Yuva
Prachaarak Bada Din
Mere dusre Bada Din ke samay ek pure-samay ke prachaarak ke rup mein, meri saathi aur main ek haal ke baptisma liye sadasye aur uske parivaar se milne gaye. Ek badhiya Bada Din ke raatri ke bhojan ke baad, humne unke saath ek Bada Din sandesh baanta.
Humne us parivaar se kaha ki woh un cheezon ke chitra banaye jo unhein is samay ki yaad dilaate hai, jaise taare, uphaar, Ishu ka Janm Sthaan, aur Bada Din ke ped. Humne phir kuch dharamshaastra padhein, 2 Nephi 19:6 ko lekar: “Kyunki hamare liye ek shishu janma hai, hamare liye ek beta diya gaya hai; aur shaasan uske kaandhe par hoga; aur uska naam kehlaaega, Mahaan, Salahkaar, Sarvashaktimaan Parmeshwar, Anant Pita, Shaanti ka Raajkumaar.” Humne gaaya “Once in Royal David’s City” (Hymns, no. 205), Ishu ke janam ki ek film dekhi, aur Ishu Masih ki gawahi di.
Woh saral paristhitiyon ka Bada Din tha, apne parivaaron aur hamesha ki Bada Din ke chahal pahal se door, magar jaise mainne Uddhaarkarta ki gawahi di, mainne aur pyaar aur kritigyata mehsoos kiya Unke aur Unke janam ke baare mein jo mainne pehle nahin kiya tha. Mujhe laga ki yeh mera aakhri Bada Din hoga pure-samay ki prachaar sewa mein apne Swargiye Pita ke liye, magar main jaanta tha ki Unki Aatma kahin par bhi Unke Putra ki gawahi mujhe de sakti hai.