2010-2019
Duniya ko Prajit karna
April 2017


15:53

Sansaar ko Prajit karna

Duniya ko prajit karna jiwan mein ek baar nahi hona chahiye, parantu jiwan bhar mein hamesha hona chahiye jo tumhe anant jiwan deta hai.

Kai saalon pahale, Pradhaan David O. McKay ne apne ek sundar anubhao ko batlaya jab Samoa ki oar jahaaz mein ja raha tha. Sotey hi, usne “swapan dekha” kuch bahot pavitra. Dur,” usne kaha, “Mere paas ek sundar safed shahar hai. … Pedon mein swaadisht fal … aur sabhi sthaan par phool khil gaye. … Ek bade sangaton mein log shahar ki oar badh [rahe] the. Har ek ne safed sundar raob pahana tha. …achaanak meri nazar … unke neta par padi, aur main dekh paya ki Wah kaesa dikhta tha … , Mine ek hi bar mein Use apne Uddhaarkarta ki tarah pahachaan liya tha! Uske… chahare mein wah mahaan chamat [tha]. Uske ird-gird shaanti … diviye tha!”

Pradhaan McKay ne aage batlaya, “Shahar …uska …Aanant Shahar; aur uske piche chalne waale log shaanti aur anant khushiyon mein waha par the.”

Pradhaan McKay aschariye mein tha, “[Weh kaon hai?” Yeh kaon log hain?]”

Usne samjhaya baad mein kya hua tha:

Usne samjhaya baad mein kya hua tha: “Jaesa ki Uddhaarkarta ne meri soch ko jaan liya tha, usne adhe cikil mein likhe hue [shabdon ki] oar ishara kartey hue jawaab diya ki … [logon ke] saamne aaya … sone mein likha … :

“‘Yeh Hoh Hai Jo Diniya ko Parajit Kiya Hai—

“Jo Sach Mein Dhaarmikta se Badle the!’”1

Kai peediyon se, mujhe vaakye yaad hai: “Yeh ho hai jo duniya ko prajit hai.”

Wah ashirwaad jo Prabhu ne vaada kiya hai unko jo duniya ko parajit kartey mahaan hai. Woh “safed kapde pahanege … aur jiwan ki kitaab mein unka [naam hoga].” Prabhu “[unke naamon] ko Pita ke saamne, aur uske duton ke saamne layega.” 2 Har ek ke “paas kaarye hoga punaharjiwan mein,” 3 anant jiwan ko prapt karenge, 4 aur “Parmeshwar ke sangaton se “bahar nahi jaenge” 5

Kya is duniya ko prajit kar saktein hain aur in ashirwaadon ko prapt kar saktein hai? Ha, aisa ho sakta hai.

Uddhaarkarta ke liye prem

Weh jo duniya ko prajit kar letein hain humare Prabhu aur Uddhaarkarta, Ishu Masih ke pure prem ko paatein hain.

Uska diviye pyedaaish, Uska sahi jiwan, Usk mahaan Preschit Gethemane aur Golgotha mein, ne hum sab ko Punaharjiwan ka aswaasan diya. Humare sachche paschataap se, Wah akela hi kaabil tha humare paapon se hume saaf kare mein, hum sab ko Parmeshwar ke pas waapis laute mein. “Hum use prem kartein hain, kyuki usne hume pahale prem kiya hai.”6

Ishu ne kaha, “Khus raho, maine sansaar ko prajit liya hai.”7

Baad mein Usne kaha, “Wah chahata hai ki hum [bhi] duniya ko prajit karein.”8

Duniya ko prajit karna jiwan mein ek baar nahi hona chahiye, parantu jiwan bhar mein hamesha hona chahiye jo tumhe anant jiwan deta hai.

Is ka shuruwaat ho sakta hai jab ek bachche khelna shike aur humesha gana, “Main Ishu ki tarah banne ki koshish kar raha hoon.” 9 Yah hota hai jab ek insaan Naye Niyam mein Uddhaarkarta ke jiwan ko sikhna jari rakhta hai aur Mormon ki Dharamshaastra se Uddhaarkarta ki Preschit ki shakti ke bare mein sikhta hai.

