Mahoday, Hamein Ishu Ko Dekhna Hai
Woh jo hai aur Unke pyaar ko mehsoos karne ke liye hum Ishu ko dekhna chahate hai.
Chehra Naa Pehchaanna(Fes Blaaindnas)
1945 ke bahaar ke samay ka ek din, ek jawaan yuwak ek sena ke aspataal me jaaga. Wohbhaagyashaali tha ki woh zinda bach gaya—use kaan ke ekdam peeche goli maari gayi thi, lekin daaktaro ne opreshan kar diya tha, aur woh ab aam taur pe chal aur baat kar sakta tha.
Dukh ki baat yeh hai ki goli ne uske bheje ke us hisse ko nuksaan pahunchaya tha jo chehro ko pehchaanta tha. Ab woh bina pehchaan ki chingari ke apne patni ki or dekha; woh apni maa ko nahi pehchaan saka. Yahan tak ki sheesha me chehra bhi uske liye ajnabi tha—woh aadmi aur mahila ke beech ka antar nahi batla paa raha tha.1
Woh fes-blaaind ho gaya tha—ek aysi stithi jo laakho logon ko hota hai.2
Jo log gambheer roop se fes-blaaind hai woh niyamo ko yaad karke dusron ko pehchanne ki koshish karte hai—ek beti ko uski chainya(freckles) ke petan se yaa ek dost ko uski hilti chaal se pehchanne ka niyam.
Badha Hona
Yeh ek dusri kahani hai, gahr ke kareeb ka: Ek yuwa ladka ke roop me, mai aksar apni maa ko niyam banane-waali ke roop me dekhta tha. Woh tay karti thi mai kab khelne jaaun aur mai kab sone jaaun ya, bagiche me ghaas-foos ukhaadu.
Yeh spasht tha ki woh mujhse pyaar karti thi. Lekin bahut baar aur mujhe sharmindagi hai, maine use sirf “Woh Jiski Aagya Maanni Chahiye” ke roop me dekha.
Sirf saalon baad hi mai use ek vaastawik insaan ke roop me dekh paaya. Mujhe is baat pe sharmindagi hai ki maine kabhi uske tyaag par dhyaan nahi diya ya mujhe ashcharye jua ki saalo tak usne wahi do puraani skirt hi kyun pehni (jabki mujhe skool ke naye kapde mile the) ya aakhir kyun, din ke anth me, woh itni thaki hui thi aur mere liye utsuk thi ki mai jaldi so jaaun.
Hum Shaayad Chehra-Naa-Pehchaan Paae
Shaayad aapne dekha hoga ki yeh donon kahaniyaan vaastao me ek hi kahani hai—kayi saalo tak, mai vaastao me, chehra-naa-pehchaan paaya tha. Mai apni maa ko ek vaastavik insaan ke roop me dekhne me asafal raha. Maine uske niyam toh dekhe lekin unme uska pyaar nahin dekha.
Mai ne aapko ek baat spasht karne ke liye yeh do kahaniyaan sunaaya hoon: Mujhe aysa lagta hai ki aap kisi ayse insaan ko jaante hain (shaayad aap ayse insaan hai) jo ek tarah ke dhaarmik fes-blaaindnas se peedit hai.
Aapko Ishwar ko ek pyaare Pita ke roop me dekhne me kathinaai ho sakti hai. Aap swarg ki or dekh sakte hai aur pyaar aur daya ka chehra nahin balki niyamo ka ek samooh dekh sakte hain jis se aapko apna raasta banana hoga. Shaayad aap vishwaas karte hai ki Ishwar Apne swarg me raaj karta hai, Apne prophets se baat karta hai, aur aapki bahan se pyaar karta hai, lekin aap gupt roop se ashcharye karte hai ki kya Woh aap se pyaar karta hai.3 Shaayad aapne apne haath me lohe ki chadi(iron rod) ko mehsoos kiya hai, lekin abhi tak Rakshak ke pyaar ka ehsaas nahi mila hai jiski or yeh le jaata hai. 4
Mujhe sandeh hai ki aap ayse logon ko jaante hain kyunki lambe samay tak, mai aysa hi insaan tha—mai dhaarmik roop se fes-blaaind tha.
Maine socha ki mera jiwan niyamo ka paalan karne aur amoort staron(abstract standards) tak maapne ke baare me tha. Mai jaanta tha ki Parmeshwar tumse puri tarah pyaar karta hai lekin mujhe khud iska ehsaas nahi hua. Mujhe dar hai ki maine apne Swarg ke Pita ke saath rehne ke bajaae swarg me jaane ke baare me adhik socha.
