2018
Pashchataap Karne ki Thaan Le
January 2018


Yuva

Pashchataap Karne ki Thaan Le

Pradhaan Monson samjhate hai ki “hamari zimmedaari hai kam chamta se paryaapt chamta, nakaamyaabi se kaamyaabi ki or pragati karein. Hamara kaarye hai khud se behtar banna.” Kayi logon ke liye January ka mahina lakshye aur sujhaao banane mein guzarta hai jaise zyaada hasne ki, poshtik bhojan khaana, ya ek naya gun seekhna. Jabki yeh lakshye tumhe behtar banne mein madad kar sakte hai, sabse achcha tarika badlaao laane ka pashchataap ke zariye hai.

Bhale hi pashchataap kathin ho sakta hai, woh ek uphaar hai! Jab hum Ishu Masih par bharosa karke apne paapon se pashchataap lete hai, hum mein badhanti aur pragati hoti hai. Pradhaan Monson ne kaha, “Hamare Uddhaarkarta, Ishu Masih, [uddhaar ke] ke yojna ke liye khaas hai. Unke Praeshchit waale balidaan ke bagaer, sab kho jaate.” Pashchataap ke zariye, tumhare paap dhul sakte hai aur tum Unki tarah banne ki or pragati karoge.

Kisi aysi cheez ke baare mein socho jo tumhe Uddhaarkarta ke jaisa banne se rokta hai. Kya woh tumhara bhaasha hai? Tum kis tarah apne doston ya parivaar waalon se pesh aate ho? Kis cheez par sudhaar laana hai ke baare mein sochne ke baad, Swarg ke Pita se prarthna karo aur apne badlaao laane ki ichcha bataao. Yaad rakho ki Unke Praeshchit ke shakti ke zariye, Ishu Masih tumhare kamzori ko hatane mein madad karega. Jaise Pradhaan Monson ne sikhlaaya, “Pashchataap ka uphaar jo Uddhaarkarta dwara diya gaya hai, hamare liye mumkin karta hai apne maarg ko badalne mein.”