Humare Jiwan mein Ishu Masih ke Shakti ko Akarshit Karna
Ishu Masih ka susamachaar Unke shakti se bhara hua hai, jo sabhi sachche dhoondhane wale Parmeshwar ke putra ya putri ke liye hai.
Mere priye bhaayion aur bahanon, hum bahut hi mushkil ke peedi mein rahatein hai. Chunaotiyan, jhagde, aur uljhanen humare ird-gird hain. Yeh ashanth samay pahale hi dekhe gaye the. Uddhaarkarta ne Khudh hi chetaaouni diya ki humare dinon mein virodhi insaan ki hriday mein gusse ko bhar dega aur unhein gumrah kar dega. 1 Phir bhi humare Swarg ke Pita ke yojna mein yah nahi tha ki hum veyaktigat musibaton mein uljhein aur sangatonon ke kaaryon mein khudh hi se.
Parmeshwar humse itna prem karta hai ki Usne Apne Eklaute Putra2 ko bheja humari madad ke liye. 3 Aur Unke Putra, Ishu Masih, ne humare liye Apna jaan diya. Sabhi kuch taaki humare paas parmeshwari shaanti mile-shakti musibaton, archanon, aur humare din ke bahakawese bachne ke liye.4 Aaj main baatein karna chahata hoon kiss tarah hum Prabhu aur Guru, Ishu Masih ki shakti humare jiwanon mein la saktein hain.
Hum Uske bare mein sikhna shuru karenge5 “Yah [humare] liye mushkil hai uske cheezon ko jaane bina bachna.”6 Jitna zyaada hum Uddhaarkaarta ke dekhrekh aur mission ko jaantein hain7—utna zyaada hi hum Uske siddhaanton ko samajhte hai8 aur jo kuch Unhone humare liye kiya- jitna zyaada hum jaante hai ki Wah hume humare jiwanon ki zaroorat ki shakti de sakta hai.
Is saal ke shuruwaat mein, maine Girjaghar ke jawaan buzurgon ko har safta apne samay ke ek bhaag ko sabhi kuchjo Ishu Masih ne kaha ko sikhne mein lagane ko kaha aur kiya jo star mein likha hua kaam tha.9 Maine unhein dhaarmik cheezen Topical Guide mein Ishu Masih ke bare mein apne veyaktigat mul kaarye ko banane ke liye amantirith kiya.10
Maine wah chunaoti diya kyunki maine khudh hi wah swikaar kiya tha. Maine padha aur Ishu Masih ke bare mein likhe gaye sabhi verse ko likha, jo Topical Guide mein 57 shirshakon mein likha hua hai.11 Jab maine us aschariye kaarye ko khatam kiya, meri patni ne pucha ki uska mujh par kya asar hua tha. Maine use batlaya, “Main badal gaya tha!”
Maine Uske liye naye bhakti ko ahesaas kiya jab maine dobara Mormon ki Dharamshaatra ko padha Uddhaarkarta ki khudh ki vaakye hai Uska maranshilta ke mission ke bare mein. Usne batlaya:
“Ki Main is sansaar mein apni Pita ki ikcha puri karne aaya, kyuki mere Pita ne mujhe bheja hai.
“Aur mere Pita ne isliye bheja ki main krus par chadaya jaun.”12
Antim-din Santon ki tarah, hum Uske mission ko Ishu Masih ka Praeschit kahatey hai, jiske dwara sabh ke liye punaharjiwan bana aur unke liye anat jiwan ka vaada mila jo apne paapon se praeschit kartein hain aur khaas sidhaanton aur vaadon ko banantey aur nibhaatey hain.
Dharamshaastra mein se chote bhaagon se Prabhu ke mahaan balidaan ke bare mein batlana adha hoga, jaesa ki “Praeschit” ya Preschit se prapt hui shakti” ya “Praeschit ko karna” ya “Preschit ke dwara mazboot hona.” In cheezon ke istamaal se hum apne vishwaas ko maarg se batka saktey hain kaarye ko is tarah lena ki wah abhi hai aur chamtaaein humare Swargy Pita aur Uska Putra, Ishu Masih par nirbhar hota hai.
Pita ke mahaan anant yojna mein, wah yah Uddhaarkarta hai jisne jhela. Wah Uddhaarkarta hai jisne maut ke bandhan ko toda. Wah Uddhaarkarta hai jisne humare paapon aur galtiyon ki keemat chukayi aur humare paschaataap karne par use mita deta hai. Wah Uddhaarkarta hai jisne hume sharirik aur dhaarmik maut se bachaya.
