2017
Maseeh ka Praeshchit Parmeshwar ke Prem ka Saboot hai.
February 2017


Shikshan Sandesh Bhent, February 2017

Maseeh ka Praeshchit Parmeshwar ke Prem ka Saboot hai

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur dhoondo jo batlana hai.

Tasveer
Sahayak Sanstha mohar

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Yeh samajhna ki hamare Swarg ke Pita ne Apna Iklauta Priye Putra diya ki hamein amransheelta aur sambhaovi anant jiwan mile hamein Parmeshwar ke anant aur akalpanik prem ko hamare liye mehsoos karne ke liye. Hamara Uddhaarkarta bhi hamein prem karta hai.

“Jisse hum Maseeh ke prem se alag ho jaaenge? …

“Kyunki mai nishchay jaanta hoon, ki na mrityu, na jiwan, na swargdut, na pradhaantaae, na shaktiyaan, na vartamaan, na bhavishye, na samarth, na aane waali baate,

“Na unchaai, na gehraai, aur na koi aur koi pashu, kaun hamein Ishu Maseeh hamare Prabhu ke prem se alag karega, jo ki Ishu hamare Prabhu mein hai” (Romans 8:35, 38–39).

Ishu Maseeh ke Praeshchit ke baare mein, Elder D. Todd Christofferson jo Barah Devduton ke Parishad ke hai ne kaha: “Gethsemane mein Uddhaarkarta ki kasht sehna aur krus par Uska tadapna hamein paap se mukt karta hai nyaye ke maango ko pura karne se jo hum par hai. Woh daya aur chama sabhi pashchataap karne waalo ko deta hai. Ishu Maseeh ka Praeshchit us karz ko bhi santusht karta hai, jo nyaye hamein baaki hai, changaai aur hamein un kasht se mukti dene ke zariye jo hum nirdosh ho kar sehte hai. ‘Dekho, woh sab ke liye kasht jhelega, haan, har ek jiwit praani, purush, stri jo Adam ke vansh ke honge, un sab ke liye woh kasht sahega’ (2 Nephi 9:21; Alma 7:11–12 bhi dekhiye).”1

Maseeh ne “[hamein] [Apne] haathon ke hatheli par godna sa banaya hai” (Isaiah 49:16). Linda K. Burton, Sahayak Sanstha Maha Adhyaksh, kehti hai, “Prem ka woh mahaan kriya hum sab ko hamare ghutno par kar dega prarthna ke liye taaki hum apne Swarg ke Pita ko dhanyevaad denge hamein utna prem karne ke liye ki Usne Apna Iklauta Priye aur uttam Putra bheja hamare paapon, sar dardon, aur woh sab ko jhelne ke liye jo hamare apne jiwan mein na-insaafi ho.”2

Anye Dharamshaastra aur Jaankaari

John 3:16; 2 Nephi 2:6–7, 9; reliefsociety.lds.org

Vivran

  1. D. Todd Christofferson, “Redemption,” Liahona, May 2013, 110.

  2. Linda K. Burton, “Is Faith in the Atonement of Jesus Christ Written in Our Hearts?” Liahona, Nov. 2012, 114.

Yeh Sochiye

Hum kaise Parmeshwar aur Ishu Maseeh ko apna abhaar dikha sakte hai Uddhaarkarta ke Praeshchit ke uphaar ke liye?

Chaapo