2010-2019
Ek Sampurn Din ki tarah aur Ujwal hota gaya
April 2017


10:23

Ek Sampurn Din ki tarah aur Ujwal hota gaya

Sabse bade musibaton aur mushkilon ke samay par bhi, yaha par humare ird-gird mein roshni aur achaaiyaan rahati hai.

Paul ne Corinthians ko asha ka ek ascharye sandesh ko batlaya:

“Hum chaaron oar se klesh to bhogtein hain, par sankat mein nahi padhtey, nirupaye to nahi, par niraash nahi hotey.

“Sataye to jaatey hain, par tyaage nahi jaatey; giraaye to jaatey hain par niraash nahi hotey.1

Paul ke asha ka neev kya tha? Uske jawaab ko suno: “Isliye ki Parmeshwar hi hai, jisne kaha, ki andhkaar mein se joyti chamke; aur wahi humare hridayon mein chamka, ki Parmeshwar ki mahima ki pahachaan ki joyti Ishu Masih ke chahare se prakaashmaan ho.”2

Sabse bade musibaton aur mushkilon ke samay par bhi, yaha par humare ird-gird mein roshni aur achaaiyaan rahati hai. Pichale October, Pradhaan Uchtdorf ne hume yaad dilaya, “Hum itne zyaada ashcharyejanak raushni aur sachchaai se ghire hai ki mai sochta hoon kya hum sach mein jo hai uska kadar karte hai.”3

Phirbhi, shaitaan hume “andhkaar ke dhuwe ki oar akarshit karega … jo ankhon ko andha kar deta hai, … hriday ko kathor … aur … dur kar deta hai.”4

Is prakaar, humare din ke chunaotiyon ko sahi tarah se jaane ke liye, Prabhu ne vaada kiya: “Ki jo Parmeshwar ka hai wah joyti hai; aur jo joyti prapt karta hai, aur Parmeshwar mein vishwaash rakhta hai, aur zyada joyti prapt karta hai; aur wah joyti Ek Sampurn Din ki tarah aur Ujwal hota gaya.”5

Hum Parmeshwar ke bachchein hain. Joyti ko prapt karke, Parmeshwar ke saath rah kar, aur zyada joyti prapt kar ke hum wahi kar rahe the jo karne ke liye hum rache gaye hain. Shuruaat se hi, hum joyti ke piche hi chale; hum Swargya Pita aur Uske yojna ke piche chale. Joyti ko dhoondhna humare dhaarnikta ka bhaag hai.

Maine yah anant sachchaai ek anjaan sthaan par sundar tarike se suna tha. Jabki main ek bade benk mein kaam kar raha tha, mujhe University of Michigan ke kaaryekaram mein bhaag lene ka mauka prapt hua tha. Us kaarye karam ke dauraan, Profesar Kim Cameron ne netritav ke sahi tarikon ko batlaya. Usne samjhaya: “Yah saare jiwit logon ko sahi shakti (joyti) ki oar jhukata aur galat (andhere) se dur karta hai. Ek akele-cell ki tarah se insaani tarike se badal jata hai, sabhi jiwit cheezon ko sahi ki oar jhuka deta hai aur galat se dur karta hai.”6

Kai shikshanon dwara sahara prapt hua, usne kaarye ke vishwaas ko safalta se karne ke liye teen mukhye cheezon par gaur kiya: dayaluta, chama, aur abhaar.7 Yah sach hai ki jab log sachaai (joyti) ki oar mudhatey hai, Duniya ke Joyti, Ishu Masih ke gunon, dwara sahi mein utpan rahata hai!

