2010-2019
Humare Pitah ka Mahaan Yojna
April 2017


11:19

Uddhaar ka Yojna

Par Parmeshwar ke pavitra yojna ke karan, hum jaante hain ki janam aur mritiyu vastav mein kewal mahatvapurn kshan hain.

Meri doctari ke training ke shuruwaat ke samay, mujhe ek jawaan maa ko apna pehle bachche ko janam dene me madad karne ka mauka mila tha. Wah shant, kendrith aur khus thi. Bachche ke payda hone par, maine us nanhe shishu ko use diya. Khushi ke aansu ke saath chahare se bahate hue, usne us nanhe se shishu ko apne bahon me liya aur uska sar se le kar paer tak nirakshan kiya. Usne use kareeb rakha aur use pyaar kiya jaise ek maa kar sakti hai. Uske saath us kamre mein rehne ka ek mere liye saobhaagye tha.

Hum sab ke jeewan ka shuruwaat kuch aisa hi tha. Magar kya hamara jeewan sach me shuruwaat tha. Duniya janam aur mritiyu ko shuruwaat aur anth ke rup se dekthi hai. Par Parmeshwar ke pavitra yojna ke karan, hum jaante hain ki janam aur mritiyu vastav mein kewal mahatvapurn kshan hain.1 Pitah ke yojna ka yah mahatvapurn bhaag hai—Pavitra lamhe jaha maranshiltha aur swarg ka mel hotha hai. Aaj, janam aur mritiyu ke baare me jo maine kai saalo ke doctri aur girja ki sewa me seekha haim, mai humare Pitah ke uttam yojna ki gawahi dena chahata hoon.

“Humare paeda hone se pehle, hum Parmeshwar ke saath rehte the, humare aatma ke Pitah. Is dharti me hum sab Unke parivaar mein bhai aur bahan hain”, 2 aur hum sab Unke liye priye hain. Hum apne maranshil janam se pehle bahut samay tak hum Uske saath rehte the—sikhte, chunte, aur tayyaari karte.

Kyunki Swarg ke Pita hamein pyaar karta hain, Woh chahate hain ki hum waha sabse mahaan taufe de jo Woh de sakta hain, anant jeewan ka taufa.3 Woh is taufe ko waise hi nahi de sakte the; hume ise Unhe aur Unke raaston ko chun kar pana padega. Iske liye hume Unke sharan ko chodh kar ek anokhe aur kathin, badanthi, banne aur vishwaas ke yatra ko tay karna padha. Jo yaatra humare Pitah ne humare liye tayyaar kiya uska naam uddhaar ki yojna yah khusyaali ki yojna hai. 4

Maha maranshil jeev se purva parishad me humare Pitah ne hume Apne yojna ke baare me batlaya tha. 5 Jab hum ise samajhte hai, hum itne khush the ki hum khushi se jhum uthe aur subha ke taare ek saath gaaye. 6

Yeh yojna teen mahaan adhaar par tiki hai: swargmukti ke adhaar par. 7

Pehla adhaar hai dharti ki Rachna, humare maranshil yaatra ka sthaapna. 8

Dusra adhaar hai humare dharti ke maata pitah, Adam aur Awa ka Girna. Girne ki vajah se kuch ashchariyejanak cheeze hamein di gayi. Hum paeda ho sake aur hume yeh sharir mila. 9 Mai apni bhaaiyon aur mujhe duniya mein laane ke liye aur Parmeshwaar ke baare mein hamein sikhaye jaane ke liye apni maa ke prati hamesha ke liye abhaari rahunga.

