2017
Vachan Badh rehne ke dwara Purohiti Shakti rakhna
June 2017


Shikshan Sandesh Bhent, June 2017

Vachan Badh rehne ke dwara Purohiti Shakti rakhna

Prarthnapurv is lekh ko padho aur prerna haasil karo jaanne ke liye ki kya baatna hai. Kayse Sahayak Sanstha ke udeshye ko samajhne se Parmeshwar ki betiyaan ashirvaadon aur anant jeewan ke liye tayaar hongi?

Tasveer
Relief Society seal

Vishwaas, Parivaar, Sahayak

“Mera sandesh … aapke liye hai ki hum har ghante par jee sakte hai ‘purohiti ki shakti ke bal ke ashish ke dwara,’ chaahe jo bhi paristhiti ho,” kaha Elder Neil L. Andersen ne jo Barah Devduton ke Parishad ke hai.

“… Jab tum yogye hokar purohiti ke dharamsiddhaanton mein bhaag loge, Prabhu tumhe zyaada bal, shaanti, aur anant gyaan dega. Chaahe jo bhi tumhari stithi ho, tumhara ghar par ‘purohiti shakti ke bal ka ashish rahega.’”1

Hum kaise purohiti ki shakti ko apne jiwanon mein laaenge? Elder M. Russell Ballard jo Barah Devduton ke Parishad ke hai hamein yaad dilata hai ki “ woh jo baptisma lete aur uske baad apna endowment paate hai Prabhu ke ghar mein woh badhiya aur ashcharyejanak ashirvaadon ke hakdaar hai. Endowment shakti ka ek uphaar hai … [aur] hamara Swarg ka Pita dayawaan hai Apne shakti ko lekar.” Woh hamein yaad dilata hai ki aadmi aur aurat “donon ko ek hi shakti milti hai” mandir mein, “jiska arth hai purohiti shakti.”2

Linda K. Burton, Sahayak Sanstha Maha Adhayksh, ne kaha: “Jabki purohiti shakti hum sab ko pyaari hai apne parivaaron aur gharon ke liye, hamein kya karna chahiye us shakti ko apne jiwan mein amantrit karne ke liye? Niji taur se sachchaa rehna purohiti ki shakti ko laaega.”3

“Agar hum vinamrata se khud ko Prabhu ke samaksh pesh karoge aur Unse kahoge ki hamein sikhlaae, Woh hamein dikhaega kaise hamara pahunch Unke shakti ki or badh sakta hai,” kaha Pradhaan Russell M. Nelson ne, jo Barah Devduton ke Parishad Pradhaan hai.4

Athirikth Dharamshaastra aur Jaankari

1 Nephi 14:14; Doctrine and Covenants 121:36; 132:20; reliefsociety.lds.org

Vivran

  1. Neil L. Andersen, “Purohiti mein Shakti,” Liahona, Nov. 2013, 92, 95.

  2. M. Russell Ballard, “Men and Women and Priesthood Power,” Liahona, Sept. 2014, 36.

  3. Linda K. Burton, “Priesthood Power—Available to All,” Liahona, June 2014, 21.

  4. Russell M. Nelson, “Purohiti Shakti ki Keemat,” Liahona, May 2016, 69.