2017
Maine Tay Kar Liya Tha
March 2017


Yuva

Maine Tay Kar Liya Tha

Lekhika Utah, USA mein rehti hai.

Mujhe ek baar Jawaan Mahilaaon ke kaksha me yaon pavitratha—ek aysa vishay jisne yuva ko asuvadhajanak kar diya tha ke baare mei ek mahatvapurn siksha mila. Mujhe us din sikhaye gaye sabhi cheez yaad nahi, par mujhe yaad hai us leadar ki baate jab wah apne ek vyaktigat star—humesha yaon rup se pavitra rahane ki sikcha de rahi thi. Unki baate mujh se jud gayi, aur maine faisla kiya mai bhi use apni vyaktigat star banaugi.

Ek din jab mai ek khel ke karya se bus me ghar ki or safar kar rahi thi, bus me kisi ne truth or dare ka khel shuru kiya. Bor hokar, mai aur kuch aur baccche isme shaamil ho gaye. Jab meri baari ayi, mujhe dare kiya gaya wah karne ke liye jo mai jaanthi thi ki sahi nahi hai. Yeh mere liye ek kathin chunaav ho sakthi thi, par mere Jawaan Mahilaaon ke leadar ke shabd mere mann me aya, aur wah chunaav asaan ho gaya. Maine jald se mana kar diya. Maine pahale se tay kar liya tha ki aise maukon par kya karungi.

Mai jaan chuki hoon ki jab hum girja jaatein hain aur jo waha sikhlaya jaata hai uske liye apne dil me jagha banayenge, tho hume mahaan aathmik taqat ka ashish milega aur duniya ke pralobhan se bachaav.

Chaapo