2017
Sahayak Sanstha ka Lakshye
January 2017


Shikshan Sandesh Bhent, January 2017

Sahayak Sanstha ka Lakshye

Prarthnapurv is samaan ko padho aur prerna haasil karo jaanne ke liye ki kya baatna hai.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Sahayak Sanstha ka lakshya hai “mahilaaon ko anant jeewan ke ashirvaad ke liye tayaar karna,” kahati hai Linda K. Burton, Sahayak Sanstha ki Maha Adhyaksh.1 Vishwaas, parivaar, aur sahayta dwara hum apne “kaarye ka mahatvapurn bhaag” se judthe hain.2

Sahayak Sanstha “ek sharirik aur dhaarmik kaarye hai,” kahati hai Carole M. Stephens, Pratham Salahkaar Sahayak Sanstha ke Maha Adhyakstha mein. “Aisa mahilaaon ne Maseeh ke dino me kiya tha, aur wahi hum aaj bhi kar rahe hain.”3

Jab hum Samaria ki mahila jo kuwe ke paas thi ko dekhte hain, jisne apne paani ke gable ko chod daud kar sabhi se batlayi ki Ishu ek bhavishyevakta hai (dekhiye John 4:6–42), yah Phebe ko, jinhone khushi se apni saari zindagi dusro ki sewa ki (dekhiye Romans 16:1–2), hum Maseeh ke dino me mahilaaon ka misaal dekhte hain jinhone Maseeh ki or aane ka ek prabhaavith bhaag nibhaya. Wahi hai jo anant jeewan ke liye humara raasta kholta hai (dekhiye John 3:16).

Jab hum Nauvoo, Illinois ke apne pravarthak bahano ko dekhte hain, jo Sarah Kimball ke ghar par ikatha hui thi 1842 mei, apni sanstha chalane ke liye, hum Parmeshwar ke yojna ko dekhte hain Sahayak Sanstha ko janam dene aur purohiti ki sthar me laane ke liye. Baad me Eliza Baad me Eliza R. Snow ne sanvidhaan ko likha, Bhavishyevakta Joseph Smith ne iski alochna ki. Unhonne ahesaas kiya ki Girja tab tak puri tarah se sthaapit nahi thi jab tak mahilaaen sthaapit na ho jaaye. Unhonne kaha ki Prabhu ne unke bhent swikaar ki hai, par usse accha kuch aur tha. “Mai mahilaaon ko sthapith karunga purohiti ki dekh rekh me aur purohiti ke aadarsh me,” unhonne kaha.4

“Sahayak Sanstha sirf ek aur dal nahi tha jaha mahilaaen duniya me achcha karne ki koshis kar rahi thi. Yeh alag tha. Yeh aur ‘behtareen tha’ kyunki ise purohiti adhikaar ke dekh rekh me sthaapit kiya gaya tha. Iski sthaapna ek zaroori kadam tha is dharti par Parmeshwar ke kaarye ka vikaas hone ke liye. ”5

Athirikth Dharamshaastra aur Jaankari

Doctrine and Covenants 25:2–3, 10; 88:73; reliefsociety.lds.org

Vivran

  1. Linda K. Burton, in Sarah Jane Weaver, “Relief Society Celebrates Birthday and More March 17,” Church News, Mar. 13, 2015, news.lds.org.

  2. Linda K. Burton, Weaver, “Relief Society Celebrates Birthday” mein.

  3. Carole M. Stephens, Weaver, “Relief Society Celebrates Birthday” mein.

  4. Joseph Fielding Smith, Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society (2011) mein, 171.

  5. Daughters in My Kingdom, 34.

Yeh Sochiye

Sahayak Sanstha kaise mahilaaon ki madad karti Pitah Parmeshwar ka divye bhumika mein taaki weh anand jeewan pa sake?