Pratham Adhyakshta ka Sandesh, February 2017
“Jaisa Maine Tum Logon se Prem Kiya”
Kuch saal pehle Louis naam ke mere dost ne mujhe ek madhur kahani sunaai apne shaant, dhimi-awaaz waale maa ki. Unke marne ke baad, Unke bete aur betiyon ko koi paese ki viraasat na mili balki virasat mein uddharan, balidaan, aagyakaarita ka dhan mila.
Antim-sanskaar ke bhaashanon aur shamshaan tak ke udaas safar ke baad, ab buzurg huwe bachche maa ke thode se sampati ko dekhne gaye. Us mein, Louis ko ek patra aur chaabi mila. Patra mein likha tha: “Kone waali sone ke kamre mein, mere almari ke niche ke drawer mein, ek chota sa box hai. Us ke andar mera pasandida khazana hai. Is chaabi se woh box khulega.”
Sab ashcharye karne lage ki unke maa ke paas kya itni keemti cheez thi jo use taala aur chaabi mein rakhna pada.
Box ko uske jagah se uthaya aur saodhaani se chaabi ke madad se khola gaya. Box ke saamagri ki jaanjh ke baad Louis aur uske bhaai bahanon ko, har ek bachche ki ek tasveer mili, unke naam aur janamdin ke taarikh likhi hui. Phir Louis ne haatho se bani valentine card nikali. Adhure, bachcho ke jaise likhawat mein, jo ki usi ka hai lagta tha, usne 60 saal pehle likhe shabdon ko padha: “Priye Maa, mai aapse prem karta hoon.”
Hriday komal, aawaazein dhimi, aur aankhe nam thi. Maa ka khazana uska anant parivaar tha. Uski shakti “Mai tumse pyaar karta hoon (I love you)” shabd ke buniyaad par tiki thi.
Aaj ke duniya mein, ghar se zyaada is prem ke thos buniyaad ki zaroorat kahi aur nahin hai. Aur duniya ko is buniyaad ka uddharan Antim-din Santon ke gharon ke alawa kahi behtar aur nahin milega jinhonne prem ko apne parivaarik jiwan ka hriday bana liya hai.
Hum mein jo log khud ko Uddhaarkarta Ishu Maseeh ke chelein kehte hai, Unhonne yeh gehri-samajhdaari ka salaah diya hai:
“Mai tumhe ek nayi aagya deta hoon, ki ek dusre se prem rakho; jaisa maine tumse prem rakha hai, waisa hi tum bhi ek dusre se prem rakho.
“Yadi aapas mein prem rakhoge to isi se sab jaanenge, ki tum mere chele ho.”1
Agar hum aapas mein prem rakhne ke aagya ka paalan karenge, hamein ek dusre se sahanubhuti aur aadar se pesh aana chahiye, daenik kaaryon mein prem dikhate hue. Prem ek daya ka shabd, ek shaant jawaab, ek nisswaarth karm, ek samajhne waala kaan, ek maafi dene waala dil hai. Hamare sabhi mel-milapo mein, yeh aur ayse anye kaarye hamare dilon ke prem ke gawaah hai.
Pradhaan Gordon B. Hinckley (1910–2008) ne dekha: “Prem … indradhanush(rainbow) ke ant ka sone ka ghada hai. Phir bhi woh indradhanush se badh kar hai. Prem bhi shuru mein hota hai, aur usi se woh sundarta aati hai jo toofaani dino mein aasmaan mein khilta hai. Prem woh suraksha hai jiske liye bachche rote hai, yuva tadapte hai, woh chipkaane waali vastu jo vivaah ko kaayam rakhti hai, aur woh lubricant jo ghar ke takraao ko chikna karta hai; woh budhaape ka shaanti hai, asha ka raushni jo maut mein bhi chamakta hai. Kitne ameer hai woh jo apne paarivar, doston, girja, aur padosi ke sambandhon mein iska anand lete hai.”2
Prem hi susamachaar ka mul tatva hai, maanav jiu ka uncha dharm. Prem hi dukhit parivaaron, peedit samaajon, aur bimaar deshon ka malham hai. Prem ek muskaan, ek ishara, ek dayalu boli, aur ek prashansa hai. Prem ek balidaan, sewa, aur nisswaarthipan hai.
Patiyon, apne patniyon se prem karo. Unhein izzat aur prashansa dijiye. Bahano, apne patiyon se prem karo. Unhe sammaan aur protsaahan dijiye.
Maata-pita, apne bachchon se prem karo. Unke liye prarthna karo, unhein sikhaao, aur unhe apni gawahi batlaao. Bachchon apne maata-pita se prem karo. Unhe sammaan, abhaar, aur aagyakaarita dikhaae.
Bina Maseeh ke sampurn prem ke, Mormon kehta hai, “[hum] kuch bhi nahin hai.”3 Mera prarthna hai ki hum Mormon ke salaah ko apnaaye “apne hriday ki sampurn shakti ke dwara, is prem se [hum] paripurn hone ke liye Pita se prarthna kare, jise ki usne un logon ko den mein diya hai jo ki Uske Putra, Ishu Maseeh ke sachche anugami hai; ki [hum] Parmeshwar ke putra banenge; jisse ki jab woh prakat hoga tab hum bhi usi ke samaan honge.”4
© 2017 Intellectual Reserve, Inc. Pure adhikaar surakchit dwara. USA mein chaapa gaya. Angrezi swikriti: 6/16. Anuwaad swikriti: 6/16. First Presidency Message, February 2017. Hindi, Fiji. 97922 298 ka anuwaad