2017
Ki Weh Ek Ho
July 2017


Shikshan Sandesh Bhent, July 2017

Ki Weh Ek Ho

Prarthnapurv is lekh ko padho aur prerna haasil karo jaanne ke liye ki kya baatna hai. Kayse Sahayak Sanstha ke udeshye ko samajhne se Parmeshwar ki betiyaan ashirvaadon aur anant jeewan ke liye tayaar hongi?

Tasveer
Relief Society seal

Vishwaas, Parivaar, Sahayak

“Ishu ne Pitah ke saath parishud ekta kayam kiya Apne aap ko Unpar samarpan kar ke, dono sharir aur athma se, Pitah ke iccha par,” Elder D. Todd Christofferson jo Barah ke Parishad se hai ne sikhlaya.

“… Hum zaroor Parmeshwar aur Maseeh ke saath ek nahi honge jab tak hum Unke iccha aur dilchaspi ko apni abhilasha na bana le. Aisa samarpan ek din me hasil nahi hota hai, par Pavitra Atma dwara, Parmeshwar hume shiksha denge agar humari iccha ho, aur samay ke anusaar, yeh sahi tarike se kaha ja sakta hai ki Woh hum me waise hai, jaise Pitah Un mein hai.”1

Linda K. Burton, Sahayak Sanstha ki Maha Adhyakshta, ne sikhlaya ki kaise is ektha ki or kaam kiya ja saktha hai: “Vyada karna aur nibhana vachanbandh hone ka prakashan hai Uddharkarta ki tarah banne ke liye. Anukul hai ki hum us ravaiye ko apnane ki koshis karein jo ek manpasand ishbhajan ke bol me hai: ‘Mai jaunga jaha aap chahate hai ki mai jau. … Mai woh kahunga jo aap chahate hain ki mai kahoon. … Mai woh banunga jo aap chahte hai mai banoon.’”2

Elder Christofferson ne hume yaad dilaya ki “Jab hum har din aur har hafta Maseeh ke piche chaltey hain, humari aatma aur ziyada badhti hai, musibatein dur hoti hai, aur behkaawe se bachtein hain.”3

Neill F. Marriott, Dusri Salhakaar Jawaan Mahilaaon ki Maha Adhyakshta me, ne gawahi di apne iccha ko Parmeshwar ke iccha se milane ke vishay me: “Maine apne maranshil jeewan ke iccha ki har cheez meri tarah ho ko chodne me dikkath mehsoos ki hai, anth me ahesaas karna ki meri tarika kithni O kam hai, pratibandith, aur Ishu Maseeh ke raaste se kaam hai. ‘[Humare Pitah Parmeshwar ka] raasta woh marg hai jo hume is jeewan me khushiyali deti hai aur aane waale jeewan me ananth jeewan.’”4 Hum vinamratha se koshis karein Pitah Parmeshwar aur Unke Putra, Ishu Maseeh ki tarah banne mein.

Atirikth Dharamshaastra aur Jaankari

John 17:20–21; Ephesians 4:13; Doctrine and Covenants 38:27; reliefsociety.lds.org

Vivran

  1. D. Todd Christofferson, “That They May Be One in Us,” Liahona, Nov. 2002, 71.

  2. Linda K. Burton, “The Power, Joy, and Love of Covenant Keeping,” Liahona, Nov. 2013, 111.

  3. D. Todd Christofferson, “That They May Be One in Us,” 71.

  4. Neill F. Marriott, “Yielding Our Hearts to God,” Liahona, Nov. 2015, 32.

Chaapo