2021
Ek Gaon ko Bachane ke liye Ek Ladke ki Zaroorat Padi
April 2021


“Ek Gaon ko Bachane ke liye Ek Ladke ki Zaroorat Padi,” For the Strength of Youth, Apr. 2021, 10–11.

For the Strength of Youth Har Mahine Ka Sandesh, April 2021

Ek Gaon ko Bachane ke liye Ek Ladke ki Zaroorat Padi

Tom Fanene ki umar sirf 12 saal ki thi, lekin jab ek bhayanak bimari ne uske Samoan gaon pe aakraman ki to use bade kaam karne ke liye bulaaya gayaa.

Samoan dweep ke saath ladka bimaar gaon waasi ko madad kar raha hai

James Madsen ne chitra banaya; photograph Getty Images ka

Is saal ke yuva vishay kehta hain, tum “ek mahan kaam ki neev bana rahe ho” (Doctrine and Covenants 64:33). Girjaghar ki itihaas me, yuva logon ne aksar Parmeshwar ke raajya ke nirmaan mein mahatvapurn samay par ek avashyak bhumika nibhaai hai. Ih ek uddharan hai.

Dweep Mahamari

100 saal pehle, Pacific Ocean ke Samoan Dweep mein, Tom Fanene naam ka ek yuvak Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo Ka ke sadasyon ke liye zindagi-aur-maut ki sthiti ke dauraan ek mahatvapurn sahayak tha.

Tom Sauniatu naamak ek gaon mein rehta tha, jiski sthaapna kshetra mein Antim-dino Santon dwara ki gayi thi ek ikattha karne aur ek samuday banane ki jagah ke liye. Anye samay aur sthaanon mein Parmeshwar ke Santon kee tarah, unhonne parikshaaon ke saath-saath chamatkaaron ka anubhav kiya jab unhonne saath mein Parmeshwar ke raajya ka nirman karne ka kaam kiya tha. Ek parikshan 1918 mein aaya tha, jab ek influenza mahamaari gaon mein pahunch gaya.

Jaise hi bimaari pahunchi, yeh hanikarak(devastating) tha, aur yeh jaldi fael gaya. Lagbhag 400 gaon waalo mein se har ek iski wajah se apaahij tha. Unmein se kuch the jo chalne ke liye theek the: ek bade aadmi aur 12-saal-ka Tom.

Vishwaas aur Kadi Mehnat

Tom ke parivaar ne vishwaas ka prayog kiya bimaari ka saamna karne ke liye aur iske parinaamaswarup chamatkaar dekhe the. Tom ka chota bhaai Ailama kuch saal pehle bimaar tha. Unke pita, Elisala, ne ek sapna dekha tha jisme woh Ailama ke liye dekhbhaal karne ke liye kya karna hai par vishisht nirdesh diya gaya tha: ek wili-wili ped mill jaaye, kuch chaal(bark) ko nikaalo, aur rass paane ke liye pound kare. Elisala ne aisa kiya aur Ailama ke liye rass laaya, jisne ise piya aur jald hi theek ho gaya. Toh Tom ne dekha tha ki kaise vishwaas se kaam karne se bimaari ko dur karne mein madad kar sakta hai.

1918 mein influenza mahamaari ki dauraan, Tom ne vishwaas ka prayog kiya jab unhonne gaon ke logon ki dekhbhaal ke liye kadi mehnat ki. Unhonne kaha, “har subah main ghar-ghar jaakar logon ko khana khilata aur saaf karta aur yeh pata lagaata ki kaun mar gaye the.”

Woh ek jharne(spring) se baltiyon me paani laateaur har ghar mein paani laaya. Woh nariyal ki pedon par chadh kar, nariyal uthaya, nariyal ki baahari ko nikala, aur unhe khola rass nikale ke liye taaki bimaaro ke paas le jaaye. Har parivaar ke liye soup banane ke liye usne gaon ki sabhi murgiyon ko bhi maar dala.

Ek Bhaari Badlaao Laana

Is mahamaari ke dauraan, Samoa mein sabhi logon mein se lagbhag ek-chauthaai influenza se mare. Tom ki gaon ke kuch logon ki bhi maut ho gayi. Tom ne kabra khodne mein madad kee aur unmein se 20 se adhik ko dafnaaya, jismen unke apne pita Elisala bhi shaamil the.

Lekin Tom kee kadi mehnat aur pyaar bhare dekhbhaal se, gaon kee kayi log bach gaye. Usne un logon ke liye ek bhaari badlaao laaya aur Samoa mein Prabhu ke raajye ko banane mein. Woh “ek mahaan kaam ke neev ko shuru kar raha tha.”

Aur apne tarike se, aap bhi kar rahe hain.

Aap ko Tom dwara kiye gaye kaaryon ko karne ke liye nahin bulaaya jaa sakta hai, lekin aap, vaastav mein, vibhinn tarikon se vishwaas ka prayog kar sakte hai jo aapko, dusron ke liye aur Parmeshwar ke raajye ke nirmaan ke kaarye ke liye bhaari badlaao laaega.

Aap punya, dhaerya, dayaluta, aur pyaar dikhaa kar apne parivaar, doston aur dusron ke liye ek udhaaran sthaapit kar rahe hain. Aap dusron ki sewa kar rahe hain. Aap shaastr adhyayan aur praathna me lage huwe hain. Aap Ishu Masih ke punahsthaapit susamachaar ke divye sachchaaiyon ko baat rahe hai.

Is pichale saal ke dauraan, aap mein se kayi bhi ek mahamaari ke prabhav ko sahan karte hue in baaton ko kar rahe hai. Ho sakta hai ki aap paani aur nariyal nahin laaya hai aur 400 logon ko waapas swasth me nahi laaya hai, lekin aap ne logon ko araam, aasha, khushi, aur shaanti diya hai kayi anye tarikon se.

Aapki umr aapke vishwaas aur dusron ke liye kaam karne aur sewa karne ki aapki ichcha se kam mayne rakhti hai. Tom Fanene ke udhaaran se, aapko yeh dekhne mein madad kar sakte hain ki aapko Parmeshwar ke mahaan kaarye kee neev banane mein kya avashyak hai.