Parthna, paaschataap, Uddhaarkarta ke piche chalne, aur Uske mahima ko prapt karne se aur bi achchie tarah se smajh milta hai ki hum yaha kyo haiaur hume kya banna hai.

Alma ne is tarah batlaya: “Unke hridayon mein ek mahaan pariwartan hua tha, aur unhone swaye ko vinamar kiya aur sachche aur jiwit Parmeshwar mein apna vishwaas banaya … ant tak vishwaas [bane] rahe.” 10

Jo duniya ko prajit kar letein hain jaantey hai ki weh Swargy Pita ke laayak ban jatey hai. Sachaai se badalna aur paapon se paschataap karna chetaaoni nahi hai parantu bach jaatey, jaesa “paap jo lahoo [ki] tarah laal hai …barf ki tarah safed [honge] .” 11

Parmeshwar ke prathi Uthardayi hona

Jo duniyadari waalen hai ko Parmeshwar ke zimmedariyon mein mushkil hoga- jaesa ki ek bachcha apne mata-pita ke ghar mein bade partiyon karta hai jab weh shahar mein nahi hotey, stithi mein khush hotey, us pal ko bhool jaatey ki jab mata-pita 24 ghaton ke baad waapis ayege ko kya hoga.  

Yeh duniya swabhavik prakrithi ko tyagne ke vajay usme shaamil hone me dilshcasp hai.

Duniya ko prajit karna pura hamla nahi hai parantu ek akela, veyaktigat ladaai, zaroori hai humare khudh ke musibaton ke khilaaf.

Duniya ko prajit karne ka matlab mahaan agya ke paalan karna: “Aur tu Prabhu apne Parmeshwar se apne sare man se aur apne sare praan se, aur apni sari bhudhi se, aur apni sari shakti se prem rakhna.” 12

Masih lekhak C.  S. Lewis ne is tarah batlaya: “Masih kahatein hain ‘Sab Kuch mujhe de do. Mujhe tumhare sabhi samay nahi chahiye aur tumhare sabhi payese aur tumahre sabhi kaam: Mujhe tum chaiye.’” 13

Duniya ko prajit karna Parmeshwar ki vaada ko rakhne mein shaamil hain-humare baptisma, mandir ke vaadon aur humare anant saathi ke saath vishwaas. Duniya ko prajit karna har saftey peabhubhoj ki oar vinamrata se le jata hai, chama maagtey hue aur “usko yaad karne ur uske vaade ko nibhaane” mein madad karta hai ki humare “saath humesha uska Aatma ho.” 14

Humare Sabhath din ke liye prem khatam nahi hota hai jab chapel ke daewaaze badh ho jaatey hai prantu ek dusra darwaza kholta hai ek sundar roz ke kaam se araam, shikne, prarthna, aur parivaaron aur dosron tak pahunchne mein jinko humaro zaroorat hai. Naaki bach gaye hai ke ahesaas jab girjaghar khatam ho jata hai, asha ke saath ki turant hi televshan par khel ko dekhna shuru karenge, humare asha Uddharkarta aur Uske pavitra din par hi rahana chahiye.

Duniya humesha bahakane aur fuslaane waale awaazon se bhari hui hai. 15

Duniya ko prajit karna us ek awaaz mein vishwaas karna hai jo chetaaouni, sahara, aaswaasan, maarg, aur shaanti lata hai “naaki jis tarah duniya deti hai.”16

Niswarththa

Duniya ko prajit karne ka matlab hai khudh ke bajaaye dusron par dhyaan dena, dsure aagaya ko yaad karna 17: “Wah jo tumhare beech sabse bada hai tumhara sewak ho sakta hai.”18 Humare saathi ki khushi humare khudh ke khushi se zaroori hai. Humare bachchon ko madad karna Parmeshwar ke prem ko jaane ke liye aur Uske aagyaoun ka paalan karne ke liye ikcha mukhye kaarye hai. Jab hum apne duniyadari ke cheezon ko baatein hain jaese daswe hissa, upwaas bharna, aur unko dena jinhe zaroori hai. Aur jab dhaarmik antenas swarg ki oar hota hai, Prabhu hume us tak pahubchata hai jise hum madad kar saktey hai.

