Shikshan Sandesh Bhent, October 2015
Ishu Maseeh ke Divye Gun: Daya aur Prem se bhara hua
Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur wah dhoondhe jo aapko batlana hai. Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur mission ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karte ho? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.
Dharamshaastra tak maargdarshan mein dayaluta ko is tarah batlaya gaya hai “sabse unchi, mahaan, shaktishaali prem” (“Charity”). Yah Ishu Maseeh ka sachcha prem hai. Jab hum Ishu Maseeh ke baare mein sikhtein hain aur Uski tarah banne ki koshish kartein hain, hum apne jiwan mein Uski sachche prem ko ahesaas karne ki shuruwaat karenge aur Uski tarah dosron ko prem aur sewa karne ke liye prerit honge. Dayaluta us kisi ke saath dhaerye rakhne ko kahata hai jisne hume kisi bhi tarah se niraasha mein kiya hai, “Pradhaan Thomas S. Monson ne batlaya. Asaani se bura maanne ka virodh karna chahiye. Is mein kamzoriyon aur chote chote bhulon ko swikaar karna chahiye. Is mein logon ko usi tarah swikaar karna hai jaese weh sahi mein hain. Ismein sharirik cheezon ke alaawa gunon ko dekhna chahiye jo samay ke saath nahi kam hoga. Dosron ke darze ko dekhne ki tulna ka virodh karna chahiye.”1
Mormon ki Dharamshaastra mein, hum mahaan sachchaai ko seekhtein hain ki “Isliye mere priye bandhuwon, apne hriday ko sampurn shakti ke dwara is prem mein paripurn hone ke liye Pita se prarthna karo jisse ki Usne un logon ko den mein diya hai jo ki uske Putra Ishu Maseeh ke sachche anugami hai; jisse ki jab Wah prakat hoga tab hum bhi usi ke samaan honge kyunki hum uska wastawik rup dekh sakenge; jisse ki hume yah asha praapt hoti aur hum usi prakaar nirmal kiye jaaenge jaese ki swanye nirmal hai.” (Moroni 7:48).
Anye Dharamshaastra
John 13:34–35; 1 Corinthians 13:1–13; 1 Nephi 11:21–23; Ether 12:33–34
Hamare Itihaas Se
“Ek bahan jiski abhi haal hi pati guzra tha bahot hi abhari thi us shikshan shikshak se jo uske saath dukh mein shaamil thi aur use daya dikhlaya tha. Usne likha: ‘mujhe kisi ki bahot ziyada zaroorat thi jo meri madad kar sakta; koi jo meri sunta. …Aur weh sune. Unhonne mujhe aswaasan diya. Weh mere saat roye. Aur unhonne mujhe gale lagaya … [aur] meri madad kiya mujhe niraasha aur udaasi ke akelepan ke un pahale mahinon se bahar nikalne mein.’
“Dosri mahila ne apne ahesaas ko bataya ki kis tarah usne mahesoos kiya tha ek shikshan shikshak ke sachche daya ke ahesaas ko: ‘mujhe pata tha ki main sirf ek aur mahila nahi thi jise usko bhent karna tha taaki uski bhent shikshan ka parinaam achcha ho sake. Mujhe pata tha ki wah mere baare mein parwaah karti thi.’”2
In bahanon ki tarah, duniyabhar ke kai Antim-din Sant is waakye ki sachchaai ki gawahi de saktein hain jo Barah Devduton ke Parishad ke Pradhaan, Pradhaan Boyd K. Packer (1924–2015) ne diya tha: “Yah jaanna ki yah bahot hi daya se bhara hua hai ki chahe jaha bhi [parivaar shaayad] jaaye, weh Girjaghar ke sadasye rahenge. Jis din se weh shaamil hotein hai, aadmi purohiti ke parishad mein shaamil hota hai aur mahila Sahayak Sanstha mein shaamil hoti hai.”3
© 2015 dwara Intellectual Reserve, Inc. Pure adhikaar surakshit. USA mein chaapa gaya. Angrezi swikriti: 6/15. Anuwaad swikriti: 6/15. Visiting Teaching Message, October 2015. Hindi, Fiji. 12590 298 ka anuwaad