2023
Unke paas Aao
March 2023


“Unke paas Aao,” For the Strength of Youth, Mar. 2023.

Har Mahine Ka For the Strength of Youth Sandesh, March 2023

Unke paas Aao

Rakshak hamein amantrit karta hai apne bojh ko Unke upar rakhne ke liye.

Ishu Masih

Annie Henrie Nader ne tasveer banae

Mere paas aao

Hum Rakshak ke paas aa sakte hai Uske susamachaar ko seekh kar, Unme vishwaas karke, pashchataap karke, vachano ko banane aur nibhane se, aur Unke uddharan pe chalne se.

parishram … bojh se bade huwe

Sharirik shram(labour) aur sharirik bojh hamein thaka sakte hai, lekin maansik, bhaaoaatmak, aur dhaarmik bojh bhi aesa karte hai. Rakshak hamein Apni shaanti deta hai, chaahe hum kisi bhi tarah ka bojh kyun na uthaae.

juatha(yoke)

Ek juatha do jaanwaro ko ek saath baandhne ka ek upkaran hai taaki weh ek saath ek bhaar kheench sakein, jaise hal ya gaadi. Juatha aam taur par ek lakdi ka beem hota hai jo pratyek jaanwar ke kandhe ke kubadh par tika hota hai, vajan vitrit karta hai.

seekhna

Hum Ishu Masih ki shikshaaon aur Unke uddhaaran ka adhyan karke aur Unka paalan karne ki koshish karke seekh sakte hai.

aaraam

Rakshak ka vishraam Uski shaanti hai, jo hamare mann aur aatmaaon ko shaant karta hai. Woh hamein saansaarik chintaaon se ubharne me madad karte hai aur jab hum kamzor mehsoos karte hai toh hamein aatmik shakti pradaan karte hai.

sahaj … prakaash

Rakshak ka juatha apne upar lene ka matlab hai khud ko anubandhon ke maadhyam se uske saath baandhna. Uska matlab hai apna hriday Use aur Uske kaarye ko dena. Jab hum aesa karte hai, toh hamara bojh halka mehsoos hota hai kyunki woh hamari madad kar raha hai.