2017
Ishu Maseeh ki Saksham aur Praeschit karne ki Shakti
March 2017


Shikshan Sandesh Bhent, March 2017

Ishu Maseeh ki Saksham aur Praeschit karne ki Shakti

Prarthnapurv is samaan ko padho aur prerna haasil karo jaanne ke liye ki kya baatna hai. Kayse Sahayak Sanstha ke udeshye ko samajhne se Parmeshwar ki betiyaan ashirvaadon aur anant jeewan ke liye tayaar hongi?

Tasveer
Relief Society seal

Vishwaas, Parivaar, Sahayak

“Mai Maseeh ke dwara sab kar sakti hoon jo mujhe mazbooth karte hain”(Philippians 4:13). “Bhale hum mei kamzoriyaan hain, hum uspar kaboo pa sakte hain,” Pradhaan Dieter F. Uchtdorf, Pratham Adhyakstha me Dusre Salhakaar kahate hain. “Sachmuch Parmeshwar ke daya dwara, agar hum apne aap ko vinamra karte hain aur vishwaas rakhte hain, tho kamzor cheeze taqatwar ban jayegi.”1

Humare Udhaarkarta Doctrine and Covenants me kahate hain, “ Mai tumhare chahare se aage jaunga. Woh hamari daahini aur baai or rahenge, aur Unke Pavitra Atma hamare hriday mein rahega, aur Unke farishte hamare aas paas rahenge, hamari raksha ke liye” dekhiye DC 84:88).

“Nephi ek udhaaran hai jo Udhaarkarta ke sakriye karne ki shakti par nirbhar tha, aur use samajtha tha aur unhe jaanta tha,” Elder David A. Bednar barah devduton ke sadasye ne kaha. “Nephi ke bhaiyon ne use rassio se baandh diya tha aur uske nasht hone ka yojna kiya tha. Kripya Nephi ka prathna not karein: ‘He Prabhu, aap par mera jo vishwaas hai uske anusaar, kya aap mujhe mere bhaiyon ke haato se bachayenge; ha, mujhe taaqat de taaki mai in rassio ko khol saku jisse mai bandha hoon’ (1 Nephi 7:17; zor daala gaya).

“… Nephi ne apne halaath badalne ka prarthna nahi kiya. Balki, usne prarthna kiya taaqat ke liye taaki wah apne halaath badal sake. Aur mera vishwaas hai ki usne is tarah se prarthna kiya kyonki wah jaantha tha, aur samajtha tha, aur Praeshchit ke sakriye taaqat ka anubhav kiya tha.

“Mai nahi sochtha ke Nephi ke haatho ki rassi jisse wah bandha tha jaadu ki tarah nikal gaya. Balki, mujhe lagtha hai ki wah dono ataltha aur apne vyaktigat taaqat jo prakrithik chamtha se upar hai, se ashisith tha, ki tab wah ‘Parmeshwar ki taqat se’ (Mosiah 9:17) aur rassio ko tod matod kar, anth me apne bandhe haatho ko khol saka.”2

Athirikth Dharamshaastra aur Jaankari

Isaiah 41:10; Ether 12:27; reliefsociety.lds.org

Vivran

  1. Dieter F. Uchtdorf, “Mahima ka Tohfa,” Liahona, May 2015, 108.

  2. David A. Bednar, “Strength beyond Our Own,” New Era, Mar. 2015, 4.

Chaapo