2014
Uski Prarthna Ka Ek Jawaab
March 2014


Yuva

Uski Prarthna Ka Ek Jawaab

Lekhak Gauteng, Dakshin Africa mein rehti hai.

Ek raat ek dusre dharm ki saheli mujhse bhent karne aayi. Main aksar apna dharamshaastra adhyan akele karti hoon, aur us raat main unhe padne ke liye nikaal rakhi thi. Mujhe laga ki mujhe use apne saath dharamshaastra adhyan ke liye amantrit karna chahiye, magar main dar gayi aur main akele adhyan karne lagi. Main jaanti thi ki mainne Aatma ke prabhaao ko nahin suna tha. Kuch minaton baad mainne dhire se pucha, “Kya tum mere saath dharamshaastra adhyan karna chahati ho?” Bina hichkichahat ke meri saheli ne jawaab diya, “Haan.”

Tab humne Mormon Dharamshaastra mein se padha. Usne mujhse kuch sawaal puche, aur jawaab dete samay mainne Aatma ke nirdeshan ko mehsoos kiya. Mainne Mormon Dharamshaastra ki sachchaai ki gawahi di. Mujhe yeh karne ke baad, usne mujhse kaha, “Pure din main roti rahi aur dari hui thi. Maine Parmeshwar se madad ki maag abhi ki hi thi jab tumne mujhe tumhare saath dharamshaastra padhne ke liye kaha. Ab main bahut achcha mehsoos kar rahi hoon. Dhanyevaad.”

Prabhu ne mera istemaal kiya hai ek aozaar ki tarah ek prarthna ka jawaab dene mein aur Unke ek zarooratmand bachche ki sewa karne ke liye. Main jaanti hoon ki prerna divye aadesh hai ek budhimaan, mahaan Pita se. Jab hum apne dar ko bagal karte hai, hum Unhe mauka dete hai Unke shakti ko dikhlaane ke liye hamare aagyakarita ke dwara.