2010
Aadhyaatmik Rup Se Tayyaar Rehna
February 2010


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, February 2010

Aadhyaatmik Rup Se Tayyaar Rehna

Bhavishyevakta Dwara Salaah

Vishwaas ka Ek Buniyaad

“Agar hamare paas vishwaas ka gehra buniyaad aur sachchaai ka ek atal bayaan nahin hay, hamein shaayad kathinaai hogi badkismati ke kathor toofaanon aur barfile hawaaon ko rokne mein jo aniwaariyeta (inevitably) se hum sab ke paas aati hay.

“Maranshilta pariksha ka ek chan hay, ek waqt jab hamein apne aap ko yogye saabit karna padta hay Swarg ke Pita ki maujoodgi mein jaane ke liye. Hamara parikshan hone ke liye zaroori hay, ki hum chunaotiyon aur kathinaaiyon ko anubhav karein. Yeh hamein tod sakta hay, aur hamari aatma dukhad hokar bikhar sakti hay---agar, hamare vishwaas ka buniyaad, hamare sachchaai ki bayaane hamare andar gehraai se sthaapit nahin hay.”1

Beete Hue Samay se Shikshan Praapt Karein

“Apne behtar aapaa (selves) ki khoj mein, kai sawaal hamare soch ko netritav karenge: Kya main woh hoon jo main banna chahata hoon? Kya main Muktidaata ke pehle se zyaada kareeb hoon? Kya main kal aur kareeb ho jaaunga? Kya mere paas himmat hay behtar hone ke liye badalne mein?…

“Varsh aayein aur varsh beet gaye, magar susamachaar ki gawahi ki zaroorat aaj bhi mujhe hay. Jaise hum bhavishye ki or badhte hay, hamein beete hue dinon ke shikshan ko nahin bhulna chahiye.”2

Tumhara Vyaktigat Liahona

“Tumahara kulpati ka ashirvaad tumhara hay aur sirf tumhara. Woh shaayad chota ho ya lamba, saral ya gambheer. Lambaai aur shabdaawaali kulpati ka ashirvaad ko nahin banati. Woh Aatma hay jo sachcha matlab batlaata hay. Tumhein apne ashirvaad ko achchi tarah lapet kar aur sambhaal kar nahin rakh dena chahiye. Use frame ya prakaashit nahin karna hay. Balki, use padhna chahiye. Usse prem karna chahiye. Uske anusaar kaarye karna hay. Tumhara kulpati ka ashirvaad tumhein sabse kathin mushkilon mein sahayta dega. Woh tumhein jiwan ke khatron mein netritav karega.… Tumhara kulpati ka ashirvaad tumhaare liye ek vyaktigat Liahona hay tumhara maarg banane ke liye aur tumhare raaste ko nirdesh karne ke liye.…

“Dhiraj ki zaroorat padegi jab hum pratiksha karenge, intazaar karenge, aur kaarye karenge ek vaade kiye hue ashirvaad ki purti hone ke liye.”3

Unke paas aao

“Yaad rakhiye ki tum akele nahin chal rahe ho.… Jab tum zindagi se guzroge, hamesha roshni ki or badhna, aur jiwan ki parchaaiyaan tumhare piche reh jaayengi.…

“Jab main [ne] prerna ke liye dharamshaastra uthaaya, ek khaas shabd har samay par spasht dikhaai diya [hay].Woh shabd [hay] ‘aao.’ Parbhu ne kaha, ‘Mere paas aao.’ Usne kaha, ‘Mujh se sikho.’ Usne yeh bhi kaha, ‘Aakar, mere piche ho le.’ Main woh shabd pasand karta hoon, aao. Mera prarthna hay ki hum Prabhu ke paas aaye.”4

Vivaran

  1. “How Firm a Foundation,” Liahona, Nov. 2006, 62.

  2. “Becoming Our Best selves,” Liahona, Apr. 2006, 3,5.

  3. “Your Patriarchal Blessing: A Liahona of Light,” Ensign, Nov. 1986, 66.

  4. 16-stake fireside, Brigham Young University, Nov. 16, 1986.

Is Sandesh mein Se Shikshan

Teaching, No Greater Call batlaata hay: “Ek nipunn shikshak yeh nahin sochta,… ‘Main aaj kya padhaaunga?’ balki, ‘Kaise main apne viddhyaarthiyon ko madad karunga woh pata lagaane ke liye jo unhein jaanna zaroori hay?’” ([1999], 61). Is lekh mein se sikhne ke liye vyaktiyon ki madad karna, unke liye pepar aur kalam uplabdh karein aur samay dein Pradhaan Monson ke shabd padhne ke liye aur aadhyaatmik rup se tayyaar rehne ke liye jin sachchaaiyon ko woh mehsoos kar chuke hain unhein likhein. Chote bachchein chitra bana sakte hay un cheezon ke baare mein jo woh sikhte hay. Soch-vichaar karein ki unhein mauka dein jo unhonne likha ya chitra banaya sabhi ke saath baante.