Vishwaasniye Mahilaaen
Yeh vishwaasniye mahilaaen Uddhaarkarta Ishu Masih ke saath shaamil hai aur Uske praeschit ke balidaan ke vaade ke dwara asha rakhti hai.
Meri pyaari bahanon, hum tumhe kitna prem karte hain aur tumhe tumhare dayaluta aur utsuk aur ek #IWasAStranger ki koshish ke liye Pratham Adhyakshta ke nimantran ke jawaab mein dhanyewaad dete hain. Kripa prarthna karte raho, Aatma ke fusfusaahat ko sunno, aur jo prerna mile us par kaarye karo.
Chahe main sthaaniye ya duniyabhar mein safar karun, yah kisi ke liye asdharaan nahi hai puchna, “Kya tum mujhe pehchante ho?” Kyunki main kashtapurvaak se adhuri hoon, main batlati karti hoon main naamon ko bhool jaati hoon. Parantu, mujhe yaad hai Swarg ke Pita ka sachcha prem jo mujhe Uske mahaan putriyon aur purushon se mil kar mehsoos hota hai.
Haal mein maine jhel mein kuch pyaari mahilaaon ko bhent karne ka aosar mila. Jab hum hriday se phir milenge kaha rahe the, ek pyaari bahan ne guzarish kiya, “Bahan Burton, kripa hume bhoolna nahi.” Main asha karti hoon ki wah aur dusre jo chahatein hain ki unhein yaad rakha jaya wahi mehsoos karein jo main kuch tumhare saath batlaaun.
Uddhaarkarta ke Din mein Vishwaasniye Mahilaaen: Uddhaarkarta Ishu Masih mein Kendrith
Humari mahilaaein kai saalon se chelatav ke vishwaasi sarup jiski hume bhi zaroorat hai ko dikhla rahi hai “Naye Niyam mein [vishwaasniye] mahilaaon ki kahaniyaan hai, jaane pehchaane aur anjaane donon ke, jinhone Ishu Masih [aur Uske Praeschit mein] vishwaas zaahir kiya, Uske shikshan ko sikhe aur jiye, aur Uske dekhrekh, chamatkaaron, aur mahaanta ki gawahi diya. Yeh mahilaaen mahaan chelaen bani aur uddhaar ke kaarye ki zaroori gawaah thi.”1
In kahaniyon ko Luke ke kitaab mein dekho. Pratham, Uddhaarkarta ke dekhrekh ke dauraan:
“Aur yah hua … ki [Ishu] sabhi shahar aur gaao gaye, Parmeshwar ke shikshan aur achche shabdon ko batlaya: aur uske saath barah the.
“Aur vishwaasniye mahilaaen, … Mary jise Magdalene bulaya jaata tha,, … aur Joanna … , aur Susanna, aur kai aur, jinhone uski dekhrekh kiya.”2
Agla, Uske Mukti ke baad:
“Aur vishwaasniye mahilaaen …jo subeh hi kabra par thi;
“… Jab unhone uske sharir ko nahi paya, weh aye, kehte, ki unhone … devduton ko swapan mein dekha, jinhone kaha ki wah jiwit hai.”3
“Maine padha aur ise har samay ki tarah dekha “vishwaasniye mahilaaen bahut baar pahale, parantu abhi haal hi jab maine saaodhaani se padha, weh shabd yaad aye. Dekho is ek shabd ke matlab ko vishwasaniye jaesa vishwaas vishwaasniye mahilaaon : “prabhawit,” “madadgaar,” “aatma-nirbhar,” “stir,” “vishwaasi,” “surakhchit,” aur “zimmedaar.”4
Jabki main un shaktishaali cheezon ko soch rahi thi, maine do Naye Niyam ko yaad kiya vishwaasniye mahilaaen jinhone Uddharkarta ke madadgaar, aatamnirbhar, stir, surakhchit gawahiyon ko diya. Bhale hi weh, hume pasand kartein hain, sahi mahilaaen nahi thi, unke gawahion prerit karne waale the.
Yaad karo us anjaan mahila ko jisne kuwe par dusron ko amantirth kiya tha akar wah dekhne ke liye jo usne Uddhaarkarta se sikha tha? Usne apna vishwasaniye gawahi ko ek swaal ke rup mein kaha tha: “Kya yah Masih nahi hai?”5 Uske gawahi aur nimantaran itne prabhawit the ki “kai … us par vishwaas kiya.”6
Apne bhaai, Lazarus, ke maut ke baad, Martha, woh priye chela aur Prabhu ki mitra, ne batlaya ki kya mahaan ahesaas raha hoga, “Prabhu, agar tum waha hote, mera bhaai bach jaata.” Uske vishwaas ko dekho jab wah aage boli, “Parantu mujhe pata hai, ki abhi bhi, jo kuch bhi Parmeshwar se chahoge, Parmeshwar tumhe dega.” Usne aage gawahi diya, “main vishwaas karti hoon ki tum Masih, Parmeshwar ke Putra ho, jo duniya mein ayega.”7
Hum in bahanon se sikhtein hain ki vishwaasniye mahilaaen Uddhaarkarta Ishu Masih ke saath shaamil hai aur Uske praeschit ke balidaan ke vaade ke dwara asha rakhti hai.
