Shikshan Sandesh Bhent, March 2012
Mere Raajye ki Putriyaan
Is utpaadan ka adhyan karein, aur jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye.
Vishwaas, Parivaar, Sahayak
Hum apne Swarg ke Pita ki Putriyaan hai. Woh hamein jaanta hai, humse prem karta hai, aur hamare liye uske paas yojna hai. Is yojna mein shaamil hai dharti par aana achchai aur buraai mein se chunaao karne ke liye. Jab hum Parmeshwar ke niyamon ka paalan karte hai, hum Unka aadar karte aur apne pehchaan ko batlaate hai Parmeshwar ki putriyaan hone ki. Sahayak Sanstha hamein madad karta hai is divye gharohar ko yaad karne mein.
Sahayak Sanstha aur uska itihaas hamein mazboot karta aur sahayta deta hai. Julie B. Beck, Sahayak Sanstha maha pradhaan, ne kaha: “Parmeshwar ki putriyaan hone ke naate, tum anant manzilon ki tayyaari kar rahe ho, aur tum mein se har ek ke paas ek stri jaati ka pehchaan, banawat, aur zimmedaari hai. Parivaaron, samaajon, is Girjaghar, aur anmol mukti ka yojna ka safalta tumhare vishwaasi hone par nirbhar hai. … [Hamare Swarg ke Pita] ne chaha tha ki Sahayak Sanstha Uske logon ko banane mein madad karegi aur unhein mandir ke ashirvaadon ke liye tayyaar karegi. Usne [Sahayak Sanstha] aayojit kiya tha taaki Unke putriyaan Unke kaam ko jaane aur Unki madad lein Apne raajye ko banane aur Zion ke gharon ko mazboot karne ke liye.”1
Hamare Swarg ke Pita ne hamein khaas kaarye diye hai Unke Raajye ko banane mein madad karne ke liye. Usne hamein un dhaarmik uphaaron ka bhi ashish diya hai is khaas kaarye ko karne ke liye. Sahayak Sanstha ke zariye, hamare paas mauke hai in uphaaron ka istemaal karne ke liye parivaaron ko mazboot karne mein, zarooratmand ko madad karne ke liye, aur Ishu Masih ke chelein bankar jeena seekhne ke liye.
Pradhaan Dieter F. Uchtdorf, Pratham Adhyakshta mein Dusre Salaahkaar, ne chela banne par kaha hai: “Chela banne ke maarg par chalne se, hum khud ko dikhate hai apne vishwaas aur aatma-ichcha ka darja Parmeshwar ke ichcha ko swaye-ichcha apnakar.”2
Hum yaad rakhein ki hum Parmeshwar ki Putriyaan hai aur Unke chelein bankar jeene ki koshish karna chahenge. Jab hum aysa karenge, hum Parmeshwar ke raajye ko dharti par banane mein madad karenge aur Unki upasthiti mein lautne ke yogye banenge.
Dharamshaastra mein se
Zechariah 2:10; Doctrine and Covenants 25:1, 10, 16; 138:38–39, 56; “Parivaar: Duniya ke Liye Ek Aupchaarik Ghoshna” (Liahona aur Ensign, Nov. 2010, 129)
Hamare Itihaas Se
April 28, 1842 mein, Bhavishyevakta Joseph Smith ne Sahayak Sanstha ke bahanon se kaha: “Tumhe ab is paristhiti mein daala gaya hai jab tum ab un ehsaas ke anusaar kaarye karoge jise Parmeshwar ne [tum mein] rakha hai. … Agar tum apne saobhaagye ko apnaao, farishte tumhare saathi bane rahenge.”3
Sahayak Sanstha ki shakti ko pehchaanna auron ko sewa karne aur unhein vishwaas mein badhne mein madad karne ke liye, Zina D. H. Young, Sahayak Sanstha maha pradhaan, ne 1893 mein bahanon se vaada kiya, “Agar tum apne hriday mein dhoondhoge tum paaoge, Prabhu ki Aatma ke madad se, mahaan darje ka moti, jo is kaarye ki gawahi hai.”4
© 2012 Intellectual Reserve, Inc dwara. Sabhi adhikaar surakshit. USA mein chaapa gaya. Angrezi swikriti: 6/11. Anuwaad swikriti: 6/11. Visiting Teaching Message, March 2012 ka anuwaad. Fiji Hindi. 10363 298
Main Kya Kar Sakti Hoon?
-
Kaise main apne bahanon ko madad kar sakti hoon unke antar-nihit shakti paane mein Parmeshwar ki putriyaan hone ke naate?
-
Main kaise apne jiwan mein Doctrine aur Covenants 25 mein diye gaye mahilaaon ke liye salaah aur chetaaoni ko apna sakti hoon?