2012
Jiwit Bhavishyevakta se Nirdesh Paana
March 2012


Yuva

Jiwit Bhavishyevakta se Nirdesh Paana

Jab main 16 varsh ki thi, mujhe maha sammelan mein bhaag lene ka pehli baar saobhaagye mila tha. Mera parivaar pakshim Oregan, USA mein rehta tha, aur humne Utah tak ka safar gaadi mein kiya sammelan mein bhaag lene ke liye aur mere bade bhaai ko prachaarakon ke prashikshan kendra (Missionary Training Center) mein chodne ke liye.

Main Pavitra Aatma se seekh paane ke ichcha se sammelan gayi thi. Iska parinaam tha, mainne Aatma se ek prakaashan paaya jo shaayad main nahin paata agar mainne khud ko tayyaar nahin ki hoti.

Ek baethak ke daoraan, sabhi kadhe hokar ek saath geet gaaye, “Guide Us, O Thou Great Jehovah.” Jab hum gaa rahe the, main prabhawit hui Sammelan Kendre ke sabhi or dekhne ke liye. Mainne waisa kiya aur saekdon logon ke ekta ki shakti se prasann hui jo wahan the Parmeshwar ki jayjaykaar karne ke liye.

Phir mujhe ek anubhav hui jahan mainne Nephi jaisa mehsoos kiya jab usne jiwan ke vriksh ka drishti dekha tha, kyunki Aatma ne mujhse kaha, “Dekho” (dekhiye 1 Nephi 11–14). Mainne Pradhaan Thomas S. Monson ko dekha aur mehsoos kiya ki Girjaghar mein ekta hai kyunki hum ek jiwit bhavishyevakta dwara nirdesh paate hai. Pavitra Aatma ki gawahi dwara, main jaanti hoon ki Pradhaan Monson hamare samay ke sachche bhavishyevakta hai, aur main jaanti hoon ki Ishu Masih unke dwara is Girjaghar ko nirdesh karte hai.

Chaapo