Agar aap, meri tarah kabhi-kabhi sirf lip-synch kar sakte hai, lekin mukti ke prem ka geet nahin gaa sakte,”5 toh hum kya kar sakte hai?
Jaise President Russell M. Nelson hamein yaad dilaata hai, jawaab hamesha Ishu hota hai.6 Aur yeh bahut achcha samachaar hai.
Mahoday, Hamein Ishu Ko Dekhna Hai
John ki pustak me ek chota sa verse mujhe pasand hai. Isme kuch baahar ke log ek chela ke paas jaate hai ek zaroori niwedan ke saath. “Mahoday,” woh kehte hai, “hamein Ishu ko dekhne[ki chahat] hai.”7
Hum sab bhi yahi chahate hai—Woh jo hai aur Unke pyaar ko mehsoos karne ke liye hum Ishu ko dekhna chahate hai. Yahi wajah hona chahiye zyaadatar cheezon ka jo hum Girjaghar—me karte hai ka aur har prabhubhoj sabha me. Agar aap kabhi ashcharye karte ho kaisa paath padhana hai, kaisi meeting ayojit karni hai, aur deacons ko rehne dete hai aur hum dojbol khelte hai,aap is verse ko apna maargdarshan maane: kya isse logon ko madad milegi Ishu Masih ko dekhne aur pyaar karne me? Agar nahi, shaayad kuch alag koshish kee jiye.
Jab mujhe laga ki mai dhaarmik roop se fes-blaaind hoon, ki mai kaanoon ko dekh paa raha hoon lekin Pita ke kripa ka chehra nahi, mai jaanta tha yeh Girjaghar ke wajah se nahi hai. Yeh Parmeshwar ke wajah se nahi, aur iska matlab yeh nahi tha ki sab kuch khatm ho gaya hai; yeh kuch aysa hai jo hum sabhi ko seekhna hai. Yahan tak ki Punaruthaan ke shuruaati gawaah bhi aksar punarjiwit Prabhu ke aamne-saamne aate the par Unhe pehchaan nahi paate the; Bageeche ke Kabr se lekar Galilee ke tat(shore) tak, Unke pehle chelon ne “Ishu ko khada dekha, aur naa jaana ki yeh Ishu hai.”8 Unhe Use pehchaanna seekhna tha, aur hamein bhi aysa hi karna hai.9
Dayaluta
Jab mujhe ehsaas hua ki mai dhaarmik roop se andha ho gaya hoon, toh maine “hriday ki puri urja ke saath” praathna karne ke liye Mormon ki salaah ka paalan karna shuru kar diya, taaki mai us pyaar se bhar jaaun jo Uske chelon se waada kiya gaya tha—Uske liye mera pyaar aur mere liye Uska pyaar—aur “woh jaisa hai use waise hi dekhein … aur yahi aasha rakkhein.”10 Maine Ishwar se pyaar karne ki pehli mahaan aagya ka paalan karne aur yeh mehsoos karne ke liye saalon tak praathna kee ki “pehla mahaan sach ki Ishwar hameinApnepure dil, shakti, dimaag, aur taaqat se pyaar karta hai.”11
Woh Susamachaarein(Gospels)
Maine woh chaar Susamachaarein bhi padhi aur dobaara padhi—is baar niyamo ko nikaalne ke liye nahi balki yeh dekhne ke liye ki Woh kaun hai aur Woh kya chahata karta hai. Aur, samay ke saath, mai Usse behne waali pyaar ki naddi me beh gaya.
Ishu ne ghoshna kee ki Woh aaya tha “toote huwe dilon ko changa karne, bandiyon ko [aazaadi kee ghoshna] karne, aur andhon ko drishti [pradaan] karne ke liye aaye hai.”12
Yeh sirf ek kaarye suchi yaa achcha naam banana nahi tha; yeh Uske pyaar ka aakaar hai.
Susamachaaron ko betarteeb dhang se kholein; ;agbhag har panne par hum Use un logon ki dekhbhaal karte huwe dekhte hai—jo samaajik, aadhyaatmik, aur shaaririk roop se peedit hai. Woh prdushit aur ashudh samjhe jaane waale logon ko choota hai13aur bhookhon ko khaana khilaata hai.14
Ishu ke baare me aapke manpasand kahani kon laa hai? Mujhe sandeh hai ki yeh Ishwar ke Putr ko aage badhkar koi vanchit dal ke logon ko gale lagate ya aasha dete dikhaata hai—kodhee,15grihnit Samaaree,16doshi aur,17badnaam paapi, ya raashtriye dushman.18 Is tarah ka kripa adbhut hai.
