prem karne lagenge. Prabhu humare hriday mein bhar deta hai. Jab hum us prem ko mehsoos kartein hain, hum Prabhu ko aur bhi zyaada prem karne lagenge. Uske saath dosron ke liye prem bhi aayega jo hume unko mazboot karne ke liye zaroori hai jinhein Parmeshwar humare maarg mein laata hai.

Uddhaaran mein, hum pracharakon ko shikshan dene ko jaanne ke liye prarthna kar saktein sakte hai jinhein Prabhu chahata hai. Pure-samay ke pracharak ko Aatma ke saath prarthna karna chahiye jaanne ke liye ki kya sikhlana aur gawahi dena hai. Weh vishwaas se prarthna kar saktein hain ki Prabhu Apne prem ko un sabhi ko mehsoos karaenge jinhein weh bhent kartein hain. Prachaarakein un sabhi ko jinhein bhent kartein hain ko baptisma ke paani aur Pavitra Aatma ke uphaar tak nahi pahuncha sakenge. Parantu weh Pavitra Aatma ko apne saathi ki tarah saath rakh saktein hain. Unke sewa se aur Pavitra Aatma ke madad se, prachaarakein tab, sahi samay par, unke hriday ko badal saktein hain.

Yah badlaao baar baar dohraya jayega jab weh aur hum swaarthipan ko jivan bhar ke liye chodenge dusron ko vishwaas ke kaarye mein Ishu Maseeh ke susamachaar ke saath mazboot karne ke liye. Parivartan ek hi baar nahi hoga ya kuch jo sirf jivan ke ek khaas samay ke liye nahi hoga parantu humesha ke liye. Jivan mein antim din tak roshni prapt ho sakta hai, jab hum Uddhaarkarta ko dekh sakenge aur jaanege ki hum bhi Uske tarah ban chukein hain. Prabhu ne safar ko is tarah batlaya hai: “Ki jo Parmeshwar se hai wah raushni hai; aur jo raushni ko prapt kar chuka hai, aur Parmeshwar mein vishwaas karta rahata hai, aur bhi ziyada raushni praapt karta hai; aur raushni badhati rahati hai jab tak antim din nahi aata” (D&C 50:24).

Main tumse vaada karta hoon ki wah hum sab kar saktein hain.

Is Sandesh Mein se Shikshan

Elder David A. Bednar jo Barah Devduton ke Parishad hai ne “achaar ki kahani” ka istamaal kiya yah sikhlane ke liye ki badlaao kartey rahana chahiye naki sirf ek hi baar: “Niyam par niyam, thoda yaha thoda waha, humesha aur nadikhnewaale, humare kaarye, humare vichaar, humare vaani, aur humare karam Parmeshwar ke aagya se mil jaatein hain” (“Ye Must Be Born Again,” Liahona, May 2007, 19). Unke saath achaar ke kahani ko baato jinhein tum sikhlaatey ho. Hum sab kya kar saktein hain humesha badlaao ki or tezi se jaane ke liye jise Pradhaan Eyring aur Elder Bednar dono ne batlaya hai?