Punaharsthaapna ke Vishwaasniye Vaada-rakhne waali Mahilaaen: Balidaan dene ko Tayyaar
Purane samay mein, vishwaasniye mahilaaen , balidaan deti thi jab weh gawahi deti aur Ishu ke shikshan par chalti. Vishwaasniye mahilaaen Punaharsthaapna ke haal hi ke dinon mein wahi karti thi. Drusilla Hendricks aur uska parivaar unke beech the jo, naye samarpit ki tarah, Clay County Missouri mein Santon ke satane ke samay kasht jhele the. Uske pati puri tarah se apang the Crooked River ke Ladaai ke dauraan. Use uski dekhrekh ke liye aur uske parivaar ke zarooraton ke liye waha choda gaya tha.
“Ek khaas mushkil ke samay par, jabki parivaar bhojan ke bina tha, usne yaad kiya ki ek awaaz ne use batlaya, ‘Tham jaao, Prabhu pradaan karenge.’”
Jab Mormon Battalion mein uske putra ki muft sewa ki zaroorat padi, pehle Drusilla ne inkaar kar diya aur Swargy Pita se is par prarthna kiya jabtak ki ek choti si awaaz ne use kaha, ‘Kya tumhe sabse badi mahima nahi chahiye?’ Usne beshak se kaha. ‘Ha,’ aur awaaz nirantar kiya, ‘Kis tarah prapt kar sakti ho sirf sabse bade balidaan de kar nahi?’’’ 8
Hum is vishwaasniye mahila se sikh saktein hai ki vaada ko rakhne ke liye humari badlidaan ki zaroorat hai.
Vishwaasniye Mahilaaen Aaj: Uddhaarkarta ke Waapis Aane ka Yaad aur Tayyaari kar rahi hai
Maine Uddharkarta ke dinon ke vishwaasniye mahilaaen ke bare mein batlaya tha aur susamachaar ke Punaharsthaapna ke haal hi dinon ke. Kya kuch humare khudh ke dinon ke vishwaasniye mahilaaen ke uddhaaran aur gawahiyon ke bare mein hai?
Haal hi mainne Asia mein ek saupa gaya kaam mein, main ek baar phir apne milne wali kai vishwasaniye mahilaaen se prerit hui. Main khaas taur se India, Malasiya, aur Indonesia ke pratham peediyon se khush hui jo apne khudh ke gharon mein susamachaar parampara ko jeene ki koshish kar rahi hai, kabhikabhi bade balidaan par susamachaar ke jeene mein aksar parivaar aur desh mein virodh hota hai. Hong Kong aur Taiwan ki kai peediyon se vishwasaniye mahilaaen abhi bhi apne parivaaron ko ashirwaad de rahi hai, Girjaghar sadasyen, aur sangatanon Uddharkarta mein kendrith hai aur vaada rakhne ke liye khud hi balidaan deti hai. Is tarah ke vishwaasniye mahilaaen Girjaghar bhar mein paayi jaati hain.
Ek vishwaasniye mahila jisne mere jiwan ko kai saalon se ashirwaad diya 15 saalon se kamzori, musibaton, aur lailaaj bimari inclusion body myositis ko jhel rahi hai. Bhale hi wah sirf wilchair se hi chalti ho, wah humesha abhaar maanti hai aur koshish karti hai khudh hi karne ka: wah cheezon hai jo wah Kar Sakti hai: jaesa ki main saans le sakti hoon, main prarthna kar sakti hoon, aur main apne Uddhaarkarta ke prem ko mehsoos kar sakti hoon. Wah apne Masih ki gawahi vishwaasniye mahilaaen ki tarah lagbhag har din parivaaron aur mitron ko bayaan karti hai.
Haal hi maine Jenny ki kahani sunni. Wah ek prachaarak sewa ko ki hui hai jiske mata-pita talaak le chuke jab wah mission sewa par thi. Usne batlaya ki usko waapis ghar lautne ki soch “[use] maut ki tarah dara raha tha.” Parantu apne Italy ke mission ke ant mein, jab wah United States mein aane ke samay mission pradhaan ke ghar gayi, ek vishwaasniye mahila, mission pradhaan ki patni, dayaluta se uske baal ko sawara.