Bhaaiyon aur bahanon, kripya yaad rakho ki yaha joyti humare liye uplabdh hai. Main teen sthaan batlata hoon jaha humhumesha joyti prapt kar sakenge:

1. Girjaghar ki Joyti

Girjaghar badhatey hue buraai ki duniya mein sachchaai ka uddhaaran hai. Yah Ishu Masih ka Antim-dino ke Santon ka Girjaghar ke sadesye hone ka ek ashchariye samay hai! Girjaghar pahale se bhi zyada shaktishaaly ho chuki hai8 aur har din aur bhi zyada shaktishaaly ho rahi hai jabki naye sadasye humare saath judh rahe hai, naye sanghaten ban rahi hain, naye parchaarak niyukt ho rahe hain, aur naye sthaanon par susamachaar pahunch raha hain. Hum dekhtein hain ki jo Girjaghar ke gatividhiyon mein kuch samay se bhaag nahi le rahe the Pradhaan.Thomas S. Monson ke har din ke chamatkaaron se waapis laut aaye.

Abhi haal hi mein maine Paraguay, Chile, aur Argentina ke yuva ke saath bhent kiya unke For the Strength of Youth ke sammelan ke dauraan. Hazaaron purush aur mahilaaein apne Uddhaarkarta ke prem ko ek saftah se mazboot kar rahein hain, phir waapis ghar apne parivaaron aur mitron tak pahunche Masih ke joyti aur prem ke prabhaao ko faelatey hue.

Dekho, yaha humesha ayese log honge jo Girjaghar ke baare mein buraai karenge. Yah shuruaat se hi hai aur anth tak rahega. Hum is tarah ke buraai se apne joyti ke ahesaas ko jo humare paas hai ko kam nahi karne denge. Joyti ko jaan kar aur baad mein dhoondhne se yah hume aur bhi zyada joyti ko dega.

Buraai ki duniya mein, Girjaghar ki joyti ek sampurn Din ki tarah aur ujwal hota gaya.

2. Susamachaar ki Joyti

T Susamachaar ki joyti wah raasta hai jo “ek Sampurn Din ki tarah aur Ujwal hota gaya,”9 aur yah humare parivaaron mein adhik chamakta hai aur duniyabhar ke mandiron mein.

Preach My Gospel batlata hai: “Susamachaar ke joyti se, parivaarein matbhedh, musibaton, aur chunotiyon ka saamna kar saktein hain. Parivaarein jo jhagdon ke sankat se tut gaye hai ko pashchataap, chama, aur Ishu Masih ke Balidaan ki shakti ke vishwaas se theek ho saktein hai.”10 Abh pahale se bhi zyada, humare parivaaron ko humare sabhi ird-gird ke logon ke liye mahaan joyti ki neev banna zaroori hai. Parivaarein joyti mein badhatein hain jab weh prem aur dayaluta mein badhatein hain. Jab hum “vishwaas, … pashchataap, chama, iszat, prem, (aur) dayaluta mein badhatein hain,”11 hum Uddhaarkarta aur ek dusre ke liye badhatey hue prem ko ahesaas karenge. Parivaar aur bhi zyada mazboot hogi, aur hum sab mein joyti aur bhi zyada hogi.

Hum Bible Dictionary mein padhatein hain, “Sirf ghar mandir ki pavitrata ka milaan kar sakta hai.”12 Abh humhare paas 155 mandirein chaltu hai aur bhi jald anewale hain. Aur bhi ziyda parivaarein samay aur pure anant ke liye bandh rahein hain. Sadesye mandiron mein apne purwajon ko bachane waale siddhaanton ko karne ke liye aur bhi zyada naamon ko de rahe hain. Hum mahaan khushi ko anubhao kar rahein hain aur vail ke dono oar jashan manaye ja rahein hain!

Buraai ki duniya mein, girjaghar ki joyti ek sampurn din ki tarah aur ujwal hota gaya.

3. Masih ki Joyti

Tum duniya ki jyoti ke baare mein baat nahi kar saktey ho bina Duniya ki joyti, Ishu Masih ke baare mein baat kiye. Ek priye Swargya Pita hone ka chin hai ki jo koi bhi is jiwan mein aata hai ko Ishu Masih ka ashirwaad prapt hota hai unko waapis ghar jaane mein madad ke liye. Pradhaan Boyd K. Packer ne sikhlaya: “Masih ki Aatma humesha yaha hai.… Masih ki Joyti mahaan hai jaese suraj ki kirne khudh. Jaha kahi bhi insaan ka jiwan hai, waha Masih ki Aatma hai.”13 Masih ki Joyti “nirantar achcha karne ke liye aamantarith karta hai aur un sabhi ko taeyaar karta hai”14 jo Pavitra Aatma ko sachchaai aur achchaai se dhoondhata hai.