Ek duniyadari ka insaan khudh par dhyaan deta hai, ghamand se kahatey hue: “Apne padosi ke saath tulna karna! Dekho mera kya hai! Dekho main kitna zaroori hoon!”

Duniya asaani se gussa, beparwa, musibaton, sangaton bhare logon se prashansit hone mein prem karta hai, jabke duniya ko parajith karne se jo log tumse alag hai unke liye vinamratha, samvedhna, dhiraj, aur karuna milegi.

Bhavishyavaktaon me suraksha

Duniya ko prajit karne ka humesha matlab hai ki humare paas kuch vishwaas hai jo duniya ko pasand nahi hai. Uddhaarkarta ne kaha:

“Yadi sansaar tumse baer rakhta hai, to tum jaantey ho, ki usne tumse pahale mujh se baer rakha.

“Yadi tum sansaar ke hotey, to sansaar apnon se prati rakhta.”19

Aaj subha Pradhaan Russell M. Nelson ne kaha, “Ishu Masih ke sacche chele alag dikhne, awaaz uthane, aur duniya se alag log banne ke liye razi hain.”20

Ek Masih ka chela chinta mein nahi hota agar uske vishwaas ke bare mein ka likha hue ko apne Facbook par 1,000 laiks nahi miltey ya kuch mitron se emojis bhi.

Duniya ko prajit karna humare online rahane ke chinta se kam hai aur humare Parmeshwar se ziyada kareeb rahane ka chinta hona chahiye.

Prabhu hume surakhcha pradaan karta hai jab hum Uske jiwit bhavishyevaktaaoun aur devduton se maargdarshan letein hain.

Pradhaan Monson baath karte hue

Pradhaan Thomas S. Monson ne kaha: “Duniya mein … chunaotiyon. … [Jab hum mandir jaatey hai].… hum aur ziyada sabhi musibaton ka saamna kar sakenge aur har ek bahakawe se bach.…Hum naye aur himmati ho saktey hai.”21

Badhatey hue bahakawe, musibaton, aur jhuton se, duniya vshwaasiyon ko phale ke shaktishaaly dhaarmik anubhaoun ko andekha karne ke liye manatey hai, batlatey hue ki weh paagal hai.

Duniya ko prajit karna yaad karna hai, jab hum musibat mein hotey hai, us samay. humne Uddhaarkarta ke prem aur joyti ko mahesoos kiya hai. Elder Neal   A. Maxwell ne ek anubhao ko is tarah samjhaya: “Mujhe ashirwaad mila hai, aur mujhe pata hai ki Parmeshwar ko pata hai ki mujhe pata hai ki ashirwaad mila hai.”22 Bhale hi hum kuch samay ke liye bhool jana mahesoos kartein hain, hum bhooltey nahi hai.

Duniya ko prajit karne ka matlab nahi hai ki hum akele rahatey hain, maranshilta ke galation aur musibaton se bach saktey hai. Bhale, wah hume ziyada vishwaas ka samjh de, Uddhaarkarta ke paas jaane mein aur wah vaadon ki.

Jab ki parishudtha is jeewan me pura nahi hai, is duniya ko parajhith karne se humari asha ki jyot jalthi hai ki ek din “hum [apne Udhaarkarta] ke aage khade honge; [aur] khusi se unka chahara dekhenge,” 23 aur Unki awaaz sunenge: “Ao, Mere Pitah ke priye, us Rajya ko apnao jo tumhare liye tayaar kiya gaya hai.”24

Elder Bruce D. Porter ka Udhaaran

Is pichale saal December 28 ko, humare priye dost aur pyare Maha Adhikari Elder Bruce D. Porter, mar gaya. Wah 64 saalon ka tha.

Main pahali baar Bruce se mila jab hum Brigham Young University mein vidhyaardhi the. Wah sabse achcha aur hosiyaar tha. Harvard University se daktari degree parpt karne ke baad, Russian gatividhiyon mein bhi kiya, Bruce ko sochne aur likhne mein mahaanta prapt hui jo use bura bana sakta tha, parantu duniya ke payese aur wawahi ne kabhi uska iraada nahi badla.25 Uska vishwaas Uddhaarkarta, Ishu Masih mein; uske anant saathi, Susan; uske bachchon aur nati-poton mein tha.

