2010
Saadhanon ka Sanchaalan Buddhimaani se Karein aur Karz Se Mukt Rahein
February 2010


Shikshan Sandesh Bhent, February 2010

Saadhanon Ka Sanchaalan Buddhimaani Se Karein aur Karz Se Mukt Rahein

In dharamshaastron aur uddharanon ko ya, agar zaroorat pade, dusre siddhaant ko sikhlaiye jo un bahanon ko ashirvaad denge jinse tum bhent karti ho. Dharamsiddhaant ki gawahi dijiye. Jinhein tum sikhlaati ho unhein amantrit kijiye ki unhonne jo mehsoos kiya aur sikha hain unhein baantein.

Saadhanon ka Sanchaalan

“‘Bhaavi avashyaktaaon ke anusaar jeena (Provident Living)’ … ka arth hay apne saadhanon ki [bachat] karna, buddhimaani se vitt sambandhi vishay ki yojna banana, niji swaasthye ki tayyaari, aur shiksha aur naokri mein badhanti ke liye paryaapt tayyaari, ghar par ugaane aur rakhne par dhyaan dein tatha durbhaagye se sambhalne ke liye bhauk rup se tayyaar rahein.… Agar hum buddhimaani aur bhaavi avashyaktaaon ke anusaar jeeye, hum utna surakshit rahenge jitna jab Woh hamein apne haathon ki hatheli par leta tab hotein.”1

Pradhaan Spencer W. Kimball (1895–1985).

“Kin nipunntaaon ki hamein avashyakta hay aatma-nirbhar hone ke liye?… Girjaghar ke shuruaat ke dinon mein, Brigham Young ne bahanon se niwedan kiya ki parivaaron ko beemaari se bachaaye, ghar par kaarigari karein, aur hisaab rakhne aur bahi-lekhan aur anye vyavahaarik nipunntaaon ko sikhein. Yeh siddhaant aaj bhi laagu hay. Shiksha utna ki avashyak hay.…

“Mainne kai bishops se pucha unke wards mein bahanon ko kin aatma-nirbharta ki nipunntaaon ki avashyakta sabse zyaada hay, aur unhonne kaha bajating. Mahilaaon ko udhaar par khareedbeen karne aur bajat ke andar na jeene ke baare mein samajhna chahiye. Dusri nipunnta jo bishopon ne bataya tha khaana pakaana. Bhojan ghar par banaya aur khaaya jaaye aam taur par kam kharchila hota hay, swastha hota, aur mazboot parivaar sambandh ka kaaran hota hay.”2

Julie B. Beck, Sahayak Sanstha maha Pradhaan

Karz Se Bachna

“Main vitt aazaadi ke paanch mukhye tatva ka sujhaao deta hoon.…

“Pehla, apna das-aansh bharein.

“Dusra, apni aamdani se kam kharch karein.

“Teesra, bachat karna sikhe.

“Chautha, apne vitt sambandhi zimmedaariyon ko nibhaae.

Paanchwa, apne bachchon ko apna uddharan par chalne ko sikhlaaye.3

Elder Joseph B. Wirthlin (1917–2008) Barah Devduton ke Parishad ke.

“Jab hum karz mein ho jaate hay, hum apne bahumulye, anmol chunne ki chamta ko daan karte hay aur apne aap ko khud-banaya gaya kaed mein daal dete hay. Hum apna waqt, shakti, aur jo humne maanga hay ko chukaane ke saadhan se vivash hote hay—un saadhanon se jo hamein, hamare parivaaron, aur auron ki sahayta mein kaam aa sakta tha. …

“Apne karz ko abhi chuka dena aur bhaavi karz se bachne ke liye hamein Muktidaata mein apne vishwaas ka istemaal karna hay—sirf achcha karne ke liye nahin magar achcha banne ke liye. Bahut vishwaas ki zaroorat hay in saral shabdon ko bolne ke liye, ‘Hum nahin khareed paaenge.’ ’’ Vishwaas hona chahiye yeh bharosa karne ke liye ki apne chahat ko apne aur dusron ke zaroorat ke liye balidaan karne ke baad hamara jiwan sudhar jaayega.4

Elder Robert D. Hales Barah Devduton ke Parishad ke

Vivaran

  1. “Welfare Services: The Gospel in Action,” Ensign, Nov. 1977, 78.

  2. “The Welfare Responsibilities of the Relief Society President,” Basic Principles of Welfare and Self-Reliance (2009), 5.

  3. “Earthly Debts, Heavenly Debts,” Liahona, May 2004, 41, 42.

  4. “A Gospel Vision of Welfare: Faith in Action,” Basic Principles of Welfare and Self-Reliance (2009), 1.

Daora Karne Waale Shikshak ke Liye Sahayta

Apne saathi ke saath salah kijiye ki tum kaise is sandesh ko har ek bahan ki paristhitiyon ke naazuk rupanukul vaytit kar sakti ho. Kaun se atma-nirbharta ke kaushaltaaen tum uske saath baant sakti ho?

Vyaktigat Tayyaari

Malachi 3:10

Mathew 6:19–21

Luke 12:15

D&C 38:30; 88:119

Aur jaankaari ke liye, dekhiye All is Safely Gathered In: Family Finances (item no. 04007).

Chaapo