2010
Kya Hum Masih Ko Dekh Sakte Hai?
December 2010


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, December 2010

Kya Hum Masih Ko Dekh Sakte Hai?

Ek raat ek aja apni chaar-varshiye poti ke liye kahani padh raha tha jab poti ne upar dekha aur kaha dekho, “Aja, taaro ko dekho!” Buzurg aadmi muskuraaye prem se aur kaha, “Hum andar hai, beti. Yahan par koi taare nahin hote.” Magar bachchi ne zidh kiya, “Tumhare kamre mein taare hai! Dekho!”

Aja ne upar dekha aur, aashcharyechakit hue, paaya ki bheetri chat dhaatu(metallic) jaisi chamak se bhari thi. Zyaadatar woh nahin dikhta tha, magar jab raushni ek tarike se us par ek alag tarike se padti, tab woh zaroor taaro ka maedaan dikhta. Ek bachchi ke aankho ke zariye woh dikh paaya, par woh wahan hamesha the. Aur us din ke baad, jab bhi aja is kamre mein jaate aur upar dekhte, woh un sabhi cheezon ko dekh paate jo unhonne pehle nahin dekha tha.

Hum ek baar phir Bada Din ke samay mein pravesh kar rahein hai sangeet aur raushniyon, paatiyon aur uphaaron se bhari hui. Magar sab logon mein se, hum us girjaghar ke sadasye ke rup mein jismein Uddhaarkarta ka naam shaamil hai ko is samay ke upari dikhaawe se aage dekhna hai aur saal ke is samay ki us uttam sachchaai aur sundarta ko dekhna hai.

Main kalpana karta hoon ki kitne log jo Bethlehem mein the jaante the ki wahin par, unke kareeb, Uddhaarkarta ka janam hua tha? Parmeshwar ka Putra, itne dinon se intazaar kiya gaya aur vaada kiya gaya Masiha---Woh unke madhya mein tha!

Kya tumhe yaad hai devdut ne charwaahon ko kya bataya tha? “Ki aaj David ke shahar mein ek Uddhaarkarta janma hai, aur yahi Masih Prabhu hai.” Aur woh ek dusre se kehne lage, “Aao hum Bethlehem jaakar yeh baat jo hui hai, aur jise Prabhu ne hamein bataya hai dekhein” (Luke 2:11, 15).

Puraane samay ke charwaahon ki tarah, hamein apne dilon mein kehna hai, “Aao hum yeh baat jo hui hai jaakar dekhein.” Hamein apne dilon mein iski ichcha karni chahiye. Aao hum Israel ke Pavitra Bete ko charni mein, mandir mein, pahaad par, aur krus par dekhein. Charwaahon ki tarah, aao hum Parmeshwar ki stuti aur prashansa karein is mahaan khushiyaali ki sandesh ke liye!

Kabhi kabhi jo cheezein hamesha hamare saamne hoti hai sabse kathin hoti hai dekhne ke liye. Jaise woh aaja jo bheetri chat par taare na dekh paaya, hum kabhi kabhi woh nahin dekh paate jo hamare bilkul saamne hota hai.

Hum jinhonne Parmeshwar ke Putra ke aane ke aanandaayak sandesh ko suna hai, hum jinhonne Unka naam apne upar liya hai aur vaada kiya ki hum Unke chelon ki tarah Unke maarg par chalenge---hamein apne hridayon aur mann ko khol kar Unhein sahi tarah dekhne mein asafal nahin hona hai.

Bada Din ka samay kai tarikon se anokha hai. Yeh samay hai dayaluta ke karmon ka aur bhaai ki tarah pyaar jataane ka. Yeh samay hai hamare apne jiwan ke baare mein aur un kai ashirvaadon ke baare mein jo hamare hai par vichaar karne ka. Yeh samay hai maaf karne ka aur maafi lene ka. Yeh samay hai sangeet aur raushniyon, paatiyon aur uphaaron ka aanand lene ka. Magar is samay ki halchal kabhi hamare drishti ko dhundla nahin karna chahiye aur sach mein hamein Shaanti ke Raajkumar ko Unke mahima mein dekhne se nahin rokna chahiye.

Aao hum is varsh ke Bada Din ke samay ko ek khushi manaane aur utsav ka banaaye, woh samay jab hum abhaari honge us chamatkaar ke liye ki hamare Sarvshaktimaan Parmeshwar ne Apne Iklaute Putra, Ishu Masih, ko duniya ke mukti ke liye bheja!

Is Sandesh mein se Sikhlaane ke Liye Vichaar

  1. “Chaukasi gatividhiyon ko istemaal kiya ja sakta hai dilchaspi paeda karne aur seekhne waalon ko madad karne mein ki kaise woh apna dhyaan shikshan ke zaroori bhaag par tikaaye. … Chitra laabhdaayak hai shikshan ke khaas vichaar ko mazboot karne mein aur seekhne waalon ko chaukas rehne mein” (Teaching, No Greater Call [1999],160, 176). Jab tum yeh sandesh baantna shuru karoge, vichaar karein ki kaun se chaukasi gatividhi ka istemaal karenge jaise chitra dikhaana ya ek dharamshaastra adhyaaye padhna aur parivaar se puchna ki woh yeh soche ki kaise yeh sandesh se juda hai.

  2. “Tumhara sabse mahatvapurn lakshye hona chahiye ki kaise auron ki sahayta karein susamachaar ke siddhaanton ko daenik stithiyon mein apnaaye. … Seekhne waalon ki madad karein un ashirvaadon ko pehchaanne mein jo milti hai susamachaar jeene se” (Teaching, No Greater Call, 159). Is sandesh ko baantne ke baad, vichaar karein parivaar sadasyon ko amantrit karein un anubhavon ko baantne ke liye jo Bada Din ke samay Udhaarkarta par gaur karne se aaya hai.

Chaapo