Shikshan Sandesh Bhent, June 2015
Ishu Maseeh ke Diviye Gun: Sadgun
Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur dhoondo jo batlana hai.Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur mission ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal kartey ho?Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.
“Sadgun tumhare vichaaron ko humesha sundar banaye; Tab tum humesha Parmeshwar ki upastithi ko jaanoge; aur purohiti tumhare aatma ki safaai karega jaese swarg se oas ki tarah. Pavitra Aatma tumhare saath humesha rahenge” (D&C 121:45).
Sadgun kya hai? Pradhaan James E. Faust (1920–2007) ne kaha: “Sadgun ka matlab hai ki sare sachchaaion ki gunon ko humari aatma ke madad ke liye saath ikatha karta hai.”1 Pradhaan Gordon B. Hinckley (1910–2008) ne baad mein kaha: “Parmeshwar ka Prem sadgun se shuruwaat hota hai.”2
Mahilaaoun aur sadgun ke netadari mein, Elder D. Todd Christofferson jo Barah Devduton ke Parishad hai ne kaha: “Mahilaaein duniya mein ek khaas tarah ki sadgun ke saath payeda hoti hai, ek diviye uphaar jo unhein prerna bhare gunon ko deta hai jaese vishwaas, himmat, samajhdaari, aur netadari aur paramparaoun mein gun. …
Bahanon, tumhare sabhi rishton mein, tumhara Parmeshwar ke saath ka rishta, tumhare Swargiye Pita, jo tumhare naetik shakti ka srot hai, wohi tumhare jiwan mein pehle hona chahiye.Yaad karo ki Ishu ka naetik shakti Unke Pita ki or sampurn shraddha ki ichcha se aata tha. … Pita aur Putra ke us tarah ke chele banne ki koshish karo, aur tum humesha safal hoge.”3
Anye Dharamshaastra
Psalms 24:3–5; Philippians 4:8; 2 Peter 1:3–5; Alma 31:5; D&C 38:23–24
Dharamshaastra mein se
Aaj, dhaarmik mahilaaein, vishwaas se bhari hui, Uddhaarkarta tak pahunchti hain. Luke 8 mein hum us mahila ke vishye mein padhatein hain jise 12 saalon se khoon na bhandh hone ki bimari tha jo teek nahi ho raha tha. Wah dheek hui jab usne “[Maseeh] ke piche se ahi, aur uske kapde ke kone ko chu liya tha: aur turant hi uske khoon na bandh hone ki bimaari [dheek] go gayi thi. … Aur Ishu ne kaha, Kisi ne mujhe chua hai: kyuki maine jaan liya hai ki mujh mein se4 saamarth nikali hai.” Yah vishwaasi dhaarmik mahila Uske paeron par gir padi, “sabhi logon ke saamne batlatey hue” ki “usne usko chua tha” aur turant hi dheek ho gayi thi. Aur usne use kaha ki, Beti tera vishwaas ne tujhe changa kiya hai” (dekhiye Luke 8:43–48; 6:17–19 bhi dekhiye).
Uske sadgun ke dwara,5 Maseeh changaai, shakti, mazbooti, daya, aur khushaai deta hai jab himmat aur vishwaas se Uske paas jaane ko chuntein hain.
© 2015 dwara Intellectual Reserve, Inc. Pure adhikaar surakshit. USA mein chaapa gaya. Angrezi swikriti: 6/14. Anuwaad swikriti: 6/14. Visiting Teaching Message, June 2015. Hindi/Fijian. 12586 298 ka anuwaad