2017
Bina Tag ka ek Prachaarak
June 2017


Yuva

Bina Tag ka ek Prachaarak

Paathshaala mein ek mera adhyapak tha jiske virodh ke vishay par baat karne se log bhaybheet hua karta tha. Ek din hum Antim-din Sant prachaarakon ke vishay par the. Mai jaanti thi ki mai uske sawaalon ke jawaab de sakti thi, par mujhe laga aysa nahin karna chahiye. Isliye maine utna hi kaha jisse woh santusht ho jaaye.

Iske baad ke kuch hafte mai hamare baat cheet ke baare mein sochti rahi. Ant mein, maine socha ki mai use ek Mormon Dharamshaastra doon jis mein prachaar kaarye ke baare mein kuch verse highlight kiye ho. Is soch se mujhe dar bhi hua, par woh soch wahin tha. Mai jaanti thi yeh ek prerna tha jispar mujhe chalna hai.

Lagbhag do mahine baad, mera Mormon Dharamshaastra tayyaar tha. Din bhar mujhe mehsoos hua ki yeh kitaab apni maujoodgi zaahir kar rahi hai mere bag mein. Mujhe jo teen chan lage kitaab ko use dene mein sardi ke mausam ki chuti par jaane se pehle mujhe laga woh mere jiwan ke sabse daraone pal the.

Lautne ke pehle din par, mai uske classroom se guzri par andar jaane se darti thi. Phir maine use mujhe pukaarte suna, aur usne mujhe ek card diya. Maine use baahar baraamde mein padha. Usne likha ki usne mere mark kiye verses ko “vistaar se” padha, aur usne mere vishwaas ke kuch vajahon ko dekhna shuru kiya tha.

Ab susamachaar baatne ke liye mai utsuk rehti hoon, aur bahut jald mai aur zyaada utsuk houngi apne Swarg ke Pita ki sewa karne ke liye mission par.