Parmeshwar ne hume naetik ka adhikaar diya hai—khud ke liye chunne aur apne liye kaarye kare. 10 Hume acchi tarah se chunne ki madad me, Swarg ke Pita ne hume aagya diya hai. 11

Yah jaante hue ki hum humesha accha nahi chunege, yah dusre shabdo mein paap karenge, Pitah ne hume teesra adhaar diya—Uddharkarta Ishu Masih aur Unka Praeshchit. Apni peeda ki madhyam se, Masih sharirik maut aur paap donon ke liye kimat chukai.12 Unhone sikhlaya: “Kyunki Parmeshwar ne jagat se aysa prem rakha ki usne apna eklauta putra de diya, taaki jo koi us par vishwaas kare vah nasht na ho, parantu anant jeewan paye.”13

Ishu Masih ne Apne Pitah ke aagyaaon ka palan karte hue, ek parishud jeewan bitaye. Usne Palestine ki sarko par chale, anant kal ke sachchai sikhane, bimaaro ko theek karne, andhe ko dekhne mrityu ko uthane ke liye. 14 Weh “acchai karte chale”15 aur “sabhi ko Unke uddharan par chalne ki vinnathi ki.”16

Apne maranshil jeewan ke anth me, unho ne ghutne tekkar prarthna kiya, yah kahate hue:

“Hey Pitah, yadi tu chahe to is kathore ko mere paas se hata le: To bhi meri nahi parantu teri hi iccha puri ho.  …

Wah atyant sankat me vyaakul hokar aur bhi haardik vedhna se prathna karne laga: aur uska paseena mano lahoo ki badi badi bundo ke samaan bhumi par gir raha tha.” 17

Masih apne sankat ke akaar ko acchi tarah samajhne me madad karta hai jab Unhone Bhavishyavakta Joseph Smith ko batlaya:

“Mai, Parmeshwar, in sabhi cheezo ko saha, taki woh in sab cheezon ka na sahe agar weh paschataap karein;

“Par agar weh paschataap na karein tho unhe meri tarah sahana padega;

“Jis sankat ne mujhe, Parmeshwar ko, jo sabse mahaan hai, ko peeda se tadpaya, aur sabhi rohe lahoo baha, aur sharir tatha aathma mein tadpa.” 18

Waha Gethsemane ki baag me, Unhone humare paapon aur bimaarion, humare dard aur hamare kamzori ke liye mulye ki keemat ka bhugtan karna shuru kar diya. 19 Kyunki Unhone kiya, hum un kamzoriyon mein kabhi akela nahi honge agar hum Unke saath chalna chunenge. Unhe galat ilzaam par giraftaar kiya gaya aur doshi taharaya gaya, ek bheed ko santusht karne ke liye, aur Calvary ke krus par marne ke liye saja diya gaya. Krus par Unhone Apna jeewan tyaag diya sabhi manushye jaati ke paap ki praeschit ke liye, ek mahaan vikrith taufa un sabhi ke liye jo dharti par jiyenge. 20

Unhone elaan kiya:

“Suno, mai Ishu Masih hoon jiske vishay me bhavishvaktaon ne kaha tha ki jagath me ayega.

“Suno, mai jagath ka prakaash aur jeewan hoon; maine us kadwe pyaale ko me se piya hai jise mujhe Pitah ne diya tha, aur maine jagath ke paapon ko apne upar le kar Pitah ko gauravnivath kiya hai.” 21

Phir, sapthah ke pehle din,22 Wah tomb se utha ek parishud punarjiwth sharir ke saath, kabhi na marne ke liye. Aur kyonki unhone aisa kiya, hum bhi aisa karenge.

Mai gawahi deta hoon ki vastav mein Masih tomb se uthe the. Par us tomb se uthne ke liye. Unhe pahle marna pada. Aur hume bhi aisa karna hoga.

Mere jeewan ka ek aur mahaan ashirvaad hai, swarg ke kareebi ko mehsoos karna un palo me jab mai logo ke marne se pehle unke khaat ke paas baetha hoon. Kuch saal pehle subha, mai ek Antim-dino ka Sant vidhwa jo cancer ki rogi thi ke aspataal ke kamre me dakhil hua. Unki do betiyaan unke saath baythi thi. Jab mai unke khaat ke paas pahuncha tho ahesaas kiya ki wah ab tadap nahi rahi thi kyunki wah kuch pal pehle mar chuki thi.

