2016
Hamare Purvajon ke Vishwaas ke Prati Imaandaar Hona
July 2016


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, July 2016

Hamare Purvajon ke Vishwaas ke Prati Imaandaar Hona

John Linford 43 varsh ka tha jab uski patni, Maria, aur unke teen beton ne nirnay kiya Gravely, England ke apne ghar se kayi hazaar meel yaatra karne ka, taaki woh Mahaan Salt Lake valley mein Santon se jud sakein. Woh apne chauthe bete ko nahin le gaye, kyunki woh mission par tha, aur apne samaan liye Liverpool ke liye rawana huwe Thornton naam ke jahaaj mein.

Samundri maarg New York Shahar tak, aur wahan se zameen par Iowa tak, shaant tha. Magar, jaise hi Linford parivaar aur anye Antim-din Santon ne, jo Thornton se aaye the, Iowa Shahar ko choda July 15, 1856 ko, waise hi musibatein badhne lagi bure naseeb ke James G. Willie haathgaadi kampani ke liye.

Kathor mausam aur kathin yaatra se kayi logon ko takleef pahunchi, jismein John bhi tha. Woh aakhir mein itna beemaar aur kamzor ho gaya ki use haathgaadi mein kheenchna pada tha. Jab tak kampani Wyoming pahunche, uska swaasth bahut bigad gaya tha. Salt Lake Shahar se ek raahat team aaya October 21st ko, John ke kuch hi ghanto baad. Woh us din subha hi Sweetwater Nadi ke tat par guzar gaye the.

Kya John afsos kar raha tha ki usne sukh aur aaraam ko khoya tha sangharsh, kami, aur musibat ka saamna karke apne parivaar ko Zion le jaane ke liye?

“Nahin, Maria,” usne marne se pehle apni patni se kaha tha. “Mai khush hoon ki hum yahan aaye. Mai Salt Lake pahunchne tak to nahin bachunga, magar tum aur betein jaaenge, aur mujhe is yaatra ka pachtawa nahin hoga agar hamare betein badhe hokar apne parivaaron ko Zion mein paalein.1

Maria aur uske beton ne yaatra samaapt kiya. Jab 30 saal baad Maria ki mrityu hui, usne aur John ne apne piche vishwaas, sewa, bhakti, aur balidaan ka viraasat choda tha.

Ek Antim-din Sant banne ka matlab hai aguwa banna, kyunki aguwa ka arth hai “woh jo aage jaata hai auron ke liye raasta tayyaar karne ya kholne ke liye.”2 Aur ek aguwa balidaan se waakif ho jaata hai.Bhale hi Girjaghar ke sadasyon ko ab apne gharon ko chod ke Zion tak yaatra nahin karna padhta hai, unhe puraane aadaton, lambe samay ke parampara, aur priye doston ko chodna padtha hai.Kuch log Girjaghar sadasyata ka virodh karne waale parivaar sadasyon ko piche chod dene ka bahut dukhbhara nirnay lete hai. Antim-din Sant tab bhi aage badhte hai, prarthna karte huwe ki priyejan samajh kar maan jaaenge.

Ek aguwa ka maarg aasaan nahin hai, magar hum us mahaan Aguwa—haan Uddhaarkarta—ke nakshe kadam par chalenge jo humse pehle jiya hai, hamein maarg dikhlaate huwe.

“Aa, mere piche ho le,”3 Usne aamantrit kiya.

“Maarg aur sachchaai, aur jiwan mai hi hoon,”4 Usne kaha.

“Mere paas aao,”5 Usne kaha.

Raasta kathinaai se bhara ho sakta hai. Kuch log jo Parmeshwar ke aagyaaon ke or suddh, sachche, aur aagyaakaari hote hai paagal logon ke taanon aur bure nasihaton ko jhel nahi paate. Magar duniya aadarsh ko hamesha kam ahemiyat deti hai. Jab Noah ko jahaaz banane ke liye aagya mili thi, murkh log saaf baadal ki or dekh kar aur hase aur taane maare—jab tak ki baarish nahi hui.

Kayi sadiyon pehle American zameen par, log sandeh, aur jhagde karte rahe aur aagya ka paalan na kiya, jab tak ki Zarahemla na bhasm ho gayi, Moronihah dharti mein sama gaya, aur Moroni paani mein doob gaya. Taana dena, hasi udana, fuhad bhaasha, aur paap ab nahin the. Uski jagah par shaant udaasi, ghana andhera tha. Parmeshwar ke dhaerye ka samay samaapt ho gaya tha, Unka timetebal ko sanushti mil gayi thi.

Maria Linford ne kabhi apna vishwaas na choda bhale hi England mein virodh tha, uske yaatra ki kathinaaiya “us jagah tak ki jo Parmeshwar … tayyaar kiya,”6 aur uske baad ka parishram jo usne jhela tha apne parivaar aur Girjaghar ke liye.

1937 mein Maria ke yaad mein ki gayi kabra ke paas ke sabha mein, Elder George Albert Smith (1870–1951) ne uske baal bachcho se pucha: “Kya aap apne purvajon ke vishwaas ke prati imaandaar rahoge? … Kripya koshish karein us sab balidaanon ke liye yogye rehne ko jo [unhonne] tumhare liye kiya.”7

Jab hum apne dilon, gharon, samaajon, aur hamare deshon mein Zion banane ki koshish karenge aasha hai hum un logon ke atal himmat aur tikaau vishwaas ko yaad karenge jinhonne apna sab kuch diya taaki hum punahsthaapit susamachaar ke ashirvaadon ka anand le sake, uske aasha aur vaada ke saath jo Ishu Maseeh ke Praeshchit se milta hai.

Vivran

  1. Dekhiye Andrew D. Olsen, The Price We Paid (2006), 45–46, 136–37.

  2. The Compact Edition of the Oxford English Dictionary (1971), “pioneer.”

  3. Luke 18:22.

  4. John 14:6.

  5. John 7:37; 3 Nephi 9:22 bhi dekhiye.

  6. “Come, Come, Ye Saints,” Hymns, no. 30.

  7. Dekhiye Olsen, The Price We Paid, 203–4.

Is Sandesh Mein se Shikshan

Jin logon ko aap padhate hai unse puchiye ki woh apne jiwan mein un logon ke baare mein soche jo unse pehle jiye the aur aguwa the. Phir unse puchiye ki kya unhe kabhi aguwa banna aur kisi ke liye raasta tayaar karna pada tha. Unhe amantrit karein ki woh un palo ke baare mein soche jo unhe balidaan karna pada tha aur kyun woh faedemand tha. Aap uske baad unhe chunaoti de sakte hai ki woh Uddhaarkarta par apne gawahi ko likhe, “jo sarvashresht Aguwa hai”.

Chaapo