Har baar jab Woh kisi baahari insaan ki prashansa karta hai ya changaai karta hai ya uske saath bhojan karta hai jo use likhne ka prayaas karein, aur Luke khatm hone se pehle aapke pen ki ink kam padh jaaegi.
Jaise hi maine yah dekha, mera dil pyaar bhare maanyata se uchal pada, aur mujhe lagne laga ki shaayad woh mujhse pyaar karta hai. Jaisa ki President Nelson ne sikhaaya, “Jitna zyaada aap Rakshak ke baare me jaanenge, Unki daya, Unke anant pyaar par bharosa karna utna hi aasaan hoga.”19 Aur utna hi zyaada aap apne Swarg ke Pita par bharosa aur Unse pyaar karenge.
Elder Holland ne hamein sikhaya hai ki Ishu hamein yeh dikhaane aaye the ki “hamara anant Pita Parmeshwar kaun hai aur kaisa hai, Woh Apne bachchon ke prati kitna samarpit hai”20har ek yug aur desh me.
Paul kehte hai “ki Parmeshwar [sabhi] dayalutaaon ka Pita aur sabhi saantaaonaao ka Parmeshwar hai.”21
Agar aap use alag tarah se dekhte hai, toh kripya koshish karte rahein.
Anubandh aur bhagavaan ka aalingan
Profats hum logon ko Uska chehra talaash karne ke liye amantrit karta hai.22 Mai khud ko isse yaad dilaata hoon ki hum apne Pita ki bhakti karte hai, kisi tay kiye niyam ki nahi, aur jab tak hum Ishu ko apne Pita ke pyaar ke chehre ke roop me nahi dekhte tab tak hum samaapt nahi hote23aur Uski raah pe chale, naa ki kewal Uske niyamo par.24
Jab profats aur devdut vachano ki baat karte hai, toh veh(laal makhmalee) bleechers se chillaane waale prashikshakon ki tarah nahi hote hain, jo hamein “kadi mehnat karne” ke liye kehte hai!” Woh chahate hai ki hum dekhein ki hamare vachanein mool roop se rishton ke baare me hai25aur dhaarmik chehre ke andhepan ka ilaaj ho sakta hai.26 Woh Uska pyaar paane ke niyam nahi hai; woh pehle se hi aapse puri tarah se pyaar karta hai. Hamari chunaoti us pyaar ko samajhna aur uske tarah apne jiwan ko aakaar dena hai. 27
Hum apne vachano ke maadhyam se, jaise ki agar ek khidki ke maadhyam se, piche Pita ki daya ko dekhne ka prayaas karte hai.
Vachanein Parmeshwar ke aalingan ka aakaar hai.
Parmeshwar ke Prem ki Nadee
Aant mein, hum Uski sewa kar ke use dekhna seekh sakte hai. “Kyunki woh insaan kis swami ko jaanta hai jiski usne sewa nahi ki?”28
Kuch saal pehle, mujhe ek fon aaya jo mujhe achcha nahi laga. Mai jaldi uth gaya, ghabraya hua—lekin mann me ek bol tha jo maine pehle kabhi nahi suna tha: ki is Girjaghar me sewa karna Parmeshwar bachcho ke liye Unke pyaar kee naddi me khada hona hai. Yeh Girjaghar un mehnati logon ka sangathan hai jo aozaar liye, is koshish me hai ki woh Parmeshwar ke bachchon ki madad kar sakein Unke pyaar ki naddi ko bina rukawat ke mehsoos karne me.
Aap jo bhi hain, aapka ateet jo bhi ho, is Girjaghar me aapke liye jagah hai.29
Apne aozaar uthaao aur is sangathan me shaamil ho jaao. Unke pyaar ko Unke bachcho tak le jaane me madad karo, aur iska kuch chidhkaao aap par bhi barsega.30
Aaiye hum Unke pyaar bhare chehre, Unke vachan ke aalingan ko talaash karein, aur phir Unke bachcho ke saath haath milaaen, aur saath me hum “Redeemer of Israel” gaaenge:
Restore, my dear Savior(Punahsthaapit karo, mere priye Rakshak),
The light of thy face(Tere chehre ka prakaash);
Thy soul-cheering comfort impart(Aapka aatm-shaabhaashi karne waala aaraam pradaan karta hai);
And let the sweet longing(Aur meetha hasrat rehne do)
For thy holy place(Aapke pawitr sthaan ke liye)
Bring hope to my desolate heart(Mere veeraan hirday me aasha laao).31
Aao hum Unke pyaar bhare chehre ki talaash karein aur phir Unke bachcho ke liye Unki daya ka ghada ban sakte hai.32 Ishu Masih ke naam se, amen.