2017
Sacchai se Hatyaarbandh Hona
March 2017


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, March 2017

Sacchai se Hatyaarbandh Hona

Is dharti par, Parmeshwar ke bhavishyavakta, Pradhaan Thomas S. Monson, ne elaan kiya, “Aaj, hum sabse prabhaavshaali paap, atyachaar, aur burai jo kabhi bhi humare nazro ke saamne nahi thi, uska samna karte hue dera daale baythe hain.”1

Kya tum ascharyachakith hoge ki Pradhaan Monson ne in shabdo ko 50 saal pahale kaha tha? Agar un dino hum prabhaavshaali paapo ka saamna karke dera dale hue the, tho aaj hume burai kithni zyada ashanka deti hogi? Acchi vaja se, Prabhu ne is yug me pramaanith kiya hai, “Dekho, dushman juda hua hai” ( D&C 38:12).

Jis yudh mein “hum sab sahiyogi hai”2 woh humare dharti par janam lene se pahale shuru ho gaya tha. Iski shuruwaat dharti ke sthaapna se pahale shuru ho gayi thi. Yeh sab maranshil jeev se purva kai hazaaro saal pahale shuru hua, jab Shaitaan ne bagaavat ki aur “manushya ke abhikaran ko nasht karne ki koshish ki” (Moses 4:3).

Shaitaan wah yudh haar gaya aur “use dharti se nikaal diya gaya” (Revelation 12:9), jaha aaj bhi woh is yudh ko kayam kar raha hai. Yaha dharti par “wah Parmeshwar ke santo se yudh chedta hai, aur unke ird gird dera daal deta hai” (D&C 76:29) apne jhut, dokhe aur pralobhan se.

Wah devduton aur bhavishyavaktaon se yudh chedta hai. Wah suddhata ke niyam aur shaadi ki pavitratha ke khilaaf yudh chedta hai. Wah parivaar aur mandir ke khilaaf yudh chedta hai. Wah jo accha, dhaarmik, aur pavitra hai uske khilaaf yudh chedta hai.

Hum aise dushman ka mukaabla kaise karein? Hum us buraai se kaise ladein jo humari duniya ko nigal rahi hai? Humara hatyaar kya hai? Humare sahiyogi kaun hain?

Memna ki Taaqat

Bhavishyavkta Joseph Smith ne sikhlaya ki Shaitaan ki taqat humare upar sirf us hadh tak hai jithna hum unhe anumati detein hai.3

Humare dino ko dekhte hue, Nephi ne “Parmeshwar ke Memne ki shakti ko dekha, ki wah Memne ke girje ke santo ke upar, aur Prabhu ke anubandith logo ke upar aai, jo ki sampurn prithvi par bikhre hue the; aur dhaarmiktha aur Parmeshwar ke shakti ke mahaan anugrah se laye the” (1 Nephi 14:14; zor diya gaya).

Hum apne aap ko sacchai aur taqat se kaise hatyaarbandh kar sakte hain? Hum Sabbath ko pavitra rakhte hai aur purohiti ka adar karte hai. Hum pavitra vaada karte aur nibhate hai, parivaar itihaas par kaam karte hain, aur mandir jaate hain. Hum humesha paschataap karte hai aur Prabhu se vinthi karte hai ki “Maseeh ke praeshchit ke lahoo ko hum par lagao jisse humare paapo ko chama kiya jaye” (Mosiah 4:2). Hum Ishu Maseeh ke prathi apna vishwaas amal karte hain, unki gawahi dete hain aur unke dwara prathna karte hain.

Hum apne aap ko sacchai aur taqat se hatyaarbandh karte hain jab “[apne] mann me jeewan ke bol ki punji jama karte hain” (D&C 84:85). Hum in shabdo ki punji jama karte hain jab hum apne aap ko pavitra dharamshastra aur Prabhu ke chune hue sewako ke shabdon mein dubo dete hain, jo Unke iccha, mann, aur awaaz aur Prabhu ke chune huwe sewakon ke shabdo ko (dekhiye D&C 68:4) aane waale mahine ke maha sammelan me baatenge.

Burai ke khilaaf humare yudh mein, hume humesha yaad rakhna chahiye ki hume parde ke dono or se madad milegi. Humare sahiyogi me shaamil hain Parmeshwar Anant Pita, Prabhu Ishu Maseeh, aur Pavitra Aatma.

Humare sahiyogi me undekhi swarg ke saynik bhi shaamil hain. “Dar math,” Elisha ne ek dare huwe yuva ko batlaya jab weh ek dusht saynik ka saamna kar rahe the, “kyunki woh jo humare saath hain, unse kayi zyada hai jo unke saath hain” (dekhiye 2 Kings 6:15–16).

Hume darne ki zaroorat nahi hai. Parmeshwar Apne Santo se pyaar karte hain. Weh hume kabhi akela nahi chodenge.

Mai jaanta hoon ki Parmeshwar ne, prathna ke jawaab mei, mujhe burai se nikaalne ke vinnathi ko pura kiya hai. Mai gawahi deta hoon ki Pitah Parmeshwar, is duniya ke udhaarkarta, aur Pavitra Aatma ke madad dwara, hume aashwasan milta hai ki koi bhi burai ka saamna karne ke liye hume zaroorat se zyada taqat milega.

Hum humesha sacchai se hathyaardbandh rahe taaki hume antim vijay me yakeen rahe.

Vivran

  1. Thomas S. Monson, “Correlation Brings Blessings,” Relief Society Magazine, Apr. 1967, 247.

  2. “We Are All Enlisted,” Hymns, no. 250.

  3. Dekhiye Teachings of Presidents of the Church: Joseph Smith (2007), 214.