2010
Mandir Kaarye aur Parivaar Itihaas Kaarye mein Bhaag Lene Ki Hamari Zimmedaari
December 2010


Shikshan Sandesh Bhent, December 2010

Mandir Kaarye aur Parivaar Itihaas Kaarye mein Bhaag Lene Ki Hamari Zimmedaari

Is utpaadan ka adhyan karein, aur jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye.

Tasveer
Relief Society seal

Vishwaas • Parivaar • Sahayak

Sadiyon se kai log mare hai susamachaar ke baare mein jaane bina. In mein se kuch log tumhare nazdik aur door ke rishtedaar hai. Woh tumhara intazaar kar rahein hai ki tum unke baare mein paryaapt jaanch karoge apne parivaaron mein shaamil karne aur unke liye mukti ki dharamvidhiyon ki purti karne ke liye.

Duniya ke kai mandir utne vyast nahin hote. Prabhu ne vaada kiya ki tumhare hriday pitaaon ke or mud jaaenge taaki dharti puri tarah bekaar na ho jaaye Unke lautne ke samay (dekhiye D&C 2:2--3).

Tumhein vyaktigat ashirvaad milenge mandir aur parivaar itihaas kaarye mein bhaag lene ke liye. In mein se ek hai woh khushiyaali jo tum mehsoos karte ho jab tum apne purvajon ki sewa karte ho. Ek aur hai ki tum mandir sifaarish ke yogye banoge, jo Prabhu ke samaksh tumhaari yogyata ka saakshi hai. Jo log aaj yogye nahin hai mandir sifaarish rakhne ke liye ko ek bishop ya shaakha adhyaksh ke saath vyast hona chahiye jald se jald yogye banne ke liye. Kripya is zaroori kaabliyat ke bina mat rahiye. Main gawahi deti hoon ki Praeshchit vaastavik hai aur paap sahi pashchataap se chama ho sakte hai.

Jaise jaise hum mandir aur parivaar itihaas kaarye mein bhaag lete hai, avashye hi Pavitra Aatma hamari chunaotiyon mein sahanubhuti dene ke liye hamare saath hoga aur zaroori faeslo mein maarg dikhlaaega. Mandir aur parivaar itihaas kaarye hamare apne purvajon ko sahayta dene, ya sewa pradaan karne ke kaarye ka bhaag hai.

Hamare Itihaas Se

“Bhavishyevakta Joseph Smith ne kaha tha, ‘Is duniya mein jo sabse mahaan zimmedaari Parmeshwar ne hamein di hai woh hai ki hum mare huwon ko dhoonde’ (History of the Church, 6:313). Shuruaat se, Sahayak Sanstha ki bahanon ne is mahaan kaarye ka samarthan kiya hai. 1842 mein Nauvoo mein, Sarah M. Kimball ki chahat ki woh mandir nirmaan kaarigaron ki sahayta karein ne ek bahanon ki dal ki sthaapna karwaai taaki woh aur achchi tarah sewa pradaan kar sakein. Jab woh saath mein milne lage, Bhavishyevakta ne … Sahayak Sanstha ki sthaapna ki purohiti ke kaaede se. Us samay se, Sahayak Sanstha ki bahanon ne Nauvoo Mandir ke kaam ko aage badhaane mein sahayta di. …

“1855 mein, Santon ko Utah mein pehli baar aane ke aath varshon baad, Endowment House (Ghar) ko banaya gaya. Eliza R. Snow, jo pratham Sahayak Sanstha ki sadasye reh chuki thi aur jisne us sanstha ke lekhon ko surakshit rakhkha tha, ko Pradhaan Brigham Young dwara 1866 mein maha Sahayak Sanstha pradhaan niyukt kiya gaya tha. Woh aur anye bahanein Endowment Ghar ke imaandaar kaaryekarta the. Phir, jab St. George, Logan, aur Manti Mandiron ka nirmaan samaapt hua, in bahanon ne un mein se har ek mandir tak yaatra ki taaki woh mare huwon ke kaarye wahan kar sakein.”1

Vivaran

  1. Mary Ellen Smoot, “Family History: A Work of Love,” Ensign, Mar. 1999, 15.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Main kaise apni bahanon ki sahayta kar sakti hoon apne purvajon ko dhoondhne mein aur unke liye mandir kaarye karne ke liye? Har ek bahan ki paristithi par gaur karein jab tum unke zaroorton ki purti karne ki sochti ho. Tum shaayad ye jaanna chahoge ki parivaar itihaas naye, waapas aane waale, aur kam-sakriye sadasyon ko mazboot kar sakta hai.

  2. Kam mandir aur parivaar itihaas kaarye ne mujhe meri chunaotiyon mein sahanubhuti diya ya zaroori faeslon mein maarg dikhlaaya?

Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye www.reliefsociety.lds.org.

Chaapo