Uddhaarkarta sikhlatein hain ki Wah woh joyti hai jo “tumhare ankhon ko kholta hai,” “tumhare samajh ko badhata hai,” aur “sabhi cheezon ko jiwan deta hai.”15 Masih ki joyti ki madad se hum Uddhaarkarta ki ankhon ke dwara dusron ko dekh sakenge. Hum dusron ke musibaton ko zyada samajhenge aur unki madad karenge. Yah hume aur bhi zyada dhaerye rakhne mein madad karega unke saath jo humare saath yah jaesa hum sewa kartey woh nahi karte. Yah humari madad karega khushiyon ke mahann yojna ko aur bhi achchie tarah se samajhne mein aur dekhien ki kis tarah hum sab is mahaan yojna mein bhaag letein hain. Yah jo kuch bhi hum kartein hain ko jiwan, matlab, aur mahatva deta hai. Saare khushiyaan jo hume prapt hoga jabki hum Masih ke Joyti ko aur bhi zyada achchie tarah se samjhenge, yah khushiyaan us tarah nahi hota hai jaesa ki hum Masih ki Joyti ko dusre ke jiwan- parivaar, mitron, aur chahe pure ajnabi mein karye kartey hue mahesoos kartein hain.

Meetinghouse ke Aag ko Bhujana

Maine us khushi ko mahesoos kiya jab maine ek bahadur aagbujhane waale ke dal ke himmat ke baare mein suna jinhone July 2015 mein Dakshini California ke jaltey hue stake kendra ko bachaya tha. Jab aag badh raha tha, ek batelian comandar ne LDS mitra ko fone kiya aur pucha ki kaha par pavitra cheezein aur prabhubhoj kaps rakhe the taaki weh unhein bacha sake. Uske mitra ne use aaswaashan diya ki waha kuch bhi chezein nahi tha aur prabhubhoj ke kaps asaani se badle ja sakte hain. Parantu comandar ne mahesoos kiya ki wah aur bhi zyada kare, to usne aagbhujane waalon ko jaltey hue imaarat mein dobara bheja taaki Masih ke saare chitron ko bacha kar diwaaron se nikaal kar la sakein. Unhone ek aagbhujaane waali gaadi mein ek chitra ko rakha is asha se ki aagbhujaane waalon ki raksha ho. Main comandar ke dayaluta, achchaaiyon, aur Joyti ki samajhdari par bahot khush hua, khaaskar us khatre aur musibat ke samay par.

Aag se Uddhaarkarta ke Chitra ko bachana
Aag Bujhane Waala Uddhaarkarta ke Chitra ke saath

Buraai ki duniya mein, Masih ki Jyoti ek sampurn din ki tarah aur ujwal hota gaya!

Main dobara Paul ke baaton ko doharata hoon: “Hum joyti ke kawajh ko pahane.”16 Main Masih ki gawahi deta hoon. Wah duniya ki Joyti hai. Hum bhi joyti se shakti prapt karein jo humare paas uplabdh hai girjaghar mein aur bhi zyada bhaag lene se aur humare parivaaron mein aur zyada susamachaar ko laane se. Hum dusron mein humesha Masih ki Joyti ko dekhein aur unko madad karein khudh mein dekhne ki. Jab hum us joyti ko paatein hain, hume aur bhi zyada joyti ki ashirwaad prapt hoga, antim din tak bhi jab hum “joyti ke Pita,” humare Swargyaa Pita ko dobara dekhenge”17 Main yah gawahi Duniya ke Joyti, Ishu Masih ke pavitra naam se deta hoon, amen.