Yaha par koi nikaar aadmi Praeschit” namak nahi hai jisse hum madad, chama, ya shakti ke liye pukaartey hai. Ishu Masih neev hai. Pavitra kaarye jaese Praeschit aur Mukti batlta hai jo Uddhaarkarta ne kiya tha, Pita ki yojna mein, taaki hum is jiwan mein asha rakh sakein aur anewaale jiwan mein anant jiwan prapt kar sakein. Uddhaarkarta ki mahaan balidaan-sabhi insaan ke itihaas ka kendra karye- sabse achcha samjha jata aur abhaar mana jata jab khaaskar aur saaf tarike se Use hum judtey hai.
Uddhaarkarta ke mission ka mahatavapurn Bhavisyevakta Joseph Smith dwara samjhaya gaya hai, jisne prabhavpurwak batlaya ki “humare vishwaas ka mukhye mul Devduton aur Bhvishyevaktaaoun ke gawahiyan hain, Ishu Masih ke bare mein, ki Wah mara, dafnaya gaya, aur teesre din jee utha, aur swarg mein chala gaya; aur sabhi kuch jo humare vishwaas mein hai sirf uska bhaag hai.”13
It was this very statement of the Prophet that provided the incentive for 15 prophets, seers, and Yah Bhavishyevakta ka khaas vaakye tha jo 15 bhavishyevaktaaoun, paegambaron, aur pratikarankartaoun ko kaarye mein prerna prapt hua aur Prabhu ke payeda huye 2,000th janamdin par izzat pradaan kartey hue unhone apne gawahi di. Woh mahatvapurn gawahi ka shirshak hai “Jiwit Masih.”14 Kai sadasyon ne uske sachchaaiyon ko yaad kar liya hai. Anye log uske hone ko bahut nahi jaantey. Jaise ki aap Ishu Masih ke baare me adhik jaanne ki talash karenge, mai aap se guzarish karta hoon ko aap “Jiwit Masih.” Padhe.
Jab hum Uddhaarkarta aur Uske mahaan balidaan ke bare mein samay le kar seekthe hain, hum Unke taqat ko paane ke liye ek aur pramukh tatva me bhaag lete hain: hum unpar vishwaas karna aur Unke peeche chalna chunthe hain.
Ishu Masih ke sachche chelein duniya ke logon se alag khade hone, baatein karne, aur alag dikhne mein tayyaar rahate hain. Weh nidar, bhakti bhare, aur himmati hote hai. Maine haal hi ke Mexico ke chelon ke kaarye ke duraan yah sikha hai, jaha maine raajniti assaron ke saath dusre vishwaasion ke rakhnewaalon ke netaaoun se bhi mila tha. Har ek ne mujhe dhanyewaad diya humare sadasyon ke himmaton aur safaltaaon par apne deshon mein shaadi aur parivaaron ko bachane aur rakhne ke liye.
Waha par kuch saral ya automatik nahi hota jo shaktishaali chelaon ki tarah banne mein. Humare pura dhyaan Uddhaarkarta aur Uske susamachaar mein hona chahiye. Is mein bahut dimaag lagana hoga har vichaar mein Unko dekho.15 Agar hum karenge, humare sandeh aur dar bhaag jaate hain.16
Haal hi main ek nidar jawaan Laurel ke bare mein sikha. Usko apne high skool ke ek vibhaag ke pratiyogita mein bhaag lene ko amantirit kiya gaya tha jo ussi din usko Sahayak Sanstha sabha mein bhi bhaag lena tha. Jab uske kaarye ke baar mein jaana aur pratiyigita ke adhikaariyon ko samjhaya ki use pratiyogita mein se jald hi jana hoga ek zaroori sabha mein bhaag lene ke liye, usko batlaya gaya ki agar wah jayega to use pratiyogita se nikaal diya jayega.
Is antim-din Laurel ne kya kiya? Usne Sahayak Sanstha sabha mein bhaag lene ka faesla kiya aur, jayesa vaada kiya gaya tha, vibhaag ke pratiyogita mein se nikaal diya gaya. Jab uske faesle ke bare mein pucha gaya, usne saralta se jawaab diya, “Achcha, Girjaghar zyaada zaroori hai, na?”
Ishu Masih mein vishwaas hume un cheezon ko karne mein madad karta hai hume wah jo nahi karte. Vishwaas jo hume kaarye ko karata hai Uske shakti ko hume aur zyaada deta hai.