Elder Porter apne parivaar ke saath

Bruce ko payedaish se kidney ka rog tha. Uska ilaaj hua, parantu us samay tak kidney kharaab ho chuka tha.

Kuch samay baad Bruce ko 1995 mein Maha Adhikaari ghoshit kiya gaya tha, humne Frankfurt, Germany mein saath mein sewa kiya, jaha uska kaarye Russia aur Purabi Europe mein kendrith tha.

1997 mein Elder Porter ki jiwan mein bada badlaao aya jab uska kidney kaam na karna aur swast bigadna shuru hua. Porter parivaar Salt Lake Shahar waapis agaye.

Sattar mein 22 saalon ke sewa ke dauraan, Bruce ko kai baar aspataal mein bharti hona pada jismein 10 oparesions hue. Daktaron ne do stithiyon mein Susan ko batlaya ki Bruce raat bhar ka hi mahimaan hai, parantu wah ji gaya.

Unke 12 saalo se zyada ke Maha Adhikaari sewa me woh har din dialysis par tha apna khoon saaf karne ke liye. Us samay ke zadatar, daiyalisis ek safta mein paanch baar shaam ko hota tha chaar ghanton tak ka har ilaaj tha taaki wah din mein apna sewa ki niyukti ko pura kar sakey aur sammelan ke kaaryon mein saftaanth ko ja sakey. Jab uska swaast kai purohiti ke ashirwaadon ko lene ke baad achcha nahi hua, Bruce aschariye mein padh gaya parantu use pata tha ki wah kis par vishwaas karta hai.26

2010 mein, Bruce ko uske putra David ne ek kidney diya. Is samay uske sharir ne swikaar kar liya. Yah ek jaadu tha, swast swaast ko pana, ant mein use aur Susan ko waapis unke priye sthaan Russia mein Chitra Adhikaari ki tarah jana hua.

Elder aur Sister Porter Russia me

2016, December  26 ko, humesha bimaariyon se ladhne ke baad Salt Lake Shahar ke aspataal mein, usne daaktaron ko kamre se jaane ko kaha. Bruce ne Susan se kaha “ki use Aatma dwara pata chala hai ki daaktaron se kuch bhi nahi hoga jo use jiwan de sakey. Use pata tha ki … Swargy Pita use ghar le jayega. Wah shaant tha.”27

December  28 ko, Bruce apne parivaar ke ghar waapis chala gaya. Kuch ghanton baad, uske parivaar ird-gird the, wah shaanti se apne swargy ghar laut gaya.

Elder Bruce D. Porter ka chitra

Saalon pahale, Bruce Porter ne apne bachchon ko yah shabd likha tha:

“Gawahi jo mere paas hai Ishu Masih ki sachchaai aur prem ka mere jiwan ka maargdarshan hai. … Yah Aatma ka saaf, jalti hui gawahi tha ki Wah jiwit hai, ki Wah mera Muktidata aur Dost hai sabhi zaroorat ke samay par.”28

“Humare chunaoti … hai ki [Uddhaarkarta] ko jaane, aur Usmein vishwaas karne se, duniya ke musibaton aur bahakawe par prajit karakein.”29

“Hum usmein vishwaasi, sachcha, bharosa karn chahiye.”30

Bruce Douglas Porter duniya ko prajit kiya tha.

Hum sab ko ziyada koshish karna chahiye humare chamta se duniya ko prajit karne mein, naaki bari paapon ko andekha karein kuch musibaton aur galtiyon ko jheltey hue, apne raftaar ko badhaye aur daya purwak dusron ki sewa kare. Jab tum aur ziyada Uddhaarkarta mein vishwaas karoge, main tumhe vaad karta hoon ki is jiwan mein ziyada shaanti ka ashirwaad milega aur tumhe ek bhari anant niyukti ka aaswaasan prapt hoga, Ishu Masih ke naam se, amen.