2016
Maata Pita banne ka Hamara Sambhaaona
July 2016


Shikshan Sandesh Bhent, July 2016

Maata Pita banne ka Hamara Sambhaaona

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur dhoondo jo batlana hai. Kaise “Parivaar: Duniya mein Susamachaar ka ek Aupchaarik Ghoshna” ko samajhna Parmeshwar mein vishwaas ko badha sakta hai aur tum jinki bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karti ho ko ashirvaad dega? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

“Yeh avashyak tha ki Parmeshwar ke aatmik bachchon ko manushye janam mile aur ek mauka anant jiwan ke or pragati karne ka,” sikhlaya Elder Dallin H. Oaks ne jo Barah Devduton ke Parishad ke hai. “Mahaan khushiyaali ki yojna ko dhyaan mein rakhte huwe, mai vishwaas karta hoon ki hamare bachche aur hamara vanshaj dharti aur swarg ke khazane hai.”1

Barah Devduton ke Parishad ke Elder Neil L. Andersen ne kaha:

“Hum parivaaron mein, aur hum bachchon mein vishwaas karte hai. …

“‘… Parmeshwar ne [Adam aur Eve] se kaha, Fulo, falo, aur prithvi mein bhar jaao’ [Genesis 1:28]. …

“Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim-dino ke Santon ka mein is aagya ko bhulaya ya nazar andaaz nahin kiya gaya hai.”2

Bhale hi is jiwan mein hum sab maata-pita nahin bante, hum har umra ke bachche ki dekhbhaal kar sakte hai. Hum Swarg ke Pita ke parivaar ka hissa hone ke ashirvaad ka anand lete hai, aur hum khushiyaan aur chunaotiyo ko anubhav karte hai ek maransheel parivaar hone ka. Aur kayi logon ke liye, maata pita banne ka saobhaagye unhe anantta mein milega.

Anye Dharamshaastra

Psalm 127:3; Matthew 18:3–5; 1 Nephi 7:1; Moses 5:2–3

Jiwit Kahaniyaan

“Is duniya mein kayi aawaazein aaj bachche paeda karne ke mahatva ko nicha dikhate hai ya sujhaao dete hai baad mein ya kam bachche rahe parivaar mein,” kaha Elder Andersen ne. “Haal hi mein meri beti mein mujhe ek blog dikhaya jo paanch bachcho ki ek Isaai maata (hamare girja ki nahin) ne likha tha. Usne likha: ‘Is sanskriti mein [bada] hona, bahut kathin hai maatritav par ek biblical nazariya paana. … Bachche paeda karna ka college jaane se kam mahatva deta hai. Duniya ghoomne se bhi kam.Raat ko apne mann se ghumne jaane se bhi kam. Gym mein apne shareer ko tandurust rakhne se bhi kam. Tumhare naukri ya jisk naukri ki aasha karte ho se bhi kam.’ Woh phir likhti hai: ‘Maatritav ek shaok nahin, ek niyukti hai. Tum bachche nahin batorte kyunki woh stamp se dulaare lagte hai. Yeh koi kaam nahin jo tum unhe apne vyast schedule mein ghusa sako. Yeh woh hai jiske liye Parmeshwar ne tumhe samay diya hai.’”3

Vivran

  1. Dallin H. Oaks, “The Great Plan of Happiness,” Ensign, Nov. 1993, 72, 75.

  2. Neil L. Andersen, “Children,” Liahona, Nov. 2011, 28.

  3. Neil L. Andersen, “Children,” 28.

Yeh Sochiye

Kin tariko se hamara dharti ka parivaar hamare swarg ke parivaar ke jaisa hai?

Chaapo