2015
Apne Mashaal mein Tel daal lo: 30-Din ka Parishram
October 2015


Yuva

Apne Mashaal mein Tel daal lo: 30-Din ka Parishram

Girjaghar ke yuvaon ke liye jinke jiwan vyast hain, unke liye asaan hoga kuch hi cheezon ko karna kyunki weh unki adath ban jaati hai, khaaskar dhaarmik cheezon ke saath. Hum apne dharamshaastra ko padhatei, prarthna kartein, aur usi tarah har din bhakti kartein hain aur phir sochtein hain ki kyun hum dhaarmik taur se aage nahi badhtein hain.

Ek sabse achcha tarika hai apne dhaarmik mashaal ko tezi se jalte rahne ka humesha matlab ke dhaarmik anubhaoun ko karte rahane se. Parantu yah kahana asaan hai karna nahi, to yah ek sujhaao hai jo dhaarmik badhanti mei madad karega: Ek susamachaar-bhar gatividhi ke baare mein socho tumne jo kabhi nahi kiya hai( ya bahot mushkil se kiya hai) aur ek mahine bhar use har din karo. Tum thodi se shuruwaat kar sakte ho kyunki tumhe wah asaan lagega chote badlaao se ant tak badlao ko karte rahana. Dhaarmik cheezon ko karna jo humesha nahi hota hai mein hume apni or se ziyada vishwaas aur shakti lagani hogi, parantu jab wah hum karenge, hum Pavitra Aatma ko amantrit karta hain humare saath rahane ke liye, aur hum Swarg ke Pita mein zyaada vishwaas kartein hain aur Uske kareeb jaane ki ichcha kartein hain. Yaha par kuch sujhaao hai tumhare shuruwaat ke liye:

  • Subeh aur raatri ko apna prarthna karne ki lakshye banao. Zor se prarthna karne ki koshish karo.

  • Subeh 15 minton pahale jaago aur skool jaane se pahale apne dharamshaastra ko padho.

  • Pahale ke maha sammelan ke bhaashanon ko padho.

  • Mormon ki Dharamshaastra se soshal media par shaastra ko likho.

  • Prabhubhajan ya Girjaghar ke samgeet ko sunno bajaaye tumhare sthaaniye sangeet ke.

Chaapo