Yuva
Tumhara Kulpati ka Ashirvaad
Pradhaan Monson ek kulpati ke ashirvaad ka varnan karta hay is tarah “ek vyaktigat Liahona jo tumhara maarg batlaata hay aur tumhaara raasta nirdeshan karta hay.” Tab yeh ashirvaad kya hay, aur woh kaise madad kar sakta hay tumhaare jiwan ko nirdeshan karne ke liye?
Ek kulpati ka ashirvaad kya hay?
Tumhaare ashirvaad ke do mukhye lakshye hay. Pehla, woh tumhara vansh-parampara (lineage) batlaaega, ya tum Ishrael ke ghar ke kis samudaae ke ho. Dusra, usmein jaankaari hogi tumhein sahayta dega tumhare nirdeshan ke liye. Tumhare ashirvaad mein vaade, salaah, aur chetaaoniyaan hogi.
Mujhe apna ashirvaad praapt karne ke liye kitna bada hona chahiye?
Koi nishchit umra nahin hay, magar tumhein is ashirvaad ke pavitra rup ko samajhne laayak hona chahiye. Kai sadasye apne ashirvaad ko haasil karne ke liye apne yuvapan ke shuruaat mein sochne lagte hay.
Kaise main is ashirvaad ko praapt karun?
Pehle apne bishop ya shaakha pradhaan se baat kijiye. Agar tum tayyaar aur yogye ho, tumhein ek sifaarish diya jaaega. Uske baad, tum ek appointment bana sakte ho apne ilaake ke kulpati ke saath.
Main apne ashirvaad ke saath kya kar sakta hoon?
Use ek surakshit sthaan par rakhein, aur aksar padhein. Yaad rakhiye, tumhara ashirvaad pavitra aur niji hay. Tum use apne taakaalik (immediate) parivaar sadasyon ke saath baant sakte ho, magar use khule aam mat baantna. Aur, sabhi ashirvaad jo tumhare kulpati ke ashirvaad mein hay tumhaare vishwaasi rehne aur Prabhu ke samay par aadhaarik hay.