2015
Ishu Maseeh ke Gun: Bina Paap ke
February 2015


Shikshan Sandesh Bhent, February 2015

Ishu Maseeh ke Gun: Bina Paap ke

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur wah dhoondhe jo aapko batlana hai. Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur mission ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karte ho? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye .Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Tasveer
Sahayak Sanstha mohar

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Humare Uddhaarkarta, Ishu Maseeh, hi sirf ek tha jo manushyon ke liye praeshchit karta. “Ishu Maseeh, Memna jo bedaag tha, ne Apne aap ko balidaan kiya aur humare paapon ki keemat ko chukaya,” Pradhaan Dieter F. Uchtdorf, Pratham Adhyakshta ke Dosra Salaahkaar ne kaha.1 Jaantey hue ki Ishu Maseeh paap se paripurn hai hume madad kar sakta hai humare vishwaas ko Usmein badhaane aur Uske aagyaon ko paalan karne, pashchataap, aur sudh hone mein.

“Ishu… sharir aur aatma ka tha, parantu Wah behkaawe mein nahi aaya (dekhiye Mosiah 15:5),” Elder D. Todd Christofferson jo Barah Devduton ke Parishad hai ne kaha. “Hum Uski or mudh saktein hain… kyunki Wah samajhta hai. Wah kathinaaiyon ko samajhta hai, aur Wah jaanta hai ki hum kis tarah us se baahar nikal saktein hain.…

“… Uska Praeshchit ki shakti se hum paapon se paripurn ho saktein hain. Jab hum pashchataap kartein hai, Uska mahima se hum uchit aur saaf hotein hain(dekhiye 3 Nephi 27:16--20). Yah ayesa ki humne paap hi na kiya ho, jayse hum behkaawe mein pade hi nahi.

“Jab hum har din aur har hafta Maseeh ke piche chaltey hain, humari aatma aur ziyada badhti hai, musibatein dur hoti hai, aur behkaawe se bachtein hain.”2

Anye Dharamshaastra

Matthew 5:48; John 8:7; Hebrews 4:15; 2 Nephi 2:5--6

Dharamshaastra mein se

Uddhaarkarta ne humare paapon ki keemat ko Apne Putratav se, Uske nishpaap jivan, Usko jhelne aur Uske rakhat ko Gethsemane ke Bagiche mein baha kar, Uske maut kruss par aur Uska Punaharjiwan ko kabra se chukaya hai. Ishu Maseeh ke Praeshchit se, hum dobara saaf ho saktein hain jab hum apne paapon se pashchataap karein.

Raja Benjamin ne apne logon ko Ishu Maseeh ke Praeshchit ke baare mein sikhlaya aur phir pucha ki kya weh uske shabdon ko vishwaas kartein hain. “Aur weh ek swar mein chillaye:… Aatma… ne hum mein badlaao kiya hai, ya humare hriday mein, ki hum paapon ko dobara nahi karein, parantu humesha achchaai par chalein.…

“Aur hum apne Parmeshwar ke aagya ka paalan karne ki wada kartein hain, aur sabhi cheezon par uske aagyaon ka paalan kareinge” (Mosiah 5:1--2, 5).

Hum mein bhi “badlaao ho sakta hai” Raja Benjamin ke logon ki tarah, jo paapon ko dobara nahi karna chahte the, parantu humesha achchaai par chalna chahate the” (Mosiah 5:2).

Vivran

  1. Dieter F. Uchtdorf, “You Can Do It Now!” Liahona, Nov. 2013, 56.

  2. D. Todd Christofferson, “That They May Be One in Us,” Liahona, Nov. 2002, 71.

Yeh Sochiye

Kis tarah saaf rehna sachche rehne se alag hai?

Chaapo