2016
Unke Vishwaas ke Prati Imaandaar
July 2016


Yuva

Unke Vishwaas ke Prati Imaandaar

Pradhaan Monson ek aguwa parivaar ki kahani batlata hai aur phir Pradhaan George Albert Smith ko dohraata hai: “Kya tum apne purvajon ke vishwaas ke prati imaandaar rahoge? … Koshish karo ki tum un sab balidaanon ke yogye rahoge jo [unhonne] tumhare liye kiya hai.” Chahe tumhare purvaj Girjaghar ke sadasye the ya tum pehle-peedhi ke sadasye ho, kya tum vishwaas ke uddhaaran ko dekhte ho maargdarshan aur shakti ke liye? Yeh ek achcha tarika hai shuruaat karne ka:

1. Un logon ke naam likho jinki tum gun gaate ho. Woh tumhare apne parivaar ke sadasye ho sakte hai(pehle ya abhi ke), dost, Girjaghar netaaen, ya dharamshaastra ke log.

2. Unke gunon ko likho jo tumhe pasand hai. Kya tumhari maa ekdam santosh rakhti hai? Shaayad tumhara dost sab ki or dayalu rehta hai. Shaayad tum Captain Moroni ke saahas se prem karte ho.

3. Apne list mein se ek gun ko chuno aur khud se pucho, “Mai kaise yeh gun haasil kar sakti hoon? Mujhe kya karna hoga is gun ko apne jiwan mein laane ke liye?”

4. Is gun ko khud mein badhane ke liye kya yojna hai likho aur aysi jagah rakho jaha har samay dekh paaoge, tumhe apne lakshye ko yaad dilaane ke liye. Swarg ke Pita ke madad ke liye prarthna karo aur apni pragati par nazar rakhiye. Jab tum mehsoos karoge ki tum mein yeh gun achchi tarah viksit ho gaya hai, tum ek naye gun par kaam karne lago.

Yaad rakho ki jaise hum khud mein achche gun laate hai, hum sirf apne purvajon ke vishwaas aur unke balidaanon ko sammaan nahin dete, magar hum apne aaspaas ke logon par bhi prabhaao daalte hai achchaai ki.

Chaapo