Hum apne jiwanon mein bhi Uddhaarkarta ke shakti ko badhate hai jab hum pavitra vaade banate aur un vaadon ko puri tarah se nibhate hain. Humare vaade humko Usse jodhta hai aur humko parmeshwari shakti deta hai. Vishwaasi chelon ki tarah, hum paschataap karte aur Unki tarah baptisma hua. Hum vaade ke maarg par chalte hai dusre khaas siddhaanton ko prapt karne ke liye.17 Aur saobhaagye se, Parmeshwar ke yojna un ashirwaadon ko purwajon ko deta hai jo mar chuke hi apne maranshilta ke jiwan mein us aosar ko prapt kiya bina.18
Vaada-rakhnewaale purush aur mahilaae apneaap ko duniya se saaf rakhne ke tarike ko dhoondhatey hain taaki waha kuch bhi nahi hoga jo Uddhaarkarta ke shakti ko rokh sakey. Ek vishwaasi patni aur maa ne yah abhihaal hi likha: “Yah mushkilon aur khatron ka samay hai. Hum bahut hi saobhaagye hai mukti ke yojna ke gayaan ko badhaane ke liye aur bhavshyevaktaaoun, devduton, aur netaaoun se prerit maargdarshan ko paane mein in musibaton ke samay par surakhchit rahane ke madad se. Humne subeh redio ko kholne ke adadt ko band kar diya hai. Balki, ab hum apne mobail fone par har subeh maha sammelan ke bhaashan ko sunnte hain jabki hum apneaap ko dusre din ke liye tayyaar karte hain.”
Dusra tarika humare jiwanon mein Uddhaarkarta ki shakti ko prapt karna hai Uske tak vishwaas se pahunchne se. Us tarah pahuchne mein zaroori hai mehanat, samrpit kaarye.
Kya tumhe baibal mein us mahila ki kahani yaad hai jo 12 saalon se laho behne ka rog ko jhel rahi thi?19 Usne Uddhaarkarta mein bahot hi vishwaas kiya, rotey hue, “Yadi main Uske kapde hi ko chu lungi, to changi ho jaungi.”20
Yah vishwaasi, mahila ko lapak kar chune ki zaroorat thi jitna bhi ho sakta Uske shakti ko prapt karne ke liye. Uska sharirik lapakna uske dhaarmik lapakne ka chin tha.
Hum mein se kai ne baari ahesaas ke saath roya hai is mahila ke shabdon ki tarah; “Agar main utna dhaarmik lapak paati Uddhaarkarta ki shakti ko apne jiwan mein paane ke liye, main apne musibaton ke stithiyon ko jhel paati. Mujhe pata hota kya karna hai. Aur mere paas shakti hota usse saamna karne ka.”
Jab tum apne jiwan mein Prabhu ki shakti ko prapt karne tak pahuncho ussi shakti ke saath jo ek doobtey hue insaan ke paas hota hai jab saans lene ki koshish karta hai, Ishu Masih ki shakti tumhare paas hoga. Jab Uddhaarkarta jaanta hai ki tum sachche dhang se Us tak pahunchna chahate ho-jab Wah mehsoos kar sakta hai ki tumhare hriday ki sabse badi ichcha hai ki Uske shakti ko apne jiwan mein prapt karo-tumhe Pavitra Aatma agwaani karega taaki tumhe pata ho ki sahi mein kya karna hai.21
Jab tumne dhaarmikta se itna zyaada kiya jo pehe kabhi nahi kiya tha, phir Uski shakti tumhare upar hoga.22 Aur phir tum ishubhajan mein gaye hue “Parmeshwar ki Aatma” ke sahi matlab ko samjhoge.:
Prabhu Santon ki samajh ko badha raha hai. …
Parmeshwar ki gyaan aur shakti badh raha hai;
Dharti par chaya hua andhera hat raha hai.23
Ishu Masih ka susamachaar Uska shakti se bhara hua hai, jo sabhi sachche dhoondhane wale Parmeshwar ke putra ya putri ke liye hai. Yah mera gawahi hai ki jab hum apne jiwan mein Uske shakti ko prapt karein, dono Wah aur hum khush honge.24
Uske ek khaas gawahi ki tarah, Main batlata hoon ki Parmeshwar jiwit hai! Isu hi Masih hai! Uska Girjaghar dharti par punaharsthaapit hua hai! Aaj dharti par Parmeshwar ka bhavishyevakta Pradhaan Thomas S. Monson hai, jisse main apne pure hriday se pramaanit karta hoon. Main yah gawahi deta hoon, tum sab ko apne prem aur ashirwaad ke saath, Ishu Masih ke pavitra naam se, amen.