2021
Ishu Masih ne Hamen Paap aur Mrityu se Bachaaya
April 2021


“Ishu Masih ne Hamen Paap aur Mrityu se Bachaaya,” Liahona, April 2021

Har Mahine ka Liahona Sandesh, April 2021

Ishu Masih ne Hamen Paap aur Mrityu se Bachaaya

Unke balidan ke kaaran, hum sabhi ko anant shanti aur khushi khojne ka mauka milta hai.

The Last Supper(Woh Akhri Shaam ka Khaana)

Christ Creating the Earth(Masih Duniya ko Bana Raha Hai), Robert T. Barrett dwara

Hum Ishu Masih ko hamare Rakshak kehte hain. Aisa isliye hai kyunki Usne hamare paapon ki keemat chukaai aur mrityu ki shakti par kaboo pa liya. Usne hamein bachaya! Usne hamare liye balidaan diya, jise Praeshchit kaha jaata hai, sabse mahatvapurn ghatna hai jo hua. Uske kaaran, mrityu anth nahin hai. Uske kaaran, hame apne paapon se chama kiya ja sakta hai, fir se saaf ho jaate hain, aur pratyek din behtar bante rehte hai.

Ishu Masih Pehlauta the

Prithvi per aane se pahele, hum apne swarg ke maata-pita ke saath rehte the. Pehlauta ke roop mein, Ishu Masih ne is khoobsurat duniya ko banaane mein madad kee. Woh hamare Rakshak hone ke liye chunna gaya tha aur prithvi par paeda hone ke liye sahmat hue taaki Woh ek adarsh udhaaran sthaapit kar sake, Apne susamaachar ko sikha sake, aur hamare liye Praeshchit pura kar sake.

Gethsemane mein Ishu Masih praathna karte hai

O My Father(Ay Mere Pita), Simon Dewey ke dwara

Ishu Masih Hamare Paapon ke liye Bhugtaan Karis

Jab Ishu ko pata tha ki Woh jald hi mar jaaega, Woh praathna karne ke liye Gethsemane naamak ek bagiche mein gaya tha. Us praathna ke dauran, Usne hamare paapon ka keemat chukana shuru kiya. Woh sweyichcha se saha ki hamein aisa na karna pade—agar hum pashchataap karein. Jab hum apne paapon se dur ho jaate hain aur iske bajay Rakshak ka paalan karte hain, hum chama aur upchaar pa sakte hain. Gethsemane mein Usne jo anubhav kiya, Ishu achchi tarah samajhta hai ki hamari tarah hona kaisa hai. Usne hamare sabhi dukhon, bimaariyon aur dard ko mehsoos kiya. Yeh Praeshchit ka pahela bhaag hai.

Masih ka Dafnana

The Burial of Christ(Masih ka Dafnana), Carl Heinrich Bloch dwara

Ishu Masih ne Mrityu pe Vijay Paaya

Gethsemane mein Unki praathna ke baad, Ishu ko suli par chadhakar dhokha diya gaya, giraftar kiya gaya aur maut ki saza sunai gai. Bhale hi Woh behad-shaktishaali tha, Ishu ne Khud ko krus par maarne ki anumati dee. Unke chelon ne pyaar se Unke sharir ko ek kabr mein rakh diya. Unhe pata nahin tha ki bhale Uska shareer mar chuka tha, fir bhi aatma ki duniya mein Uski aatma jiwit thee. Teen din baad, Ishu fir se jee utha aur unse milne gaya, yeh saabit kiya ki Woh mrityu pe vijay paa sakta hai. Isse Praeshchit pura hua. Kyunki Ishu punarjiwit hua tha, hum mein se pratyek fir se jee uthega hamare marne ke baad.

Masih aur Mary kabra pe

He Lives(Woh Jee Utha Hai), Simon Dewey dwara

Bada din aur Easter ka Matlab

Duniya me adhikansh log do chuttiyaan manaate hai jo hamen Ishu Masih ke Praeshchit ko yaad karne mein madad karta hai. Bada din ke dauraan, hum kritigyata ke saath yaad karte hai ki Ishu prithvi par aane ke mishan ko swikaar karne ko taeyaar tha, bhale hi usme dukh aur hamare liye marna shaamil tha. Easter paap aur mrityu par Rakshak ki jeet ka jashn manaata hai, jo hamen khushi ke ek anant bhavishya ka aasha deta hai.

Masih Peter aur Andrew ko bulaate huwe

Christ Calling Peter and Andrew(Masih Peter aur Andrew ko bulaate huwe), James Taylor Harwood dwara

Dharamshaastr Rakshak ke Praeshchit ke Baare Me Konchi Bole Hai?

Kyunki Ishu hamen puri tarah se jaanta hai, Woh hamein “raahat dega,” ya hamen madad kar sakte hai, (dekhiye Alma 7:11–12).

Rakshak hamare dukhon aur gehra dukh ko samajhta hai (dekhiye Isaiah 53:2–5).

Parmeshwar ne hamen bachaane ke liye Ishu ko bheja kyunki Parmeshwar hum mein se har ek ko pyaar karta hai (dekhiye John 3:16–17).

Ishu ne Apne chelon ke liye praathna kee, ki unhe buraai se bachaaya jaa sake aur Unke aur Swarg ke Pita ke saath woh ek ho(dekhiye John 17).

Hamara Rakshak hamen Uske jaisa karne aur Uski upasthiti par lautne ke liye amantrit karta hai (dekhiye Doctrine and Covenants 19:16–19, 23–24; 132:23).