Pratham Adhyakshta ka Sandesh, June 2015
Parivaar Humesha Saath Raha Saktein Hain
Purohiti shakti dwara parivaaron ko anant tak saath baandhna Parmeshwar ki ek mahaan uphaar hai. Sabhi insaan jo us mukti ki yojna ko jaan jaatein hain weh anant ashirwaad ki ikcha kartein hain. Srif Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim-din Santon ka samarpit mandiron mein bandhane ke kaarye mein Parmeshwar ne parivaaron ko humesha ke liye saath bandhane ka vaada kiya hai.
Wah purohiti ki chaabiyon jo is kaarye ko safal karti hain is dharti par bhavishyevekta Elijah dwara Kirtland Mandir mein Joseph Smith ko punahar prapt hua tha. Yah purohiti ki chabiyon ko humesha Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim-din Santon ka ke jiwit bhavishyevaktaoun ko aaj tak prapt hota chala aya hai.
Uddhaarkarta ne Apne maranshil dekhrekh ke dauraanparivaaron ko saath bandhane ki shakti ke bare mein Peter to batlaya tha, Uska Devdut, jab Usne kaha, “Main tumse sach kahata hoon, jo kuch tum prithivi par baandhoge, wah sawrg mein bandhega: aur jo kuch tum prithivi par khologe wah swarg mein kholega” (Matthew 18:18).
Yah srif celestial raajye mein hi hai ki hum humesha parivaaron ke saath raha saktein hain. Waha hum parivaaron ki tara humare Swarg ke Pita aur Uddhaarkarta ke paas raha saktein hain. Bhavishyevakta Joseph Smith ne yah sundar anubhao ko is tarah se Doctrine aur Covenants mein batlaya hain:
“Jab Uddhaarkarta ayenge hum usko uski tarah se dekh sakenge. Hum yah dekh sakenge ki wah humari tarah hi insaan hain.
“Aur wahi waartalaabh jo humare beech yaha hai waha par bhi humare beech hoga, srif yah anant mahima ke saath hoga, jis mahima mein hum abhi khushi nahi prapt kartein hain” (D&C 130:1–2).
Dharamshaastra batlata hai ki humare paas atam-vishwaas ho sakta hai jab hum chahenge ki humare privaaron ke naatadaari mein swarg sa gum ho. Hum apne parivaar ke sadesyon ka dekhbhaal karenge, jiwit yah mare hue, ke liye taaki bhum unko purohiti siddhaanton ko de sakein jo hume swarg mein saath baandhega.
Tum mein se kai, jawaan aur buzurg, kar rahe ho. Tumne purwajon ke naamon ko khoja hai jinhone abhi siddhaanton ko nahi prapt kiya hai jise hum saath bandh saktein hain.
Laghbhag sabhi ke paas jiwit parivaar hain jo parivaaron ki tarah saath nahi bandhe hain purohiti shakti dwara. Kai ke paas jiwit parivaarein hain jinhone purohiti siddhaanton ko prapt kar liya hai parantu weh Parmeshwar ke saath banaye hue vaadon par nahi chaltein hain. Parmeshwar tumhe ashirwaad dega ki tum un sabhi parivaaron ko vishwaas ke saath madad kar sakoge. Tumhare paas wah vaada hai jo Prabhu Apne chelon ko deta hai jo dusron ko Uske paas laata hai:
“Aur jo koi bhi tumhe swikaar karega, waha bhi main rahunga, ki main tumse pahale rahunga. Woh hamari daahini aur baai or rahenge, aur Unke Pavitra Atma hamare hriday mein rahega, aur Unke farishte hamare aas paas rahenge, hamari raksha ke liye” (dekhiye DC 84:88).
Mere apne daftar ke khidki se har din dhulhe aur dhulhan ko sundar phoolon aur fountains ke paas unko chitra utaartey hue dekhta hoon. Kabhikabhi dhulha ane dhulhan ko apne baahon mein utah kar lejata hai, kuch mushkil se bhare kadmon se, jabki chitrakaar tasveeron ko utaarta hai. Sabhi samay main yah dekhta hoon, mujhe wah saathi yaah hain jinhone—kabhi apne shaadi ke kuch hi din baad—dosre kaaran ek dosre ki madad kiya hain jab jiwan mein mushkil aye the. Naukri jhootne pat. Bachchein bahot takleefon ke saath payeda hue. Bimaari ho sakta hai. Aur phir, lath jo dosron ke saath karne ka jaesa hum apne saath kartein hain—jab yah karna saral ho—un musibaton ke samay hume naamchin banaye jab dosron ki madad karna bahot hi mushkil lage jitna hum ne socha hi na ho.
Humare parivaaron ko humse isi tarah ka rishtedaari chahiye jo hum Parmeshwar ke paas leja saktein hain. Hume bura nahi karna chahiye ya bura nahi maanna chahiye. Hum turant aur puri tarah se chama karne ko chuntein hain. Hume dosron ko khudh se ziyada khushiyon ko dene ki kosish karni chahiye. Hume dosron ke saath dayalupan se pesh ana chaiye. Jab hum yah sab kuch karni ki kosish kartein hain, hum Pavitra Aatma ko apne parivaaron aur humare jiwan mein anamtrirth kar saktein hain.
Mere aaswaasan tumhare liye hai ki, Prabhu ki madad aur sachche paschaataap ke saath, hum is jiwan mein us tarah ke jiwan ke ahesaas jo humesha ke liye chahiye ko kuch samajh saktein hain. Swarg ke Pita hum se prem kartein hain. Wah chahta hai ki hum Uske paas waapis ja kar rahein. Uddhaarkarta, Apne Praeschit ke shakti ke dwara, humare hriday mein badlaao ko lata hai jiske kaaran hum pavitra mandiron mein ja sktein hain, un vaadon ko bana sktein hain jo hum nibha sakein, aur humesha parivaaron ke saath celestial mahima mein raha sakein—ghar ki tarah.
© 2015 dwara Intellectual Reserve, Inc. Pure adhikaar surakshit. USA mein chaapa gaya. Angrezi swikriti: 6/14. Anuwaad swikriti: 6/14. First Presidency Message, June 2015. Hindi/Fijian. 12586 298 ka anuwaad