“Purohiti ke Ashirvaad,” Liahona, Mar. 2023.
Har Mahine ka Liahona Sandesh, March 2023
Purohiti ke Ashirvaad
Ek purohiti ka ashirvaad ek Melchizedek Purohiti rakhnewaala ke prerna se milta hai. Purohiti ke ashirvaad Parmeshwar ke bachcho ko Unki shakti, changaai, sahanubhuti, aur maargdarshan paane ke liye mumkin karte hai.
Purohiti
Purohiti Parmeshwar ke shakti aur adhikaar hai. Yogye purush jon Melchizedek purohiti rakhte hai woh Ishu Masih ke naam pe kaarye karte hai jab woh purohiti ashirvaad dete hai. Jab woh yeh ashirvaad dete hai, toh weh dusron ko ashirvaad dene ke Rakshak ke uddhaaran ka anusaran karte hai.
Ashirwaad Kaise Diya Jaata Hai
Pavitra Aatma sir pe haath rakhne se diya jaae hai. Ek Melchizedek Purohiti rakhnewaala ashirvaad praapt karne waale vyakti ke sir par apna haath rakhta hai. Phir woh Aatma ke nirdesh anusaar ashirvaad deta hai. Woh jo ashirvaad dete hai aur woh jo paate hai Parmeshwar me vishwaas karte hai aur Unki ichcha aur samay pe bharosa karte hai.
Bachcho ka Naam Karan aur Ashirvaad
Ek bachche ke janm ke baad, ek purohiti rakhne waala use ek naam aur ashirvaad deta hai (dekhiye Doctrine and Covenants 20:70). Yeh aamtaur pe ek upwaas aur gawahi baethak. Bachche ko sabse pehle naam diya jaata hai. Phir purohiti rakhnewaala bachche ko ashirvaad deta hai.
Beemaaro ke Liye Ashirvaad
Melchizedek Purohiti rakhnewaale beemaar logon ko ashirvaad de sakte hai. Is tarah ke ashirvaad ke do hisse hote hai: abhishek karna(anointing) tel se aur abhishek par muhar lagana seal karke. Sabse pehle, ek purohiti rakhne waala jeytun(olive) ke tel ki ek bund daalta hai jise pawitr kiya gaya hai, ya asheesh diya gaya hai, vyakti ke sir par daalta hai aur ek choti praathna karta hai. Phir ek dusra purohiti rakhne waala abhishek par muhar lagata hai(seal) aur Pawitr Aatma dwara nirdeshit vyati ko ashirvaad deta hai.
Aaraam aur Sahanubhhuti ka Ashirvaad
Melchizedek Purohiti rakhne waale parivaar ke sadasyon aur anye logon ko aaraam ki ashirvaadein aur sahanubhuti de sakte hai jo unse maangte hai. Ek pita jo Melchizedek Purohiti rakhta hai apne bachchon ko pita ka ashirvaad de sakta hai. Yeh vishesh rup se sahayak ho sakte hai jab bachche vishesh chunaotiyon ka saamna kar rahe ho.
Callings me Sewa Karne Ke Liye Sadasyon ko Set Apart karna
Jab Girjaghar ke sadasyon ko callings(niyuktiyaan) praapt hoti hai, unhe ek ashirvaad diya jaata hai jab unhe set apart kiya jaata hai sewa pradaan karne ke liye. Ek purohiti leedar unhe calling me kaarye karne ke adhikaar ke saath ashirvaad deta hai. Purohiti neta unhe unki sewa me madad karne ka ashirvaad bhi deta hai.
Kulpati ke Ashirvaad(Patriachal Blessings)
Girjaghar ka har ek yogye sadasye ek kulpati ashirvaad haasil kar sakta hai. Yeh ashirvaad Prabhu se niji salaah deta hai. Yeh ek vyakti ke jiwan bhar maargdarshan aur sahanubhuti pradaan kar sakta hai. Yeh Israel ke gharane me vyaktu ke vansh ko bhi batata hai. Is prakaar ka ashirvaad kewal ek niyukt(ordain) kiye kulpati(patriarch) hi de sakta hai.
dwara © 2023 Intellectual Reserve, Inc. All rights reserved. USA me chaapa gaya. Angrezi swikriti: 6/19. Anuwaad swikriti: 6/19. Monthly Liahona Message, March 2023 ka anuwaad. Language. 18905 298