Saalo baad, ek dusri vishwaasniye mahila, Terry- ek stake Sanstha Sahayak pradhaan—Jenny ke jiwan ko ashirwaad diya jab Jenny ko ward Sahayak Sanstha pradhaan niyut kiya gaya. Usi samay, Jenny apne ek kahani ka antim bhaag likh rahi thi apne unchi univasity ki degree ke liye. Sirf Terry Jenny ke liye guru nahi thi balki ek neta bhi thi, parantu wah uske saath 10 ghante aspataal bhi mein thi jab Jenny ko leukemia ki bimaari se theek kiya ja raha tha. Terry aspataal bhent karti aur Jenny ko aspataal bhi le jaati, “Jenny ne swikaar kiya, “Shayad maine kai baar uske kaar mein chaat kiya hoga.”
Bhale hi wah bimaar thi, Jenny ne ward Sahayak Sanstha pradhaan ki tarah vishwaas se sewa kiya. Apne mushkil samay par bhi wah fone karti aur text sandesha aur emails apne khaat se hi bhejti, aur usne bahanon ko khudh se milne ke liye amantirit kiya. Usne logon ko cards aur chittiyan likhi, apne bahanon ko dur se hi prem karti rahi. Jab uske ward ne apne ward ke itihaasik ke liye adhyakshtoun ke chitra utaarne ki guzaarish kiya, yah wah chitra hai jo Bahan Burton ke bhaashan mein dilklaya jayega. Kyunki Jenny khudh hi ek vishwaasniye mahila hai, usne sabhi ko amantirit kiya ki dusron ke musibaton mein madad kare, khudh ko shaamil karke.
Ek vishwaasniye mahila ki tarah, Jenny ne gawahi diya: “Sirf hum yaha dusron ko bachane ke liye nahi hai parantu khud ko bachahne ke liye. Aur yah Ishu Masih ke saath bhaag lene se mukti milta hai; Girjaghar ke mahilaaoun ki liye Uske mahima aur Uske Praeschit aur Uske prem ke ahesaas ko samajhne se. Yah ek saral kaarye jaese kisi ka baal sawaarna se hota hai; ek patra ko bhejna jismein asha aur mahima ka prerit, saaf, pratikaran ka sandesh ho; ya mahilaaoun ko humari madad karne se.”9
Bahanon, jab hum vichlit, sandeh, niraash, paapi, udaas, ya apne aatma ko mehsoos nahi kar paate hain, main asha karti hoon ki hum Prabhu ke nimantaran ko swikaar karein Uske amrith paani ko peene ka, jaesa ki vishwaasniye mahila ne kunwe par kiya tha, dusron ko bhi yah karne ka amantran de jab hum apne khudh ke vishwasaniye gawahi bayaan karein: “Kya yah Masih nahi hai? ”
Jab jiwan anyayi lage, jaesa ki Martha ko laga tha apne bhaai ki mauth par- jab hum bahut akelapan, nishfalta, prem karne waalon ko khona, shaadi aur parivaar banane ke aosaron ko khona, tute gharein, jhel nahi pana, khudh, sharirik ya dimaagi bimaariyon, bahot chinta, utsikta, lat, payese ki takleef, ya kai tarah ke dusre musibton ko anubhao kartein ho-hume Martha ko yad karna chahiye aur ussi ki tarah vishwaasniye gawahi bayaan dena chahiye: “Parantu mujhe pata hai … [aur] mujhe vishwaas hai ki tum Parmeshwar ke Putra, Masih hi ho.”
Hum vishwaasniye mahilaaon ko yaad karein jinhone humare mahaan Uddhaarkarta ko uske krus par jhelne ke peeda bhare aanubhao ko choda nahi tha aur ghanton baad saobhaagye pratham vishwaasniye gawahon thi Uke mahaan Punaharjiwan ka. Uske saath prarthna aur dharamshaastra shikshan ke dwara kareeb raho. Hum apne aap ko Uske kareeb le jaye har saptah Uske mahan balidaan ke liye pavitra tayyaari karein aur bhaag lein prabhubhoj ke siddhaant ke dauraan aur jab hum vaadon ko nibhaye dusron ki zaroorat ke samay par sewa karke. Shayad phir hum vishwaasniye mahilaaen ke, bhaag ban sakti hain jo Uske waapis ane par mahaan khushi manaegi jab Wah dobara ayega.
Bahanon, main pyaara Swarg ke Mata -Pita ki gawahi deti hoon; humare Uddharkarta, Ishu Masih; aur Uske Mahaan Praeschit humare liye. Main jaanti hoon ki Bhavishyevakta Joseph Smith pahale se hi niyukt tha Punaharsthaapna ke bhavishyevakta ki tarah. Main jaanti hoon ki Mormon ki Dharamshaastra sachcha hai aur Parmeshwar ki shakti ke dwara anuwaad hua tha. Hum apne khudh ke samay par ek jiwit bhavishyevakta ka ashirwaad mila hai, Pradhaan Thomas S. Monson. In sachchaaiyon ka, Main vishwasaniye hoon! Ishu Masih ke naam se, amen.
Vivran: April 1, 2017 mei, Bahan Burton Sahayak Sanstha Maha Adhyaksh se sewamukt kiya gaya.