2014
Sewa aur Anant Jiwan
March 2014


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, March 2014

Sewa aur Anant Jiwan

Pradhaan Henry B. Eyring

Uddhaarkarta hamare uddharan hai niswaarth sewa ka. Unka sampurn jiwan Swarg ke Pita aur Unke Pita ke sabhi bachchon ki sewa mein beeta tha. Pita aur Putra ka ek hi lakshye hai ki woh hum sab ko amaranshilta ka uphaar aur anant jiwan ka ashirvaad dein(dekhiye Moses 1:39).

Anant jiwan ke kaabil banne ke liye, hamein Ishu Masih ke Praeshchit dwara badalna hoga—phir se paeda hokar aur paap se saaf hokar. Magar chote bachche 8 saal ke umar se niche, bina paap ke hote hai aur unhein Praeshchit dwara mukt kiya jaata hai(dekhiye Mosiah 3:16, 21; Moroni 8:10–12).

Hum sab jab jawaab dene ka umra pahunch jaate hai, wahan ek behtareen yojna hai jo hamein paap se saaf hone aur anant jiwan ke liye tayyaar hone ka mauka deta hai. Yeh tayyaari purohiti adhikaar dwara baptisma lene se aur Pavitra Aatma paane se shuru hota hai. Tab hamein hamesha Uddhaarkarta ko yaad rakhna padta hai aur Unke aagyaaon ka paalan karna padta hai.

Raaja Benjamin ne Mormon Dharamshaastra ke apne logon ko us anand ke baare mein batlaya tha jo Ishu Masih ke Praeshchit dwara paap se chama paane mein milta hai. Phir usne unhein sikhlaya ki paap se chama ko barkaraar rakhne ke liye, unhein apne bachchon ko ek dusre ki sewa karne aur unke aas paas ke logon ke saansaarik aur aatmik zarooraton ko pura karne mein dayalu hona chahiye. (Dekhiye Mosiah 4:11–16.)

Usne yeh bhi sikhlaya, “Aur suno, main tumhe yeh baate isliye bata raha hoon taaki tum mein vivek aaye; jisse tum yeh samajh sako ki jab tum apne saathi ki sewa karte ho, tab tum apne Parmeshwar ki sewa karte ho”(Mosiah 2:17).

Ishu Apni susamachaar ko sikhlaata gaya aur bhalaai karta gaya (dekhiye Acts 10:38). Usne beemaar ko changa kiya. Usne mrit logon ko jiwit kiya. Apne shakti se Usne hazaaron ko khilaaya jab woh bhuke aur bina bhojan ke the (dekhiye Matthew 14:14–21; John 6:2–13). Phir se Ji Uthne ke baad Usne Apne kayi Devduton ko bhojan diya jab woh Galilee ke samundri tat par aaye (dekhiye John 21:12–13). America mein, Usne beemaar ko changa kiya aur bachchon ko ashirvaad diya ek ek karke (dekhiye 3 Nephi 17:7–9, 21).

Devdut James ne hamein sikhlaya kaise dusron ki sewa karne ki ichcha hamare Prabhu ki madad ke liye abhaari hone se utpann hota hai:

“Par jo vyakti swatantrata ki sidh vayvastha par dhyaan karta rehta hai, woh apne kaam mein isliye ashish paaega ki sunkar bhulta nahin, par waisa hi kaam karta hai. …

“Hamare Parmeshwar aur Pita ke nikat shudh aur nirmal bhakti yah hai, ki anatho aur vidhwaaon ko bhent kare unke dukh ke samay, aur apne aap ko sansaar se nishkalank rakkhe” (James 1:25, 27).

Jab tumhare andar Uddhaarkarta ki sewa karte rehne ki ichcha jaage to yeh jaan lo ki tu shudh kiya jaa raha hai. Gharelu shikshan aur bhent shikshan ek kaarye nahin par anand may ban jaata hai. Tum apne aap ko sthaaniye paathshaala mein swanyeichcha kaarye karte ya apne samaaj ke gareeb ke madad karte paaoge. Bhale tumhare paas kam paese honge gareebon mein dene ko, tum yeh chahoge ki tumhare paas zyaada hota taaki tum aur de sakte (dekhiye Mosiah 4:24). Tum khud ko apne bachchon ki sewa karne mein aur unhein auron ki sewa karna dikhlane mein utsuk paate ho.

Jaise jaise tumhari prakriti badalti hai, tum chahoge ki tum bhadiya sewa pradaan karo bina pehchaan ke. Main Uddhaarkarta ke chelon ko jaanta hoon jinhonne paese aur sewa ke bade uphaar diye hai yeh nirnay karke ki sirf Parmeshwar aur unke bachche iske baare mein jaane. Parmeshwar ne unki sewa pehchaani hai unhein is jiwan mein ashirvaad de kar, aur Woh aane waale anant jiwan mein ashirvaad dega (dekhiye Matthew 6:1–4; 3 Nephi 13:1–4).

Aur jaise tumne apne padosi ki sewa karne ka aagya ka paalan kiya hai (dekhiye Matthew 22:39), tumne apne ghamand ke ehsaas ko badalte dekha hai. Uddhaarkarta ne Apne Devduton ko sudhaara jab usne unke samaksh kaun mahaan hai par baate ki. Usne kaha:

“Aur swami bhi na kehlana, kyunki tumhara ek hi Swami hai, arthat Masih.

“Jo tum mein bada ho, woh tumhara sewak bane” (Matthew 23:10–11).

Uddhaarkarta hamein sikhlata hai kaise hum auron ki sewa karna sikhein. Usne khud sabse achchi tarah sewa kiya, aur hamein Usi ki tarah sewa karna seekhna chahiye—thoda thoda karke (dekhiye D&C 93:12–13). Apni sewa ke kaarye se, hum aur bhi Unki tarah ban sakte hai. Hum apne hriday ke puri chaahat se prarthna karenge taaki hum Unki tarah apne dushmanon se prem karein (dekhiye Matthew 5:43–44; Moroni 7:48). Tab hi hum anant jiwan ke kaabil honge Unke aur Swarg ke Pita ki tarah.

Main vaada karta hoon ki hum aur achchi tarah se sewa kar paaenge jab hum Uddhaarkarta ke shikshan aur uddharan ko apnaaye.

Is Sandesh Mein se Shikshan

Elder M. Russell Ballard Barah Devduton ke Parishad ke ne hamein protsaahit kiya hai sewa karne ke maoko ke liye prarthna karne ke liye: “Apne subha ke prarthna mein har naye din par, Swarg ke Pita se pucho ki woh tumhe Unke anmol bachchon ki sewa karne ke maoke ki or le jaae. Phir din bhar ka kaam kiye jaa tu …kisi ko madad karne ke liye dhoondhte huwe.” (“Be Anxiously Engaged,” Ensign ya Liahona, Nov. 2012, 31). Jinhe tum padhate ho unhe amantrit karein har subha sewa ke maoke ka prarthna karne ka lakshye banane ke liye aur phir din bhar mein us maoke ko dhoondhte rahe.