2018
Unse sampark mein Rahe Kabhi bhi, Kahi bhi, Kisi bhi Tarah
January 2018


Shikshan Sandesh Bhent, January 2018

Unse sampark mein Rahe Kabhi bhi, Kahi bhi, Kisi bhi Tarah

Shikshan bhent dena dekhrekh ke baare mein hai. Ishu ne kabhi bhi aur kahi bhi dekhrekh kiya. Hum bhi waisa kar sakte hai.

“minister(dekhrekh)” ka matlab hai sewa karna, dekhbhaal karna, ya woh sahayta jo kisi ko ashuwaasan ya khushi deta hai. Shikshan bhent naye tarike jaanne ke baare mein bhent karne waalo ki dekhrekh ke liye. Ishu Masih ne sab ki dekhrekh ki—kabhi bhi aur kahi bhi. Usne 5,000 ko bhojan khilaya, Mary aur Martha ko sahanubhuti di unke bhaai ke mrityu par, aur Apna susamachaar kunwe par us mahila ko sikhaya. Usne aysa apne sachche prem ke kaaran kiya.

Unke uddharan par chalne se, shikshan shikshak ke rup mein hum har ek bhent kiye bahan ko jaan sakte aur unse prem kar sakte hai, yaad rakhte huwe ki prem hi hamare sab kaarye ka buniyaad hai. Jab hum prerna ke liye prarthna karte hai taaki hum kaise uski sewa karein aur uske vishwaas ko mazboot karein, “farishte [hamare] saathi banne se nahin ruk paaenge.”1

1842 mein Sahayak Sanstha ke ayojan se lekar aaj tak, mahilaaon ke dekhrekh ne kayi jiwanon ko ashish diya hai. Uddharan ke liye, Joan Johnson, ek 82-saal-ki-budhi vidhwa, aur uska shikshan dene waala saathi apne 89-saal ki padosi ko padhate hai jise pneumonia hai. Unhonne dekha ki unki padosan sirf mahine mein ek baar dekhrekh nahin chahati thi, isliye woh har hafte uske paas jaate ya use phone karte.

Anye shikshan shikshakon ke liye, ek text ya email bhejne se protsaahan dena behtar lagega kisi bahan ke liye har mahine karna. Niji sampark banana aur prem ke bhaona se sunna hi shikshan sandesh bhent kehlata hai. Modern technology aur khud-aamne-saamne-bhent karne se hamein kabhi bhi, kahi bhi, aur kayi tarikon se bhent karne mein madad karegi.2 Yahi hai Ishu ki tarah dekhrekh karna.

Vivran

  1. Teachings of Presidents of the Church: Joseph Smith (2007), 454.

  2. Dekhiye Handbook 2: Administering the Church (2010), 9.5.1.