Us mauth ke pal me, wah kamra shanti se bhara tha. Unki betiyan udaas thi, par unka hirday vishwaas se bhara tha. Weh jaanti thi ki unki maa gayi nahi par wapas ghar chali gayi thi. 23 Humare dukh ke gahare palo me bhi, us pal me jab waqt tham jaatha hai aur jeewan anuchit lagta hai, hum Uddharkarta me sahaytha pa sakte hain, kyunki Unhone bhi dukh uthaya hai. 24 Us kamre me hona ek saobhagya tha.

Hum jab mar jaate hain, humari aatma humare sharir ko chodh deti hai aur hum apne safar ke dusre mod par chale jaate hain, aatma ki duniya. Wah ek, sikhne, paschaatap karne ki, maafi ki, aur banne ki jagah hai25—jaha hum Punarjeewan ka intazaar karte hain. 26

Bhavishya ke kisi mahan din par, har koi jo bhi paeda hua tha tomb se uthega. Humari aatma aur humara sharirik badan ek parishud rup me ek hoga. Sabhi ko punarjeewit honge, dono biduhe aur jawaan, dono nar aur naari, dono paapi aur saccha; aur “sabhi cheeze apni parishud sthithi mein waapas laya jayega.” 27

Punarjeewan ke baad humare Uddharkarta dwara nyaye ka mahan ashirvaad, jinho ne kaha:

“Mai sabhi logon ko apni or akarshith karunga, jisse ki unke karamo ke anusaar unka nyaye ho.

“Aur aisa hua ki jo bhi koi paschaataap karega aur mere naam par baptisma lega wah paripurn hoga; aur wah anth tak shahanshil bana rahega, tab jis din mai jagath ka nyaye karne ke liye khada honga, us din mai Pitah ke samach use nirdosh manuga.” 28

Aur phir, Masih aur unke Praeshchit dwara, har koi jo vishwaas, paschataap, baptisma, pavitra aatma ko pana Unka palan karna chunege, aur anth tak sahanshil bane rah kar unka palan karna chunege, 29 pahechanege unke yaatra ka anth divya manzil anant jeewan ki virasath hai. Weh apne Pitah ke paas wapas jayenge Unke saath humesha jeewan bitane ke liye. 30 Hum acchi tarah se chune sakte hai.

Janam aur mritiyu ke beech jo kuch hota hai, uske mukable hamare astitv ke liye bahut adhik hai. Mai aap ko amantrit karta hoon ki aap aa kar Masih ka palan karein. 31

Mai Ishu Masih Ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka, ko amantrit karta hoon ke weh har din, “Masih ke paas aye, aur usme purn vishwaas karein, aur jitne baate Ishwar ke pratikul hain un sab ko tyaago, …[taki] Masih ke lahoo bahane ke zarya, …tum pavitra ban [sako], bina daag ke.” 32

Mai unko amantrit karta hoon jo abhi is Girja ke sadasye nahi hain, ki weh aye aur Mormon Dharamshastra ko padhe aur pracharakon ko sune. Ao vishwaas rakho aur apne paapo ka praeshchit karo. Ao aur baptisma lo aur pavitra aatma ke taufe ko pao. Ao aur ek khusaal, Masih-bhare jeewan ko bithao.Jab aap Unke paas ayenge aur Unke aagyaon ka palan karenge, mai vaada karta hoon ki aap is ashant maranshil anubhav aur aane wale anant jeewan mein shanti payenge. 33

Jin logo ne in sacchai ka anubhav kiya hai, aur jo bhi karano se bhatak chuke hai, main aapko waapas aane ke liye amantrit karta hoon. Aaj waapas aao. Humare Pitah aur Uddharkarta aapko pyaar karta hain. Mai gawahi deta hoon ki Masih ke paas tumhare sawaal ka jawaab dene ki shakti hai, aapke dard aur dukh ko bhar deta hai, aur tumhare paapo ko chama karne hai. Mai jaanta hoon ki yeh sach hai. Mai jaanta hoon ki yeh sabhi cheeze sach hai. Masih jeewit hain! Yeh Unka Girja hai. Ishu Masih ke naam se, amen.