2012
Kyun Hamein Bhavishyevaktaaon ki Zaroorat Hai?
March 2012


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, March 2012

Kyun Hamein Bhavishyevaktaaon ki Zaroorat Hai?

Kyunki Swarg ke Pita Apne bachchon se prem karte hai, Usne unhein maranshil jiwan ke safar mein bina koi nirdeshan aur maargdarshan ke nahin choda hai. Hamare Swarg ke Pita ke shikshan saadharan, batla dene waale, aam darje ka nahin jo tum sthaaniye kitaab ki dukaan se patle panno mein paaoge. Woh us dharmaatma ka sabse-shaktishaali, sab-jaannewaale ka gyaan hai jo Apne bachchon se prem karta hai. Unki in shabdon mein behtarin raaz chupa hai—is jiwan ki aur aane waale duniya ke khushiyaali ki chaabi.

Swarg ke Pita yeh gyaan dharti par Apne bachchon tak Apne bhavishyevaktaaon dwara prakat karte hai (dekhiye Amos 3:7). Adam ke dinon se, Parmeshwar ne Apne bachchon se chune hue bhavishyevakta dwara baate ki hai jinka kaam hai Unki ichcha aur salaah sabhi tak pahunchana. Bhavishyevakta prerit shikshak hai aur hamesha Ishu Masih ke khaas gaawah hai (dekhiye D&C 107:23). Bhavishyevaktaaen sirf apne samay ke logon se baat nahin karte, magar woh aane waale samay ke logon se bhi baat karte hai. Unke bol sadiyo se gunjti rehti hai Parmeshwar ke ichcha ko Unke bachchon se bayaan karte hue.

Aaj purva ke dinon se kuch alag nahin hai. Prabhu hamare samay ke logon ko pehle ke samay ke logon se kuch kam nahin prem karta. Ishu Masih ka Girjaghar ka Punahsthaapna ka ek mahaan sandesh hai ki Parmeshwar Apne bachchon se baat karta rehta hai! Woh swarg mein nahin chupa hai magar puraane dinon ki tarah Woh aaj bhi baat karta hai.

Zyaadatar jo Prabhu Apne bhavishyevaktaaon ko prakat karta hai woh hamare niji jiwan aur samaaj mein dukh se bachne ke liye hai. Jab Parmeshwar bolta hai, Woh aysa karta hai sikhaane, prerit karne, behtar banane, aur Apne bachchon ko chetaaoni dene ke liye. Jab log aur samaaj Swarg ke Pita ke updesh ko nahin sunte, woh aysa karne se musibat, peeda, aur parishram apnate hai.

Parmeshwar Apne sabhi bachchon se prem karta hai. Isi liye Woh itne utsukta se niwedan karta hai Apne bhavishyevaktaaon ke zariye. Jaise hum apne priyejanon ke liye sabse behtar chahate hai, Swarg ke Pita hamare liye sabse behtar chahata hai. Isliye Unke updesh se hum aaj dur nahin magar woh Apni ichcha Apne bhavishyevaktaaon dwara prakat karta hai. Hamara aur hamare duniya ka naseeb is par nirbhar hai ki hum kaise Parmeshwar ke prakat kiye bol jo Unke bachchon ke liye hai, ko sunte aur amal mein laate hai.

Parmeshwar ke anmol updesh maanav ke liye Bible, Mormon Dharamshaastra, Doctrine and Covenants, aur Pearl of Great Price mein milenge. Saath saaath, Prabhu humse Apne sewakon ke dwara baate karta hai, jaisa Woh ek baar phir aanewaale sammelan mein karenge.

Jo log sochte honge—, “Kya aaj aysa ho sakta hai ki Parmeshwar humse baate karein?”—main apne pure hriday se amantrit karta hoon ki “chal kar dekh lein” (John 1:46). Dharamshaastra mein paaye gaye Parmeshwar ke shabdon ko padhiye. Maha sammelan ko suniye apni manzuri se taaki tum Parmeshwar ke awaaz ko sun sako jo Unke antim-din bhavishyevaktaaon dwara diya jaaega. Aao, suno, aur dekho apne hriday se! Kyunki agar tum “sachche hriday se, achchi abhilaasha se, Masih mein vishwaas karke dhoondoge, [Parmeshwar] Pavitra Aatma ki shakti dwara, tumpar sachchaai prakat karega” (Moroni 10:4). Isi shakti ke zariye, main jaanta hoon ki Ishu Masih jiwit hai aur Apna Girjaghar ka nirdeshan karta hai ek jiwit bhavishyevakta ke zariye, jo hai Pradhaan Thomas S. Monson.

Bhaaiyon aur bahanon, Parmeshwar aaj humse zaroor baate karta hai. Aur Woh chahata hai ki Uske sabhi bachchein Unke awaaz ko sune aur amal karein. Jab hum aysa karte hai, Prabhu hamein ashish dega aur banaye rakhega achchi tarah, donon is jiwan mein aur aane waale yugon mein.

Chaapo