2017
Achchi Tarah se Tike Rahane ka Inaam
July 2017


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, July 2017

Achchi Tarah se Tike Rahane ka Inaam

Jab mai ek jawaan admi tha, maine Girja mei ek budhimaan district pradhaan ke saath salahkaar ke rup me sewa kiya tha. Woh humesha mujhe sikhlane ki koshish karta tha. Mujhe yaad hai woh salah jo unho ne mujhe ek samay diya tha: “Jab tum kisi se bhi milo, unse aise bartaav karo ki weh gambheer sankat me hain, aur aisa karne se tum aadhe se zyada samay sahi hoge.” Us samay maine socha tha ki wah niraashawadi hai. Ab, kuch 50 saal baad, mai dekh sakta hoon ki wah duniya aur jeewan ko kitni acchi tarah se samajhta tha.

Hum sabhi ko pariksha se guzarna padtha hai,—kabhi kabhi kathin pariksha se. Hum jaante hain ki Parmeshwar hume pariksha se guzarne deta hai taaki hum nirmal aur parishud rahein aur humesha Unke saath rah sakein.

Parmeshwar ne Bhavisyavakta Joseph Smith ko Liberty Jail me sikhlaya ki anth tak pariksha ko nibhane ka protsaahan unhe anant jeewan paane me madad karega.

“Parmeshwar ne unhe unke aatma mein shaanti dene ka vaada kiya aur use batlaaya ki uske virodhi aur musibatein kuch hi din tak rahenge;

“Aur phir, agar tum ise acchi tarah se nibhaoge, Parmeshwar tumhe anant jeewan dega; tum apne virodhi se vijay paoge” (D&C 121:7–8).

Humare jeewan me kai musibatein aati hai aur unhe anth tak jhelna shayad mushkil lage. Aisa us parivaar ko lag sakta hai jo fasal ke bharose hai jab ki baarish hi nahi hai. Weh shayad soche, “Hum aur kitne samay tak tik sakte hain?” Aisa ek yuva ko ahesaas ho sakta hai jo gandagi aur pralobhan ka samna kar raha ho. Aisa ek jawaan purush ko ahesaas ho sakta hai jo padhaai yah kaam ke liye siksha paane ka prayathan kar raha hai taaki wah apni patni aur parivaar ko sambhaal sake. Aysa us vyakti ko lag sakta hai jo naukri nahin dhoondh paa raha hai ya jisne naukri par naukri khoya hai kyunki kayi business band ho chuke the. Aysa un ko lag sakta hai jinki tabiyat kharaab ho rahi hai aur sharirik taqat kamzor ho rahi hai, jo unke yah unke priye jano ke jeewan me kam yah zyada umar me aa sakta hai.

Par ek pyaar karne waale Bhagvaan ne aisi pariksha sirf acchi tarah se nibhane ke liye nahi diya hai, par yah dekhne ke liye ki ise acchi tarah se nibhate hain taaki hum nirmal ban sake.

Pratham Adhyakshta ne Elder Parley P. Pratt (1807–57) ko sikhlaya, jab wah naya bulaya gaya tha Barah ke Parishad me: “Tum aise karye se jud gaye ho jisme tumhari puri dhyaan ki avashyaktha hai; … ek chiknaya hua teer bano. … Tumhe kai dukh, sankat, aur kathinai ka samna karna padega parishudi se nirmal banne ke liye. … Tumhare Pitah Parmeshwar chahate hain; maidaan Unka hai; kaarye Unka hai; aur Weh … tumhe khush karenge … aur tumhe uthayenge.”1

Hebrew ke pustak me, Paul acchi tarah se tike rahane ke fal ke vishay me batlata hai: “Ab varthamaan me koi bhi anushasan khushaal nahi, par dukhit lagtha hai; par aage chal kar wah shanti aur neki ke fal pradhaan karta hai” (Hebrews 12:11).

Humare imtihaan aur kathinaiya hume seekhne aur badhne ka mauka deti hai, aur yeh shayad humare fithrath ko badal de. Agar hum apne takleefo mei Uddharkarta ke paas ayenge, tho humari aatma nirmal ho jayegi anth tak tike rahane se.

Isliye, jo pahali cheez yaad rakhni chahiye woh hai humesha prarthna karna (dekhiye D&C 10:5; Alma 34:19–29).

Dusri cheez hai humesha agya ka paalan karne ki koshis—chahe humare aas paas jo koi bhi virodh, pralobhan yah haal chal ho (dekhiye Mosiah 4:30).

Teesri mahatvapurn cheez hai Parmeshwar ki sewa karna (dekhiye D&C 4:2; 20:31).

Swami ki sewa me, hum Unhe jaan paate aur prem karte hain. Agar hum prarthna aur vishwaaskari sewa se parishram karenge, tho hum apne jeewan me Uddharkarta aur Pavitra Atma ka prabhaav pahechaanna shuru karenge. Hum me se kai logo ne kuch samay tak aisi sewa pradaan ki hai aur us saath ko mehsoos kiya hai. Agar tum us samay ko mud kar dekhoge, tho tum dekhoge ki tum me badlaav tha. Bura karne ka pralobhan kam lagta tha. Accha karne ki iccha zyada ho gai thi. Jo tumhe pyaar karte the aur acchi tarah se jaante the ne shayad kaha tha: “Tum dayalu aur shant ban gaye ho. Tum ab pahale jaise nahi rahe.”

Tum aise insaan nahi the. Tum Ishu Maseeh ke Praeshchit dwara badle gaye the kyonki tum ne apne pariksha ke samay un par bharosa kiya.

Mai tumse vyada karta hoon ki Prabhu ayenge tumhe tumhari pariksha me madad karne ke liye agar tum Unhe dhoondoge aur Unki sewa karoge, jiske dauraan tumhari aatma nirmal ho jayegi. Mai tumhe chunavti deta hoon ki tum apne sab kathinaiyon me Un par bharosa rakho.

Mai jaanta hoon ki Parmeshwar jo Pitah hai jiwit hain, aur Weh humari prarthna ko sunthe hain aur unka jawaab dete hain. Mai jaanta hoon ki Unke Putra, Ishu Maseeh ne, humare paapo ke liye keemat ada kiya hai aur Woh chahate hain ki hum Unke paas aaye. Mai jaanta hoon ki Pitah aur Putra humari dekh bhaal karte hain aur humare liye ek maarg tayaar kiya hai taaki hum anth tak tike rahe and Unke paas waapas ghar ja sakein.

Vivran

  1. Autobiography of Parley P. Pratt, ed. Parley P. Pratt Jr. (1979), 120.