Yuva
Ek Muskurahat Antar La Sakti Hai
Pradhaan Uchtdorf sinaakth karte do lakshya jo humare chaal chalan mei hona chahiye: Parmeshwar se prem aur aadmi jan se prem. Par kabhi kabhi dusro se prem karna asaan nahi hai. Apne pure jeewan mei, kuch aise pal honge jaha dusro se mel milaap kathin hoga—shaayad kisi ne aap ko dukh pahuchaya hoga yah kisi se mel jhol rakhna ya baath karna mushkil hua hoga. Aise chann mei, aap ne apne doston, parivaar, Pitah Parmeshwar, aur Ishu Maseeh se jo prem mehsoos kiya hai use yaad kijiye. Aap ne in avastha par jo khushi mehsoos ki sochiye agar sabhi ko aisa pyaar mehsoos karne ka mauka miltha. Yaad rakhiye jo sabhi Parmeshwar ke putri yah putra hai aur yogya hai dono Unke aur aap ke pyaar ka.
Ek aise vyakti ke baare me sochiye jiske saath aap ki banthi nahi. Unhe apne prartha mei shaamil kijiye aur Pitah Parmeshwar se niwedan kijiye ki weh aap ka dil unke prati khol de. Aap jald unhe waise dekhenge jaise Weh dekhte hain: Apne bacche ki tarah jo pyaar ka yogya hai.
Prartha karne ke baad, unke liye kuch accha kijiye! Shayad unhe kisi kaarye me amanthrith kare yah dosto ke saath bahar jaane ke liye. Homework yah assignment me madad karne ka prastaav de. Sirf “namaste” kahe aur unhe dekh muskuraye. Yeh choti cheeze bhaari antar la sakti hai … aap dono ke jeewan mei!