2017
Kaarye Mein Niyukt Hua
June 2017


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, June 2017

Kaarye Mein Niyukt Hua

Pradhaan Thomas S. Monson

Jab Bhavishyevakta Joseph Smith ne Elder Heber C. Kimball (1801–68) ko England jaa kar prachaar karne bheja “uddhaar ka dwaar kholne ke liye,” Elder Kimball aparyaapt mehsoos kar raha tha.

Usne likha, “He, Prabhu, mai ladkhadaate zabaan waala purush hoon, aur ayse kaarye ke liye yogya nahi hoon.”

Elder Kimball ne niyukti swikaar kiya, parantu kaha: “In vajaahon ne mujhe karm ke farz se nahin hataya; jis chan maine apne Swarg ke Pita ki marzi ko jaana, main bina koi mushkil ki parwaah kiye gaya, yeh vishwaas karke ki Woh Apne mahaan shakti se meri sahayta karega, aur mujhe woh sab gun dega jiski mujhe zaroorat hogi.”1

Mere jawaan bhaaiyon aur bahano aap jinhe pure-samay ke prachaar sewa mein niyukt kiya gaya hai, aapko yeh kaarye diya gaya kyunki, Elder Kimball ki tarah, “Parmeshwar ki sewa karne ki ichcha thi” (D&C 4:3) aur kyunki tum tayaar aur yogye ho.

Buzurg dampati, aapko is kaarye ki niyukti inhi vajaah se mili hai. Haalaanki, tum, sirf sewa karne ki ichcha nahin laate par kayi dinon ke balidaan, prem, aur anubhav se paaye gyaan ko bhi laate ho jise Swarg ke Pita istemaal kar sakte hai Apne putron aur putriyon ke hriday ko choone ke liye jo sachchaai dhoondh rahe hai. Koi shak nahi ki humne seekh liya hai ki hum kabhi Prabhu se sach mein prem nahin kar sakte jab tak hum auron ki sewa karke Unki sewa na kar le.

Tumhara prachaarak jaise sewa karne ki ichcha ke kaaran, tum vishwaas aur sahan shakti, saahas aur atma-vishwaas, samadhaan aur lacheelapan, nishchayta aur wafadaari. Wafadaar prachaarak mission bhumi par chamatkaar laa sakte hai.

Pradhaan John Taylor (1808–87) ne prachaarakon ke avashyak gunon ko is tarah ikattha kiya: “Jis tarah ke aadmi [aur aurat aur dampati] hamein chahiye susamachaar ke sandesh ko baatne ke liye unke paas Parmeshwar mein vishwaas hona chahiye; apne dharm mein vishwaas chahiye; jo apne purohiti ka sammaan karte hai; woh aadmi jin par … Parmeshwar vishwaas karta hai. … Hamein ayse aadmi chahiye jo Pavitra Aatma aur Parmeshwar ke shakti se bhare hai[,] … sammaan, sharafat, bhalaai aur shudhta.”2

Prabhu ne ghoshna ki hai:

“Kyunki dekho khet tayaar hai kataai ke liye; aur haan, woh jo apne bal se haswa chalaega, wohi bator kar rakhega ki woh naash na howe, parantu apne aatma ko uddhaar dilaega;

“Aur vishwaas, aasha, dayaluta aur prem, jo sirf Parmeshwar ke mahima ke liye ho, use kaarye ke liye yogye banayega” (D&C 4:4–5).

Tumhara niyukti prerna se milta hai. Mai gawahi deta hoon ki jise Parmeshwar niyukt karta hai, use kaabil banata hai. Tum swarg se madad paaoge jab tum prarthnashilta se Prabhu ke khet mein kaam karoge.

Jo sundar vaada Prabhu ne kiya tha is yug ke shuruaat ke prachaarakon se, jaisa Doctrine and Covenants mein likha hai, tumhara hoga: “Mai tumse pehle jaaunga. Mai tumhari daahini aur baai or rahunga, aur meri Pavitra Atma tumhare hriday mein rahega, aur mere farishte tumhare aas paas rahenge, tumhari raksha ke liye” (dekhiye D&C 84:88).

Sewa karte samay, tum achche anant yaaddaash aur dost banaoge. Mujhe nahin pata koi aur aysa khet jaha mission khet(field) ki tarah bahutaaish khushiyaali praapt hoti hai.

Ab, un elderon, sisteron, aur couples ke liye baat jo, kisi kaaran varsh, apna samay pura nahi kar paate hai mission field mein: Prabhu tumse prem karta hai. Woh aapke balidaan se khush hai. Woh aapke niraasha ko jaanta hai. Yeh jaano ki ab bhi Unke paas tumhare liye kaam hai. Shaetaan tumhe kuch aur na bataye. Tut mat jaana; saahas mat khona; maayus mat hona.

Jaisa maine maha sammelan mein dekha Girjaghar ka netritav ki zimmedaari lene ke kuch baad: “Daro mat. Khush raho. Bhavishye tumhare vishwaas jaisa ujwal hai.” Woh vaada ab bhi tumhare liye sachcha hai. Isliye apna vishwaas mat khona, kyunki Prabhu ne tum par vishwaas nahin khoya hai. Apne vachanon ko nibhaao aur aage badho.

Duniya ko Ishu Maseeh ke susamachaar ki zaroorat hai. Prabhu Apne sabhi Santon ko ashish dein—chaahe jahan bhi hum sewa karein—ek prachaarak jaise dil se.

Vivran

  1. Heber C. Kimball, Orson F. Whitney mein, Life of Heber C. Kimball,3rd ed. (1967), 104.

  2. Teachings of Presidents of the Church: John Taylor (2001), 73.

  3. Thomas S. Monson, “Khush Raho,” Liahona, May 2009, 92.