2010-2019
Dayaluta, Daan, aur Prem
April 2017


4:3

Dayaluta, Daan, aur Prem

Hum apne jiwan ka pariksha lein aur Uddhaarkarta ke daya, prem, aur dayalu banne ke uddhaaran par chalne ka faesla lein.

Mere pyare bhaaiyon, main is duniyabhar ke Parmeshwar ke Purohititav mein ikatdha hue vishwaas ke rakhnewaalon ko bhaashan dene ke liye abhari hoon. Is shaam main wahi shirshak par baatein karunga jo maine pahale bhi kaha hai.

Bhavishyevakta Mormon ne ek Uddhaarkarta ke ek chaabie ko batlaya hoon aur jo Unke chelon ke dwara anukaran hoga. Usne kaha:

“Aur yadi koi manushye hriday se deen aur namar hai, aur Pavitra Aatma ke saamarth dwara angikaar karta hai ki Ishu hi Masih hai, to us mein udhaaarta honi chahiye; kyuki yadi uske paas uddhaarta nahi hai to wah kuch bhi nahi hai; isliye uske paas uddhaarta honi chahiye.

“Aur uddhaarta lambe samay tak prabhawit rahati hai, aur aur dayalu hai, aur irsha nahi karti hai, aur ahankaari nahi hoti hai, asaani se uttejit nahi hoti hai. …

“Isliye, mere priye bhaaiyon, yadi tummein uddhaarta nahi hai to tum kuch bhi nahi ho, kyuki uddhaarta kabhi bhi asafal nahi hoti hai. Isliye, uddhaarta ko thaame raho, jo ki sabhi baaton mein uttam hai, kyuki sabhi baatein asafal ho jayegi —

“Parantu uddhaarta Masih ka sachcha prem hai, aur wah sada ke liye bani rahati hai; aur antim din mein jismein bhi yah payi jayegi, uske saath bhala hoga”1

Bhaaiyon, hum agar dusron se dayalutapan nahi kartein hai Parmeshwar ke purohititav ki iszat nahi kartey hain.

Mere priye mitra aur saathi Elder Joseph   B. Wirthin sach mein ek dayalu aadmi tha. Usne kaha:

“Dayalupan ek celestital jiwan ka matlab hai. Masih ki tarah dusron se pesh aana dayalutpan hai. Dayalutapan humare sare kaam ke, skool ke, girjaghar ke, aur khaaskar humare gharon ke shabdon aur kaaryon mein bhara hona chahiye.

“Ishu, humare Uddhaarkata, dayalutapan aur kripa ka mahaan uddhaaran hai”2

Dharamshaastra sikhlaatein hain ki purohititav ka sachcha kaarye hai ki humare jiwit siddhaanton mein dayalutapan, daan, aur prem par nirbhar rahana. Doctrine and Covenants me hum padthe hain:

“Tum purohititav ke koi bhi shakti ya prabhaao ko bina protsaahan,  … der tak jhelne se, namrata aur vinamrata se, aur sachche prem ke honahi sakta hai;

“Dayalutapan aur sachche gyaan se, jo aatma ko bina jhut aur chaturta ke bahot badhayega” 3

Bhaaiyon, hum apne jiwan ka pariksha lein aur Uddhaarkarta ke daya, prem, aur dayalu banne ke uddhaaran par chalne ka faesla lein. Jab hum yah kareinge, hum aur bhi achche stithi mein honge apneaap ke liye, humare parivaaron ke liye swarg ke shakti ko pane mein, aur humare swargy ghar ke safar mein waapis jaane ke liye is musibaton ke samay mein humare aane waale musafiron ke liye. Main yah Ishu Masih ke naam se prarthna karta hoon, amen.